Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday 16 August 2014

BISTAR KA BAYAN

BISTAR KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA TAKIYA AUR BISTAR DONO DABAGAT KIYE HUE CHAMDEY K THEY JISME KHAJOOR K PATTEY BHARE HUE THEY

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka takiya jis par Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam raat ko neend farmate, dabagat kiye hue chamdey ka tha jisme khajoor k pattey bhare hue they. (Abu Dawood Kitabul Libas 2: 3493)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka bistar chamdey ka tha jisme khajoor k pattey bhare hue they. (Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)

TAKIYE KA ISTEMAAL MUSTAHAB HAI

Hazrat Jabir bin Samurah Razi Allahu Anhu kehte hai mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko takiye k saath taik lagaye hue dekha. (Tirmizi Abwabul Adab 2: 2223)

BILA IJAZAT KISI KA TAKIYA ISTEMAAL KARNA JAYEZ NAHI

Hazrat Abu Masood Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ijazat k bagair koi aadmi doosre ki jagah imamat na karaye aur na hi ijazat k bagair kisi ki musnad par baithey". (Tirmizi Abwabul Adab an Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam 2: 2224)

RESHAM K BISTAR, GADDEY, TAKIYE WAGAIRAH BANANA JAYEZ NAHI

Hazrat Huzaifah Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hame soone aur chandi k bartano mein khane peene se mana farmaya, resham aur debaaj (bareek raishmi kapde ki umdah qism) pehan'ne se aur us par baithne se mana farmaya. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

ZARURAT SE ZAYID BADHAYI AUR SHOHRAT KI KHATIR BISTAR BANANA MANA HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ek bistar mard k liye, ek bistar beewi k liye aur ek bistar mehmaan k liye kaafi hai, chootha bistar (yaani zarurat se zaayid) shaitan k liye hai". (Sahih Muslim Kitabul Libas Waz Zeenah)

BISTAR PAR LAITNE K BAAD SOONE SE QABL DARJ ZAIL DUAYE MAANGNA MASNOON HAI

Hazrat Huzaifah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab raat k waqt apne bistar par tashreef laate to apna haath (daahine) rukhsaar k niche rakhte aur farmate ("ALLAHUMMA BISMIKA AMOOTU WA AHYA" Tarjuma: "ya Allah! mein tere naam se marta (yaani soota hu) aur zinda hota (yaani jaagta) hu") aur jab jaagte to farmate ("ALHAMDU LILLAHIL LAZI AHYAANA BAADA MA AMAATANA WA ILAIHIN NUSHOOR" Tarjuma "Us Allah ka shukr hai jisne hame marne (yani soone) k baad zindah kar diya (yani jaga diya) aur marne k baad usi k huzoor hazir hona hai"). (Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 3073)

Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam soone ka irada farmate to daaya haath rukhsaar k nichey rakhte aur teen martaba ye kalmaat padhte ("ALLAHUMMA QINI AZAABAKA YAUMA TAB'ASU IBADAKA" Tarjuma "Ya Allah! jis rooz tu apne bando ko uthyega mujhe apne azaab se bachaye rakhna") (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 4218)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab tum mein se koi apne bistar par aye to (pehle) apne tahband k koone se bistar ko jhaade kyunki use maloom nahi k bistar par kya pada hai? phir ye dua padhey ("BISMIKA RABBI WAZAATU JAMBI WA BIKA ARFA'UHU IN AMSAKTA NAFSI FARHAMHA WA IN ARSALTAHA FAHFAZHA BIMA TAHFAZU BIHI IBADAKAS SAALIHEEN" Tarjuma "Ae mere Rabb! tere naam se (bistar par) lait'ta hu aur tere naam se uthunga agar tune meri jaan (apne paas) rook li to us par raham farma aur agar wapas bhej di to uski wesi hi hifazat farma jese tu naik bando ki hifazat farmata hai")". (Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 4218)

WUZU K SAATH BISTAR PAR SOONE WALE K LIYE FARISHTO KI DUAYE

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k "Jo shaks wuzu ki halat mein soota hai uske saath ek farishta raat basr karta hai wo shaks jab bhi neend se baidaar hota hai to farishta uske liye ye dua maangta hai "Ya Allah! apne is bande k gunah maaf farma yaqeenan wo taharat ki halat mein sooya tha". (Sahih ibne Hibban Hadees no. 1051)

RAAT KO WUZU KI HALAT MEIN ZIKR KARTE HUE APNE BISTAR PAR SOONE WALE SHAKS K BAIDAAR HONE PAR MAANGI HUI HAR DUA QUBOOL HOTI HAI - IN SHA ALLAH

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Jab koi musalman halat e taharat mein zikr karte hue soota hai to baidaar hone par Allah ta'ala se dunya wa aakhirat ki jo bhi bhalayi talab kare Allah ta'ala usko ata farmata hai". (Abu Dawood Abwabun Naum 3: 4216)

No comments:

Post a Comment