Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 13 August 2014

KHIZAAB KA BAYAN

KHIZAAB KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

MEHNDI YA USSE MILTE JULTE RANG KA KHIZAAB BAALO KO LAGANA MUSTAHAB HAI

Hazrat Sabit Razi Allahu Anhu kehte hai Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khizaab k baare mein daryaft kiya gaya to unhone jawab diya "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baalo mein itni safaidi nahi thi k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam khizaab lagate agar mein chahta to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki daadhi mubarak k safaid baal shumaar kar leta". (Sahih Bukhari Kitabul Libas)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Yahood wa Nasara khizaab nahi lagate, tum unki mukhalifat karo (aur khizaab lagao)". (Sahih Muslim Kitabul Libas)

ZARD RANG KA KHIZAAB ISTEMAAL KARNA BHI MUSTAHAB HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam dabagat ki gayi khaal ka joota istemaal farmate aur apni daadhi mubarak ko wars aur zaafraan se zard karte, Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allhau Anhu bhi aesa hi karte. (Abu Dawood Kitabut Tarjal 2: 3547)

MEHANDI AUR WASMAH MILA KAR KHIZAAB KARNA BHI MUSTAHAB HAI

Hazrat Abuzar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Safaid baalo ko badalne k liye behtareen khizaab mehndi aur wasmah hai". (Ibne Maja Kitabul Libas 2: 2919)

Wazahat: "Katam" ya "Wasmah" ek booti hai jo bazaat khud siyaah rang deti hai lekin mehnadi k saath mil kar bhoora rang deti hai jise Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pasand farmaya.

KHIZAAB LAGANA MUSTAHAB HAI WAJIB NAHI, JO CHAHE LAGAYE JO CHAHE NA LAGAYE

Hazrat Abu Haroon Ubaidi kehte hai k Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu khizaab nahi lagate they aur unki daadhi safaid thi, Abu ishaaq Razi Allahu Anhu kehte hai mene Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ko mimbar par (khitab dete hue) dekha unke sar aur daadhi k baal safaid they wo izaar pehne hue they aur chadar oudhey hue they, Hazrat Hasan Razi Allahu Anhu kehte hai mene Hazrat Ubey bin Kaab Razi Allahu Anhu ko dekha unke sar aur daadhi k baal safaid they, Hazrat Adi Razi Allahu Anhu kehte hai mene Hazrat Jabir bin Abdullah ko dekha unke sar k baal aur daadhi k baal safaid they, Jareer bin Hazam Razi Allahu Anhu kehte hai mene Ata bin abi Ribaah, Raja bin Hayaat makhool aur Hakam bin Ateebah Rahimahullah ko dekha un sabki daadhi safaid thi. (Musannaf ibne Abdur Razzaq, Sharah Sunnah Kitabul Libas 12/93-94)

KAALE RANG KA KHIZAAB ISTEMAAL KARNA MANA HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Aakhir zamane mein kuch loog kabootar k seene jese siyaah rang ka khizaab lagayenge wo jannat ki khushbu bhi nahi soonghenge". (Abu Dawood Kitabut Tarjal 2: 3548)

No comments:

Post a Comment