Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 10 August 2014

PAGDI KA BAYAN

PAGDI KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

AHAD E NABVI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM MEIN PAGDI YA TOPI PEHAN'NE KA AAM RIWAAJ THA

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi ne arz kiya ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! muhkam konsa libas pehne?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qamees, Pagdi, Paijama, Topi aur moozey na pehne". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Hazrat Nafae Rahimahullah kehte hai Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu apni pagdi ka shamlah dono kandho k darmiyaan (pichli janib) latka lete, Hazrat Ubaidullah Razi Allahu Anhu farmate hai mene Qasim aur Salim Razi Allahu Anhum ko dekha wo bhi apni pagdi isi tarah baandhte they. (Tirmizi Kitabul Libas 2: 1419)

ROOZ MARRAH ZINDAGI MEIN TOPI YA PAGDI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K LIBAS MUBARAK KA HISSA THI

Hazrat Jafar bin Umar Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k unhone kaha, mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko pagdi aur moozooh par masah karte dekha hai. (Sahih Bukhari Kitabul Wuzu)

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam fatah makkah k rooz jab makkah mein dakhil hue to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k sar mubarak par siyaah pagdi thi. (Sahih Muslim Kitabul Hajj)

Hazrat Umar bin Harees Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Rasool Allahu Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne loogo ko khutba irshad farmaya aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k sar mubarak par siyaah pagdi thi. (Sahih Muslim Kitabul Hajj)

Hazrat Mugeerah Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne moozo par, paishani par aur pagdi par masaah kiya. (Sahih Muslim Kitabut Taharah)

Hazrat Bilal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne moozo aur pagdi par masaah kiya. (Sahih Muslim Kitabut Taharah)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (ghar se) bahar tashreef laaye to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dono kandho par ek chadar lapaiti hui thi aur sar mubarak par khushbu-daar kapde ki pagdi thi. (Sahih Bukhari Kitabul Manaqib)

Hazrat Zaid bin Aslam Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu apni daadhi safrah se zard kar lete yaha tak k unke kapde zardi se bhar jaate, un se pucha gaya "Aap daadhi ko zard kyu karte ho?" farmane lage "Mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye rang istemaal karte hue dekha hai Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko us se zayada mehboob koi doosri cheez na thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne saare kapde us se rang lete hatta k apni pagdi bhi". (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3429)

Hazrat Umar bin Harees Razi Allahu Anhu farmate hai mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko siyah pagdi baandhey hue dekha hai. (Nasayi Kitabuz Zeenah 3: 4936)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM APNE AMAMA MUBARAK KA SHAMLAH DONO KANDHO K DARMIYAAN PICHLI JAANIB LATKA LETE

Hazrat Umar bin Harees Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gooya dekh raha hu Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam siyaah amama baandhey hai aur uska shamlah (pichli jabib) dono kandho k darmiyaan latka rakkha hai. (Ibne Maja Kitabul Libas 2: 2888)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu farmate hai jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam pagdi baandh'te to uska ek hissa (yani shamlah) apne dono kandho k darmiyan (pichli janib) latka lete. (Tirmizi Kitabul Libas 2: 1419)

PAGDI KA SHAMLAH GAIR MAMOOLI TAUR PAR OUNCHA KARNA YA PICHEY GAIR MAMOOLI LATKANA BHI TAKABBUR KI ALAMAT HAI QAYAMAT K ROOZ ALLAH TA'ALA AESE SHAKS KI TARAF NAZAR E KARAM NAHI FARMAYENGE 

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya; "Teen kapdo ko latkaya jata hai tahband, qamees aur pagdi, jis ne takabbur se unme se kisi kapde ko lamba latkaya Allah qayamat k rooz us par nazar e karam nahi farmayenge". (Nasayi Kitabuz Zeenah 3: 4927)

No comments:

Post a Comment