Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 4 August 2014

JUBBA KA BAYAN

JUBBA KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

SARDIYO MEIN QAMEES AUR IZAAR K UPER AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE OONI JUBBA BHI ISTEMAAL FARMAYA HAI

Hazrat Mugeerah bin Shaba Razi Allahu Anhu kehte hai (ek safar k doraan) Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam rafa e haajat k liye tashreef le gaey wapas tashreef laye to mene paani hazir kiya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ek shaami jubba pehne hue they, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (wuzu k liye) khulli ki, naak mein paani dala, chehra mubarak dhooya phir haato ko aasteeno se nikaalna chaha lekin wo tang thi is liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jubba k andar se dono haath nikale unhe dhooya aur phir sar aur moozoo par masaah farmaya. (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Wazahat: Sardiyo mein istemaal hone wale lambe over coat ko jubba kehte hai, aaj bhi arab loog use istemaal karte hai, hamare yaha uski jagah shairwani ya over coat istemaal hota hai.

No comments:

Post a Comment