Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 15 August 2014

JOOTO (SHOES) KA BAYAN

JOOTO (SHOES) KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

JOOTA PEHAN'NA MUSTAHAB HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ek gazwah k safar mein ye farmate hue suna hai "Joota kasrat se pehna karo, jab tak aadmi joota pehanta rahe wo sawaar hai". (Sahih Muslim Baab Istajaab labsan naal wama fi manaha)

Wazahat: "Sawaar rehne" se muraad ye hai jis tarah janwar par sawar aadmi zameen k moozi keedo makoodo se mehfooz rehta hai usi tarah joota pehan'ne wala bhi gooya sawaar ki tarah hai jo zameen k keedo makoodo aur azeeyat dene wali cheezo se mehfooz rehta hai. (Wallahu Aalam bis Sawab)

PEHLE DAAYE PAO KA JOOTA PEHAN'NA CHAHIYE PHIR BAAYE PAO KA

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam wuzu karne, kanghi karne aur joota pehan'ne mein daayi taraf se ibtida pasand farmate. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

JOOTA UTAARTE WAQT PEHLE BAAYA PHIR DAAYA JOOTA UTAARNA CHAHIYE
RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K NAALAIN MUBARAK MEIN DO DO TASMEY THEY

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k joote mein do do tasmey they. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Wazahat: Doosri hadees mein ek tasmey ka zikr bhi hai. (Bukhari)

KHADE HO KAR JOOTA PEHEN'NA MANA HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade ho kar joota pehan'ne se mana farmaya hai. (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3483)

Wazahat: Joota tang ho ya aesa joota jise khade ho kar pehan'ne mein waqt aur dushwari ho ya girne ka khatra ho, aesa joota khade ho kar pehan'ne se mana farmaya gaya hai, sendal ya chappal wagairah aasani se pehne jaane wale joote khade ho kar pehan'ne jayez hai. (Wallahu Aalam bis Sawaab)

SIRF EK PAO MEIN JOOTA PEHAN KAR CHALNA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k tum mein se koi shaks ek pao mein joota pehan kar na chale balkey dono pehan kar ya dono utaar kar chale. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

MARDANA JOOTO KI SAAKHAT WALE JOOTE PEHAN'NE WALI AURAT MAL'OON HAI, ZANANA JOOTO KI SAAKHAT WALE JOOTE PEHAN'NE WALE MARD MAL'OON HAI

Hazrat Abu Mulaikah Razi Allahu Anhu kehte hai Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se daryaft kiya gaya k "Jo aurat mardo ka joota pehne uske baare mein kya hukm hai? Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mard banne wali aurat par laanat farmayi hai". (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3455)

JOOTA PEHANTE YA UTARATE WAQT KOI DUA SUNNAT SE SABIT NAHI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Tum mein se jab koi shaks joota pehne to pehle daaya joota pehne aur jab joota utare to pehle baya pao utare yani pehan'ne mein daaya pehle aur utarne mein baaya pehle". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

No comments:

Post a Comment