Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 4 August 2014

QABA KA BAYAN

QABA KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

QABA PEHAN'NA MUSTAHAB HAI

Hazrat Miswar bin Makhramah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek martaba kuch qabayi Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum mein taqseem farmayi lekin (mere walid) Makhramah ko qaba na di (mere walid) Makhramah ne mujhse kaha "Mere baitey, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas mere saath chalo" mein Makhrama k saath gaya to Makhramah ne kaha: "Andar jao aur mera naam le kar Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bula lao" mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bula laya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam qaba pehne hue they Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Makhramah! ye qaba mene tumhare liye chipa rakkhi thi (aur utaar kar Makhramah ko de di)". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Wazahat: Qaba bareek kapde ka lamba over coat sa hota hai jise garmiyo mein libaas k uper pehna jata hai, arbo k yaha aaj bhi uska aam riwaaj hai, Ulama, Fazla aur Ahle Saroot Juma aur Eidain ya baaz daigar aham mawaqey par use istemaal karte hai, hamare yaha iska istemaal na hone k barabar hai, albatta baaz sarkaari khateeb Juma ya Eidain wagairah k khutbey k liye pehante hai.

No comments:

Post a Comment