Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 30 May 2014

MUNKIREEN E HADEES KO JAWAAB

MUNKIREEN E HADEES KO JAWAAB




Bismillahirrahmanirraheem

Munkireen E Hadees ki taraf se Aetraaz kiya jaata hai k baad mai chal kar bahut saari mouzu, manghadat aur zaeef hadeese sahih hadeeso mai mil gayi
iska intezaam bhi Allah Tabarak o Ta'ala ne kar diya, Aese aese loogo ko tayyar kiya abhi ek misaal dunga aur aapko hairaan kar dunga
Ek Ek raavi k halaat e zindagi ko chaan mara gaya aur Allah ta'ala ne ye farmaya tha k kisi khabar ko accept (amal) karne se pehle uski tehqeeq karlo khabar agar muhaqqaq ho jaye to maan lo muhaddiseen ne raavi-yaan E hadees ka pura kaccha chittha khool dala
Mai misaal deta hu us se pehle hadees pad leta hu (yaani likh deta hu)  

Hadees: AN ABI HURIRATA RAZI ALLAHU TA'ALA ANHU QALA QALA NABIYU SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM QALIMATAANI HABIBATAANI ILAL RAHMAAN KHAFI FATAANI ALAL LEESAAN SAKILATAANI FILMEEZAAN SUBHAN ALLAHI WA BIHAMDIHI SUBHAN ALLAHIL AZEEM (SHAHI BUKHARI KITABUT TAUHEED HADEES NO. 7563)
Imam Bukhari is Hadees ko bilkul aakhir mai laye hai aur ye Bukhari ki aakhiri hadees hai yaha par Bukhari khatam ho jati hai iske baad koi riwayat nahi hai raavi hazrat e Abu Huraira Razi Allahu Anhu hai

Tarjuma: Hazrat E Abu Huraira Razi Allahu Anhu ne kaha k Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Do kalme aese hai jo Allah Tabarak o Ta'ala ko bahut hi pasand hai jo zuban par halke hai aur qayamat k din aamaal ki taraazu mai boojhal ba wazan honge, wo kalmaat e mubaraka ye hai "SUBHAN ALLAHI WABIHAMDIHI" "SUBHAN ALLAHIL AZEEM". (Bukhari Kitabut Tauheed Hadees no. 7563)

Mene ye hadees Hazrat E Abu Huraira Razi Allahu Anhu se shuru ki, Ab koi Munkireen E Hadees ye kahe k aapne Abu Huraira Razi Allahu Anhu ko dekha hai, mai kahunga Abu Huraira Razi Allahu Anhu ko to dekha nahi lekin "Mujhse lekar Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak jitne loog hai sab mere saamne hai (yaani puri sanad mojood hai) isliye k ye hadees Bukhari Shareef mai hai"

Mene yani SHEIKH JALALUDDIN QASMI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MOLANA SAEED AHMAD PALANPURI SE
MOLANA SAEED AHMAD PALANPURI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD FAKHRUDDIN MURADABAADI SE
FAKHRUDDIN MURADABAADI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MEHMOOD UL HASAN DEOBANDI SE
MEHMOOD UL HASAN DEOBANDI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MOLANA QASIM NANOTAVI SE
MOLANA QASIM NANOTAVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHEIKH ABDUL GANI MUJADDADI SE
SHEIKH ABDUL GANI MUJADDADI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHAH ABDUL AZEEZ MUHADDIS DEHALVI SE
SHAH ABDUL AZEEZ MUHADDIS DEHALVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHAHI SAAB DEHALVI SE
SHAHI SAAB DEHALVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHAH WALI ULLAH MUHAADIS DEHALVI SE
SHAH WALI ULLAH MUHAADIS DEHALVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHEIKH ABU TAHIR QURDI SE
SHEIKH ABU TAHIR QURDI NE BUKHARI PADHI APNE WALID IBRAHEEM QURDI SE
IBRAHEEM QURDI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH AHMAD KASH'SHSHI SE
SHIEKH AHMAD KASH'SHSHI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHEIKH AHMAD SHANNAAVI SE
SHEIKH AHMAD SHANNAAVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MUHAMMAD IBNE YOUSUF RAMLI SE
MUHAMMAD IBNE YOUSUF RAMLI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD ZAKARIYA ANSARI SE
ZAKARIYA ANSARI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD HAZRAT E HAAZIF IBNE HAJAR ASKALAANI SE
HAZRAT E HAAZIF IBNE HAJAR ASKALAANI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD IMAM IBRAHEEM TANOOKHI SE
IMAM IBRAHEEM TANOOKHI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD AHMAD IBNE ABI TALIB SE
AHMAD IBNE ABI TALIB NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SARRAAJ AL HUSSAIN IBNUL MUBARAK SE
SARRAAJ AL HUSSAIN IBNUL MUBARAK NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH ABDULLAH HARVI SE
SHIEKH ABDULLAH HARVI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH ABDULLAH IBNE MUZAFFAR DAWOODI SE
SHIEKH ABDULLAH IBNE MUZAFFAR DAWOODI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD SHIEKH ABDULLAH SARAKHTI SE
SHIEKH ABDULLAH SARAKHTI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD MASH'HOOR MUHADDIS MUHAMMAD IBNE YOUSUF THARAPHARI SE
MASH'HOOR MUHADDIS MUHAMMAD IBNE YOUSUF THARAPHARI NE BUKHARI PADHI APNE USTAAD HAZRAT E IMAAM MUHAMMAD IBNE ISMAEEL AL BUKHARI SE

HAZRAT E IMAAM MUHAMMAD IBNE ISMAEEL AL BUKHARI KEHTE HAI HADDASANA AHMAD IBNE ISKAAB, HADDASANA MUHAMMAD IBNE FUZAILIN, AN UMARATA IBNUL QAAQA'E, AN ABI ZUR'ATA, AN ABI HURAIRATA

Hazrat E Imaam Muhammad Ibne Israeel Al Bukhari Kehte hai hum se Ahmad Ibne Iskaab ne bayan kiya, kaha k hum se Muhammad Ibne Fuzailin ne, un se Umara Bin Qaaqa'e ne, unhone ne Abu Zur'ah se, unhone Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se

"Hazrat E Abu Huraira Razi Allahu Anhu ne kaha k Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Do kalme aese hai jo Allah Tabarak o Ta'ala ko bahut hi pasand hai jo zuban par halke hai aur qayamat k din aamaal ki taraazu mai boojhal ba wazan honge, wo kalmaat e mubaraka ye hai "SUBHAN ALLAHI WABIHAMDIHI" "SUBHAN ALLAHIL AZEEM". (Bukhari Kitabut Tauheed Hadees no. 7563)"

pata chala ye hai Hadees bicharo ne kahi se ulti palti chand kitaabe padhli idhar udhar se aur hadeeso par aetraaz karne lage
Hadees ka ilm hasil karo Hadees kitna azeem ilm hai hairaan reh jaoge ek ek hadees ko parakhne k liye ek ek hadees ko 100, 100 meyaaraat se guzarna padta hai aur muhaddiseen ki pehli nigaahe kisi na kisi maiyaar par gadbad raavi ko padkad leti thi.
ummat k zaheen tareen loog muhaddiseen hai, samajh mai aya ye hai hadees.

Ab dekhiye kitne waaste hai mujhse (Sheikh Jalaluddin Qasmi) se hazrat e Abu Hurairah Razi Allahu Anhu tak aur phir Hazrat e Abu Huraira Razi Allahu Anhu se lekar Janab E Muhammadur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak aur Muhammadur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se lekar Jibraeel Alaihis Salaam tak aur Jibraeel Alaihis Salaam se le kar "ARRAHMAANU ALAL ARSHIS TAWA" Allah Tabark o Ta'ala jo arsh par mujtavi hai us tak, ye sanad kaha tak pahunchi arsh tak pahunchi k nahi
Muhammadur Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam us waqt tak nahi bolte jab tak Jibraeel Alaihis Salaaam nhi bolte aur jab tak Jibraeel Alaihis Salaam nhi bolte jab tak Allah Tabarak o Ta'ala unse na keh de, ye mai nhi keh raha ye to Allah Tabarak o Ta'ala ne irshaad farmaya: "WAN NAJMI IZA HAWA, MA ZALLA SAHIBUKUM WAMA GAWA, WAMA YANTIKU ANIL HAWA IN HUA ILLA WAHYUN YUHA" Mera Nabi jab bolta hai to uski kisi baat mai uski khawaish e nafs ki aamezish nhi hoti (yaani apni taraf se kuch nhi boolte) zuban uski hoti hai aur baat meri hoti hai. (ALLAHU AKBAR)

Allah Tabarak o Ta'ala Sheikh ki hifazat farmaaye aur unke ilm mai izafa ata famaye, Aur mere ilm mai bhi izafa ata farmaye. (AAMEEN YA RABBAL ALAMEEN)

Thursday 29 May 2014

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 7 FINAL

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 7 FINAL



Bismillahirrahmanirraheem

HAZRAT UMAIR BIN ADI RAZI ALLAHU ANHU NE APNE KHANDAAN KI EK GUSTAAKH E RASOOL MAL'OONA KO JAHANNAM RASEED KARNE KI NAZAR MAANI ARU MOOKA MILTE HI APNI NAZAR POORI KAR DI

Hazrat Abdullah bin Haaris bin Fazal Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k asma binte marwaan, jo banu umayyah bin zaid khandaan se tallauq rakhti thi aur yazeed bin zaid bin hussain khatmi ki beewi thi, ye Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko Aeza pahunchati, islaam par aeeb joi karti aur loogo ko Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam k khilaaf ubharti, Umair bin adi khatmi Razi Allahu Anhu kehte hai "jab us aurat k ye ash'aar aur Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam k khilaaf targeeb mujh tak pahunchi to mene nazar maanli k Ae Allah agar tune apne Rasool Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko madeena looota diya to mai is aurat ko zaroor qatal karunga, us rooz Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam badr mai they jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam wapas aye to Umair bin adi Razi Allahu Anhu raat ki takeeki mai us k ghar mai dakhil ho gaye, us waqt uske ird gird uske bacche soye hue they jin mai se ek ko wo apna doodh pila rahi thi jab usne apne haath se choo kar dekha to usko laga k wo bacche ko doodh pila rahi thi, Hazrt Umair Razi Allahu Anhu ne baccha us se alhaida (alag) kiya aur talwar uske seene par rakkhi aur uske pait k paar utaar di, phir wo waha se nikle aur Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath subah ki namaz padhi, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab namaz se faarig hue to Umair Razi Allahu Anhu ki taraf dekha to farmaya: "tune marwaan ki beewi ko qatal kar diya?" Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Ji han" Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mere maa baap aap par qurbaan ho, Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ko darr mehsoos hua k kahi uske qatal ki wajah se Allah k Rasool naaraaz na ho, unhone kaha: Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam kya uska mujh par koi gunah to nhi hai?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne faramay: "is baare mai koi do raye nhi" mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zubaan se ye muhawara pehli martaba suna tha, Umair Razi Allahu Anhu kehte hai phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam apne ird gird baithey hue loogo ki taraf mutawajjah hue aur farmaya: "Agar tum kisi aese aadmi ko dekhna pasand karo jisne gaib mai Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki nusrat ki hai to Umair bin Adi Razi Allahu Anhu ko dekh lo, Hazrat Umair Razi Allahu Anhu jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat se wapas loote to apne baito ko loogo ki ek jamaat k saath mil kar use dafan karte hue paya, jab un loogo ne unhe madeena ki janib se ate hue dekha to unki taraf mutawajjah hue aur pucha Ae Umair Razi Allahu Anhu kya tumne ise qatal kiya hai? Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Han chaho to tum sab mere khilaaf tadbeer karlo aur mujhe koi mohlat na do us zaat ki qasam jis k haath mai meri jaan hai agar tum sab bhi wahi baat kahe jo usne kahi thi to mai tum sab ko apni talwaar se qatal karunga ya khud mar jaunga" yahi wo din tha k banu khatma kabeele mai islaam galib hua, warna unme aese loog bhi they jo apni qaum k darr se islaam ko chipaate they". (Waqidi Kitabul Magaazi sarimul maslool safa no. 95-96)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MAZAAQ UDAANE WALO PAR DUNYA AUR AKHIRAT, DONO JAGAH ALLAH TA'ALA KI LAANAT HAI AUR UNKE LIYE JAHANNAM MAI RUSWA KUN AZAAB HOGA



Jo loog Allah aur uske Rasool Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko azeeyat dete hai un par Allah ne dunya aur akhirat mai laanat farmayi hai aur unke liye ruswa kun azaab tayyar kar rakkah hai. (Surah Ahzaab surah no. 33 ayat no. 57)

Allah Ta'ala hamari hifazat farmaye aur gustaakh e rasool k khilaaf hamari madad farmaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 6

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 6



Bismillahirrahmanirraheem

HAZRAT UMAIR BIN UMAYYA RAZI ALLAHU ANHU KI BEHAN RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO GAALIYA DETI THI, HAZRAT UMAIR RAZI ALLAHU ANHU NE APNI BEHAN KO QATAL KAR DIYA, RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE USKA KHOON RAIGA KARAAR DE DIYA

Hazrat Umair bin Umayya Razi Allahu Anhu ki ek mushrika behan thi jab hazrat umair Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ki khidmat mai haazri k liye (ghar se) nikalte to ye hazrat Umair Razi Allahu Anhu ko (baato s) azziyat pahunchati, Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko gaaliya deti ek rooz hazrt Umair Razi Allahu Anhu ne talwaar lapaiti behan k paas aye aur use qatal kar diya, us aurat k baite khade ho gaye aur cheekhne chillane lage aur kehne lage hame maloom hai ise kisne qatal kiya hai? kya hamari maa un loogo k haato qatal hui jin k maa baap mushrik hai? jab Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ko khadsha mehsoos hua k ye loog meri bajaye kisi aur ko qatal na kar de to hazrat Umair Razi Allahu Anhu Nabi E Akaram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ki khidmat mai hazir hue aur sara waqiya keh sunaya, Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne daryaft farmaya: "Kya tune apni behan ko qatal kiya hai?" Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Han" Aap Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne phir daryaaft farmaya "tune use kyu qatal kiya hai?" Hazrat Umair Razi Allahu Anhu ne jawab diya "Ye Aap Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko gaaliya deti thi jis se mujhe takleef hoti thi, Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne aurat k baito ki taraf aadmi bhej kar qatil ka naam daryaaft farmaya to unhone hazrat Umair Razi Allahu Anhu ki bajaye kisi aur ka naam liya, Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne unhe sahi qatil ka naam bataya aur us aurat ka khoon raiga karaar diya". (Tabraani Majmua uz zawahid Hadees no. 10570)

GUSTAKH E RASOOL YAHOODI IBNE SABEENA KO HAZRAT MUHAISA BIN MAS'OOD RAZI ALLAHU ANHU NE QATAL KIYA AUR APNE HAQEEQI BAHI HUWAISAH BIN MAS'OOD KO BHI AESI GUSTAKHI KARNE PAR QATAL KARNE KI DHAMI DI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai (jang e badr k baad) jab (Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam k hukm par) kaab bin ashraf (yahoodi) ko (toheen e risalat k jurm mai) qatal kar diya gaya to Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne farmaya: "Yahoodiyo mai se jis kisi ko toheen e risalat ka murattab pao, use qatal kar do" chunanche Muhaisa Razi Allahu Anhu ne ek yahoodi tajid ibne sabeena ko (toheen e risaalat k jurm mai) qatal kar diya, muhaisa yahoodiyo k han ata jata tha aur unke saath tijaarat bhi karta tha, Hazrat Muhaisa Razi Allahu Anhu ka bada bhai Huwaisa bin mas'ood bhi islaam nhi laya tha usne apne bhai ko maarna peetna shuru kar diya aur kehne laga "Ae Allah k duhman! kya tune us yahoodi ko qatal kar diya hai halankey uske maal se kitni charbi tere pait mai hai" Hazrat Muhaisa Razi Allahu Anhu ne kaha Allah ki qasam use qatal karne ka hukm mujhe us zaat ne diya tha k agar wo mujhe hukm de tujhe qatal karne ka to mai tujhe bhi qatal kardu, Huwaisa ne tajjub se kaha agar MUhammad (Sallallahu Aliahi Wa Sallam) tujhe hukm de mujhe qatal karne ka to kaya waqayi to mujhe qatal kar dega? Hazrat Muhaisa Razi Allahu Anhuu ne farmaya "Han" Allah ki qasam! agar wo mujhe hukm de to mai tujhe bhi qatal kar dunga, Huwaisa kehne laga "Allah ki qasam! ye deen to bahut khoob hai jisne tujhe is jazbe se sarshaad kar diya" aur huwaisa musalmaan ho gaya. (Istiyaab baab harafe meem, hadees no. 2554)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO GAALIYA DENE WALE MUSHRIK KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALIAHI WA SALLAM NE KHUD QATAL KARWAYA

Hazrat Abdullah Bin Abbas Razi Allahu Anhu k azaad karda gulaam hazrat Akrama Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mushriko mai se ek aadmi ne Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko gaaliya di, Aap Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne farmya: "mere dushman se kon niptega?" Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam mei niptunga" chunanche hazrat Zubair Razi Allahu Anhu ne us mushrik se do so haath kiye aur use qatal kar dala, Nabi Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne Hazrat Zubair Razi Allahu Anhu ko us ka maal (Batoor ganeemat) ata farmaya. (Musannaf Ibne Abdur Razzaq Hadees no. 9477)

EK MAL'OONA YAHOODIYA NE RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO BURA BHALA KAHA TO SAHABI NE USE QATAL KAR DIYA, RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE YAHOODIYA KA KHOON RAAIGA QARAAR DE DIYA

Hazrat Ali Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek yahoodiya Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ko bura bhala kaha karti thi aur Aap Sallallahu Aliahi Wa Sallam ki shaan mai gustaakhi karti thi, ek aadmi ne uska gala ghoota hattake wo mar gayi, Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam uska khoon raaiga qaraar de diya. (Sunan Behaqui Hadees no. 1251)

To Be Continued......

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 5

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 5



Bismillahirrahmanirraheem

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO GAALIYA DENE WALI MAL'OONA AURAT KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE KHUD QATAL KARWAYA

Qabeeba e talqeen k ek aadmin se riwayat hai k ek aurat Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya diya karti thi, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Mere is dushman se kaun nimtega?" hazrat Khalid bin Waleed Razi Allahu Anhu us aurat k paas gaye aur use qatal kar diya. (Musannaf ibne Abdur Razzaaq Hadees no. 9705)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO AZIYYAT PAHUNCHANE WALE NAZEER BIN HAARIS AUR MAL'OON UQBA BIN ABU MU'EET DONO KO GAZWA E BADR K BAAD QATAL KIYA GAYA

Ibne Is'haaq kehte hai (gazwa e badr se waapsi par) jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam muqaam safra par pahunche to nazeer bin haaris ko qatal kiya gaya, use hazrat Ali bin Abu Talib Razi Allahu Anhu ne (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm se) qatal kiya aur jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam irq e zabiyya k muqaam par pahuche to uqba bin abu mu'eet ko qatal kiya gaya, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uqba ko qatal kerne ka hukm diya to kehne laga "Ae Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)! mere baccho ka kya hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: unke liye aag hai, Imaam ibne kaseer Rahimahullah kehte hai ye dono logo mai se badtareen they aur kufr mai sab se badhey hue they aur islaam se dushmani rakhne mai sabse aagey they, sarkushi, hasad, islaam aur musalmaano ki huju karne mai sab se zayada they, dono par Allah ta'ala ki laanat ho. (Al Bidaya Wan Nihaya maqatl nazeer bin haaris wa uqba bin abu mu'eet lanatullah 3/324)

GUSTAKH E RASOOL MAL'OON HUWAIRIS BIN NUQEEZ KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE FATAH MAKKAH K BAAD KHUD QATAL KARWAYA

Waaqidi kehte hai huwairis bin nuqeez nabi e akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aziyyat pahuchaya karta tha is liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (fatah makkah k rooz) uska raiga karaar de diya, fatah makkah k rooz wo apne ghar mai tha, lekin uske liye jeena doobhar ho gaya (ya zameen us k liye tang ho gayi) Hazrat Ali Razi Allahu Anhu uski justaju mai they, Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ko bataya gaya k wo to fala gao mai hai, huwairis ko bhi kisi ne ittela kar di k wo matloob hai (Hazrat Ali Razi Allahu Anhu us gao pahuch gaye) uska darwaaza khatkhataya huwairis bahar nikla, wo bhaag kar kisi dusre ghar mai panah lena chahta tha lekin Hazrat Ali Razi Allahu Anhu saamne a gaye aur use qatal kar diya. (Saarimil Maslool safa no. 128)

GUSTAKH E RASOOL ABU AFAK YAHOODI KO HAZRAT E SAALIM BIN UMAIR RAZI ALLAHU ANHU NE JAHANNAM RASEED KARNE KI NAZAR MAANI AUR MOOKA MILTE HI APNI NAZAR PURI KAR DI

Hazrat Zaid bin Saabit Razi Allahu Anhu kehte hai k banu umar wa bin auof ka ek shaks tha jiska naam abu afak tha, bahut hi budha, jab nabi e akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam madeena munawwara tashreef laye us waqt uski umar 120 saal thi, abu afak ne islaam qabool na kiya aur loogo ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki dushmani k liye bhadkaya karta, jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam gazwa e badr k liye tashreef le gaye to Allah ta'ala ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khoob madad farmayi jis se abu afak hasad karene laga aur sarkashi par utar aya, Hazrat Saalim bin umair Razi Allahu Anhu ne ye nazar maani k mai ya to abu afak ko qatak karunga ya khud uske haatho qatal ho jaunga jab Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu abu afak ki toh mai they, moosam garma ki ek raat abu akak banu umar wa bin auof k han sahan mai soya hua tha Hazrat saalim Razi Allahu Anhu aye aur talwaar uske kaleeje par rakh di hatta k talwaar bistar tak pahunch gayi, Allah ka dushman cheekhne chillane laga uske ham khayal loog bhaage hue aye, utha kar use kamre mai le gaye aur dafan kar diya, phir puchne lage "ise kisne qatal kiya?" Wallah agar hame pata chal jaye to hum use qatal kar denge". (Waaqidi Kitabul Magaazi jild 1 safa no. 174-175)

To Be Continued......

Wednesday 28 May 2014

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 4

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 4



Bismillahirrahmanirraheem

GUSTAKH E RASOOL KHUSRO PARVAIZ SE BHI ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI INTAQAAM LIYA

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek sahaabi ko ek khat banaam kisra de kar bheja aur hukm diya k ise ameer e behreen tak pahunchaado aur ameer e behreen ne wo khat kisra pahuncha diya jab kisra ne wo khat padha to phaad diya, raavi kehta hai k ibne musayyab Razi Allah Anhu ne kaha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ahle faaras k liye dad dua "Farmaayi Allah inhe parah parah kar de". (Bukhari Kitabul Ilm)

Wazahat: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki us bad dua k baad jaldi hi Allah ta'ala ne kisra ki huqoomat ko parah parah kar diya.

RASOOL ALLAH SALLLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ISTAHZA KARNE WALE EK MURTAD KO ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI HI IBRAT NAAK SAZA DI

Hazrat Anas Razi Allah Anhu riwayat karte hai k ek isayi aadmi musalman hua usne surah baqara aur surah aal e imraan padhli aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye (wahi ki) kitabat karne laga lekin baad mai murtad ho gaya kehne laga Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ko tu kisi baat ka pata hi nhi hai jo kuch mai likh kar deta hu bas wahi keh deta hai, Allah ne jab use maut di to isaiyo ne use (qabar mai) dafar kar diya subah hui to (loogo ne dekha k) zameen ne use bahar nikaal phenka hai isaiyo ne kaha ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) aur unke saathiyo ka kaam hai chunke wo unke deen se bhaag kar aya hai lihaaza unhone uski qabar khood kar laash bahar nikaal phenki hai, isaiyo ne uske liye dobara (nayi jagah) qabar khoodi aur use (pehli ki banisbat) bahut gehra banaya (aur laash ko dobar dafan kar diya) jab subah hui to (loogo ne dekha k) zameen ne use phir bahar nikaal phenka hai, isaiyo ne phir ilzaam lagaya ye Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) aur unke saathiyo ka kaam hai chunke wo unke deen se bhaag kar aya hai lihaaza unhone uski qabar khood kar laash bahar nikaal phenki hai, isaiyo ne (teesri martaba) uske liye qabar khoodi aur itni gehri banayi jitni gehri wo bana sakte they, subah hui to (loogo ne dekha k) zameen ne use phir nikaal bahar phenka hai tab unhey yaqeen ho gaya k ye musalmaano ka kaam nhi hai (balke Allah k azaab hai) chunanchey isaiyo ne us ki laash aese hi chood di. (Bukhari Kitabul Manaqib)

DUSHMAN E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM AAMIR BIN TUFAIL SE BHI ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI HI INTEQAAM LIYA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k mushriko k sardaar aamir bin tufail ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko teen baato mai se koi ek baat qubool karne ki paishkash ki, pehli baat ye k aap dehatiyo par huqoomat kare aur hum shehar walo par, doosri baat ye k mai aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka khaleefa banu agar ye dono baate aapko qubool na ho to teesri baat ye hai k qabeela e gatfaan k do hazaar aadmi le kar mai tumhare khilaaf jang karunga, aamir bin tufail ek aurat k ghar ta'oon mai mubtala hua to kehne laga ye to bas oonth ki gadood ki tarah ek (mamooli si) gadood hai aur (kuch nhi) kehne laga "mera ghoda lao (mai ilaaj k liye jao) jese hi ghoode par baitha to uski peeth par hi mar gaya". (Bukhari Kitabul Magaazi)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO QATAL NARNE KI DHAMI DENE WALE MAL'OON UBAY BIN KHALF KA GAZWA E UHAD MAI IBRAT NAAK ANJAAM

Iben is'haaq kehte hai (gazwa e uhad mai) jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ghaati mai tashreef laye to ubay bin khalf ye kehta hua aya "aaj muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) nhi ya mai nhi" mujhahideen ne arz ki "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam kya hum mai se ispar koi hamla kare?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Nahi ise aane do" jab wo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qareeb aya to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne haaris bin samaah Razi Allahu Anhu se ek naizah liya aur ubay bin khalf k saamne a gaye uski gardan mai taak kar naizah mara jis se wo baar baar apne ghoode se ludakta raha, umayya bin khalf ek baar makkah mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se (istahzaya aur hatak ameezana andaaz mai) kehne laga "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) mere paas "Auoz" naami ghooda hai jise mai rozana teen saa (saade saat kilogram) galla khilaata hu mai tumhe is ghoode par baith kar qatal karunga" "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: nahi balke mai tujhe qatal karunga, In shaa Allah!" chunanche naizah lagne k baad jab ubay bin khalf quraish k paas wapasa gaya to kehne laga "Wallah! Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne mujhe qatal kar diya hai halanke us naizey se uske gale par mamooli si kharaash ayi thi aur khoon tak nhi nikla tha, loogo ne kaha: Wallah! tumhe kuch bhi nahi hua tum to dil haar baithey ho" ubay bin khalf kehne laga "Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ne mujhe makkah mai kaha tha mai tumhe qatal karunga, Allah ki qasam! agar wo mujh par thook bhi deta to mai mar jata" phir Allah ka dushman apne qafiley k sath makkah wapas jaate hue muqaam e sarf par hi mar gaya. (Ibne Hishaam 3/55 matbua darul kutub azi bairoot)

Wazahat: Hazrat Urwah Razi Allah Anhu farmaate hai k mal'oon ubay bin khalf naizah lagne k baad bail (saand) ki tarah takraata tha aur kehta "us zaat ki qasam jis k haath mai meri jaan hai jitni takleef mujhe hai agar zawal mijaaz k saare loogo mai taqseem kar di jaye to wo bhi mar jaye" (Ar Raheequl Makhtoom)

To Be Continued......

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 3

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 3



Bismillahirrahmanirraheem

ABU RAFA'E YAHOODI JISKA NAAM ABDULLAH BIN ABUL HAQEEQ THA, RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TOHEEN KARTA THA, AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K HUKM PAR USE BHI QATAL KIYA GAYA

Hazrat Bara Bin Aazib Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ansaar ko abu raafa'e yahoodi k paas bheja aur unpar Abdullah bin Ateeq Razi Allahu Anhu ko ameer muqarrar kiya, ye abu rafa'e Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sakht azziyat (takleef) diya karta tha aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mukhlifeen ki a'aanat karta tha, zameen jijaaz mai uska kila tha wo usme riha'ish pazeer tha, jab ye loog uske paas pahunche to sooraj guroob ho chuka tha aur shaam k waqt loog apne mavaishi wapas la chuke they. Hazrat Abdullah Bin Ateeq Razi Allahu Anhu ne apne saathiyo se kaha: tum apni jagah par baitho mai jata hu aur darbaan se mil kar naram naram baate karke kiley k andar jaane ki koi tadbeer karta hu, wo kiley ki taraf rawana ho gaye aur darwaaze k kareeb pahunch kar khud ko kapdo mai is tarah chupaya goya qaza e haajat k liye baithey ho, us waqt ahle qila andar ja chuke they, darbaan ne apna aadmi samajh kar awaaz di "Ae Allah k bande agar tu andar ana chahta hai to aa ja mai darwaza band kar raha hu", Abdullah bin Ateeq Razi Allahu Anhu kehte hai k ye sunkar mai kiley k andar daakhil hua, aur chup gaya, jab sab loog andar aa chuke to darbaan ne darwaaza band kar k chabiya khoonti par latka di, Hazrat Abdullah bin Ateeq Razi Allahu Anhu ka bayan hai k mene uth kar chabiya li aur qiley ka darwaza khool diya, abu raafa'e k paas raat ko daastaan goyi hua karti thi, wo apne bala khane mai rehta tha jab daastaan go uske paas se chale gaye to mai uski taraf chal pada, mai jab koi darwaaza khool kar andar dakhil hua to andar se use chatkhani laga deta katey agar loogo ko meri khabar ho jaye to mujh tak abu raafa'e ko qatal karne se pehle pahunch na sake, jab mai uske paas pahuncha to maloom hua k wo ek tareek kamre mai apne baccho k darmiyaan so raha hai, chunkey mujhe maloom na tha k wo kis jagah par hai, is liye mene abu raafa'e keh kar awaaz di, usne jawaab diya "Kaun hai?" mai awaaz ki taraf mutawajjah hua aur us par talwaar se zoordaar waar kiya us waqt mera dil dhadak dhadak kar raha tha, us zarb se kuch kaam na nikla aur wo chillane laga mai kamre se bahar a gaya, thodi dair thehar kar phir dakhil hua, phir mene kaha "ae abu raafa'e ye kesi awaaz thi?" usne kaha "teri maa par musibat padi abhi abhi kisi ne is makaan mai mujh par talwaar ka waar kiya tha, Hazrat Abudullah Razi Allahu Anhu ka bayan hai k mene phir ek aur bharpoor waar kiya magar wo bhi khali gaya agarche usko zakham lag chuka tha, lekin wo us se mara nhi tha is liye mene talwaar ki nook uske pait kar rakhi (aur khoob zoor lagaya) talwaar uski peeth tak pahunch gayi jab mujhe yaqeen ho gaya k mene ise maar dala hai to mai ek ek darwaaza kholta hua seedhi tak pahuncha chandni raat thi ye khayaal kar k mai zameen par pahunch gaya pao niche rakkha to dhadaam se niche a gira apne dil mai kaha k yaha se us waqt tak nahi jaounga jab tak mujhe yaqeen na ho jaye k mene use qatal kar diya hai lihaaza jab subah k waqt murg ne azaan di to maut ki khabar sunaane wala diwaar par khada ho kar kehne laga "loogo mai tumhe hijaaz ki soodagar abu raafa'e k marne ki khabar deta hu" ye sunte hi mai apne saathiyo ki taraf chala aur unse kaha yaha se jaldi bhago Allah ne abu raafa'e ko (haamare haatho) qatal karwa diya hai phir waha se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas pahuncha aur tamaam qissa keh sunaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "apna toota hua pao phelao" mene apna pao phelaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apna dart e mubarak us par phera jis se wo aesa ho gaya k goya mujhe kabhi shikayat hi na thi". (Bukhari Kitabul Magaazi)

AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI HUJU KARNE WALE MAL'OON ABDULLAH BIN KHATAL KO FATAH MAKKAH K ROOZ NABI E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KE HUKM PAR QATAL KIYA GAYA

Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k fatah makkah k rooz jab nabi e kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam makkah mai dakhil hue to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke sar par khood thi, aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khood utaara ek aadmi aya aur kehne laga "Abdullah bin khatal kaaba shareef k pardey se latka hua hai, aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: use qatal kar do". (Bukhari Kitabul Magaazi)

Wazahat: Abdullah bin khatal teehra mujrim tha, 
1. Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karta aur loondiyo ko huju padhne ka hukm deta aur loogo ko sunwaata
2. pehle musalmaan hua phir murtad ho gaya
3. na haq ek musalmaan ko qatal kiya.

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM K GUSTAAKH ABU LAHAB SE ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI HI INTAQAAM LIYA

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu k azaad karda gulaam hazrat Akrama Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k azaad karda gulaam Abu Raafa'e Razi Allahu Anhu ne kaha: abu lahab (maut k darr se) gazwa e badr mai shamil na hua aur apni jagah aas bin hishaam ko bhej diya jab quraishi sardaaro ki halakat ki khabar makkah pahunchi to Allah ta'ala ne abu lahab par zillat aur ruswaayi musallat kar di aur humne apne andar taaqat aur quwwat mehsoos ki, Wallah! shikast ki khabar sun'ne k baad abu lahab sirf saar raatey zinda raha, Allah ta'ala ne use ta'oon ki aesi maar maari k wo usi se halaak ho gaya, ek riwayat mai ye bhi hai uske baito ne uski laash bagair kafan chood di hattake sad kar boo choodne lagi, Allah ki qasam uske baito ne use gusal bhi na diya, door se us par paani phenka, koi uske qareeb nhi bhatakta tha phir wo use makkah k kabristaan mai le gaye ek diwaar k saath lagaya aur uper se patthar phenk kar dhaanp diya. (Al Bidaya Wan Nihaya safa no., 328 matbua daarul maarfa bairoot)

GUSTAAKH E RASOOL ABU JAHAL BIN HISHAAM SE BHI ALLAH TA'ALA NE DUNYA MAI INTEQAAM LIYA

Hazrat Abdur Rahmaan bin Auf Razi Allah Anhu farmaate hai gazwa e badr k din mai maidaan e jang ki saff mai khada tha achanak mene apne daaye baaye nazar daali to ansaar k do kam umar ladko ko dekha mene khawahish ki kaash mai in kamsan ladko k bajaye mazboot jism k maalik aadmiyo k darmiyaan hota un dono me se ek ne mujh se ishaara mai pucha "chacha jaan! kya aap abu jahal ko pehchaante ho" mene kaha "Han lekin lekin mere bhateeje tujhe us se kaya garz?" usne jawab diya "mujhe pata chala hai k wo Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya deta hai us zaat ki qasam jiske haath mai meri jaan hai agar mene use dekh liya to us se us waqt tak alag na hounga jab tak hum dono mai se jis ki maut pehle ayi ho wo marna jaye" mujhe uski is baat par tajjub hua usi dauraan ek dusre jawaan ne mujh se ishaare se wahi sawaal pucha jo pehle ne pucha tha chand lamho baad meri nazar abu jahal par padi jo loogo k darmiyaan ghista phir raha tha mene (dono se mukhatib ho kar) kaha "dekho wo hai abu jahal jiske baare mai tum mujh se puch rahe ho" dono ladke apni talwaaro k saath us par jhapat padey aur use waar kar k qatal kar daala phir dono Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mai haazir hue aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko abu jahal k qatal ki khabar di un dono k naam mu'aaz bin afra'a aur mu'aaz bin umar wa bin jamooh they. (Bukhari Kitabul Jihaad)

To Be Continued......

Tuesday 27 May 2014

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 2

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 2



Bismillahirrahmanirraheem

AHAD E NABWI MAI EK YAHOODI KAAB BIN ASHRAF RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TOHEEN KARTA THA, AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE KHUD USKO QATAL KARNE KA HUKM DIYA

Hazrat Jaabir Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Kaab bin ashraf ki kaun khabar leta hai usne Allah aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bahut takleef di hai, Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu khade hue aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya aap pasand karte hai k mai uska kaam tamaam kardu?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Han" unhone kaha to phir mujhe ijazat dijiye k mai jo munasib samjhu us se kahu, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Tujhe ijazat hai, Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu kaab bin ashraf k paas aye aur kehne lage, ye shaks (yaani hazrat muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam) hum se sadqa maangta hai aur usne hame badi mashakkat mai mubtala kar rakkha hai, lihaza mai tujh se kuch karz lene aya hu, kaab bola: abhi to tum us se aur bhi takleefey uthaoge, Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha: ab to hum uski itteba ikhtiyaar kar chuke hai, hum use chood nahi sakte jab tak dekh na le k ayenda hamare saath kya guzarti hai? us waqt to mai tere paas ek ya do wask galla qarz lene aya hu, kaab bin ashraf ne kaha "pehle mere paas koi cheez girwi rakkho (tak qarz dunga)" Muhammad bin Maslamah ne kaha tum kya cheez rakhna chahte ho?, kaab ne kaha apni aurate ruhan rakh do, Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha: tu arab mai bahut khoobsurat aadmi hai is liye tum tere paas apni aurate kese ruhan rakh sakte hai? kaab ne kaha: to phir apne baite mare yaha girwi rakh do, Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha ye kese ho sakta hai k hum apne baite tere paas ruhan rakh de, unhe taana diya jayega aur kaha jayega k unhone ek ya do wask galla k ous ruhan rakkha gaya tha aur ye baat hamare liye ba'as sharam hai, al batta hum apne hathyaar tere paas girvi rakh sakte hai, Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu kaab k saath hathyaaro ka maamla tey karke aye aur raat k waqt kaab k bhai Hazrat Abu Naila Razi Allahu Anhu ko saath le kar aye, kaab ne un doono ko kalba ki taraf bulaya phir khud unke paas jane laga to uski beewi ne kaha: is waqt kaha ja rahe ho? kaab ne jawab diya ye to sirf Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu aur mera raza'i bhai Abu Naila Razi Allahu Anhu hai beewi ne kaha kaab mai to aesi awaaz sunti hu jis se khoon ki bu aati hai, kaab ne kaha: "Khatre ki koi baat nahi waha mera dost Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu aur mera raza'i bhai Abu Naila Razi Allahu Anhu hi hai (aur kaun hai?) shareef aadmi ko agar raat k waqt naiza maarne k liye bhi bulaya jaye to wo foran us aurat ko qatal kar leta hai, Raavi ka bayan hai k Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu apne saath do aur aadmi le kar aye they aur ek riwayat k mutabiq saath waale shaks Hazrat Abu Abs bin Jahar Razi Allahu Anhu, Haris Bin ous Razi Allahu Anhu aur Abaad bin bashar Razi Allahu Anhu they, Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhune apne saathiyo se kaha "jab kaab yaha ayega to mai uske baal pakad kar soonghunga jab tum dekhoge k mene uska sar mazbooti se thaam liya hai to tum jaldi se uska kaam tamaam kar dena" Raavi ne ek dafa yu bayan kiya k phir mai tumhe sugaunga kaab uske paas chadar se lipte hue aya jisme se khushbu ki mehak uth rahi thi, tab Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha: mene aaj ki tarah ki khushbudaar hawa kabhi nahi soonghi" tab kaab ne kaha mere paas arab ki wo aurat hai jo sab aurato se zayada ma'atar rehti hai aur husn wa jamaal mai bhi be nazeer hai, Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha: kya tu mujhe apna sar soonghne ki ijaazat deta hai? usne kaha "Han" tab Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne khud bhi soongha aur apne saathiyo ko bhi sughaya phir Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu ne kaha: mujhe dobara soonghne ki ijazat hai? usne kaha "Han" phir jab Hazrat Muhammad bin Maslamah Razi Allahu Anhu me use mazboot pakad liya to apne saathiyo se kaha: "Idhar aao" chunanchey unhone use qatal kar diya, phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas aye aur Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallamko us (k qatal) ki khushkhabri sunayi." (Bukhari Kitabul Magaazi Baab Qatala Kaab Ibne ashraf)

Wazahat: Kaab bin ashraf k jara'im (jurm) mai se chand ek ye hai

1. Rasool e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki shaan mai gustaakhi aur sab wa sitam.
2. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju mai ashyaar kehna.
3. Ishqiya ahyaar musalman aurato ki tadlees aur toheen karna.
4. Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko qatal karne ki sajish karna.
5. Nakas E Ahad
6. Mushrikeen ko Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k khilaaf jang k liye uksaana.

To Be Continued......

Monday 26 May 2014

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 1

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 1



Bismillahirrahmanirraheem

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ISTAHZA (MAZAAK) KARNE WALO SE ALLAH TA'ALA DUNYA AUR AKHIRAT MAI BHARPOOR INTEQAAM LENGE

Beshak hum aapka mazaaq udane walo se inteqaam lene k liye kaafi hai. (Surah Hijr surah no 15 ayat no. 95)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA ISTAHZA (MAZAAK) KARNE WALA DAIRA E ISLAAM SE KHARIJ HO JATA HAI

Agar tum un (munafiqo) se pucho tum kya baate kar rehe they? wo foran jawab denge bas hum to zara hasi mazaaq aur dil lagi kar rahe they un se kaho: kya tumhari hasi aur dil lagi Allah, uski aayaat aur uske Rasool k saath hi thi? ab ma'azratey paish na karo, emaan laane k baad tumne kufr kiya hai agar humne tum mai se ek garoh ko maaf kar bhi diya to dusre garoh ko saza zaroor denge kyunki wo mujrim hai. (Surah Tauba surah no. 9 ayat no. 65 aur 66)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MAZAAQ UDAANE WALO KA ALLAH TA'ALA DUNYA SE NAAM O NISHAAN MITA DETE HAI

Beshak tera dushman hi jadd kata hai (yaani jis tarha paid ki jadd kaat di jaati hai wahi misaal yaha us shaks ki hai). (Surah Kausar surah no. 108 ayat no. 3)

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TOHEEN KARNE WALE KI SAZA QATAL HAI KHAWAH KAFIR HO YA NAAM NIHAAD MUSALMAAN!

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai k mai Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu k paas betha tha aur wo ek aadmi par sakht izhaar naaraazi farma rahe they, mene arz kiya "Ae khalifa e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam mujhe ijazat dijiye mai uski gardan uda du" mere in kalmaat se Hazrat Abu Bakr Razi Allhu Anhu ka saara gussa door ho gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam apni jagah se uthey aur andar chale gaye aur (thodi dair baad) mujhe bulaya aur pucha "tune mujhe kya kaha tha?" mene arz kiya "mujhe ijazat dijiye mai iski gardan uda du", Hazrat Abu Bakr Siddique Razi Allahu Anhu ne pucha agar mai ijazat de deta to kya tum aesa kar guzarte? mene arz kiya "han" Hazrat Abu Bakr Siddique Razi Allahu Anhu ne farmaya: Wallah! toheen k jurm mai qatal ki saza Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baad kisi aadmin k liye jayez nhi. (Abu Dawood Kitabul Hudood Hadees no. 3666)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KI TOHEEN AUR GUSTAAKHI KARNE PAR HAZRAT ABDULLAH BIN UMME MAKTOOM RAZI ALLAHU ANHU NE APNI LONDI KO QATAL KAR DIYA, RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE USKA KHOON RAIGA KARAAR DE DIYA

Hazrat Abdullah Bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek nabeena sahabi ki loondi thi jo Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya bakti aur aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karti, sahabi use mana karte lekin wo baaz na aati, sahabi use daant'te lekin wo phir bhi na ruki, ek raat loondi ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju ki aur gaaliya bakne lagi to sahabi ne chura uske pait mai ghoonp diya aur zoor se dabaya jis se wo halaak ho gayi aur uski taango k darmiyaan baccha gir gaya aur usne jagah ko khoon se ganda kar diya, jab subah hui to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne us waqiya ka zikr kiya gaya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne loogo ko jama kiya aur farmaya: "Jis shaks ne ye kaam kiya hai mai use Allah ki qasam de kar aur apne us haqq k hawaale se jo mera us par hai, kehta hu k wo khada ho jaye, wo nabeena sahabi khade ho gaye, loogo ko loogo ko phaangta hua aage badha aur nabi e akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne a kar baith gaya, wo aadmi kaanp raha tha, arz karne laga "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mai hu uska qaatil, wo aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya bakti thi aur aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karti thi, mai use mana karta lekin wo baaz na aati, mai use daant'ta lekin phir bhi mana na hui haalanke us se mere mootiyo jese (khoobsurat) do baite bhi hai wo meri (achhi) rafeeqa thi lekin kal raat jab wo aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya bakne lagi aur aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki huju karne lagi to mene chura (chaku) pakda aur uske pait mai ghoonp diya aur zoor se daba diya, hattake mene use qatal kar diya" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: loogo suno!, gawah rehna is loondi ka khoon raiga hai".  (Abu Dawood Kitabul Hudood Hadees no. 3665)

To Be Continued......

Sunday 25 May 2014

FITNA E DAJJAL SE PANAH TALAB KARNE KI DUAYE PART 12 FINAL

FITNA E DAJJAL SE PANAH TALAB KARNE KI DUAYE PART 12 FINAL



Bismillahirrahmanirraheem

FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ REHNE K LIYE DARJ ZAIL DUA MAANGNI CHAHIYE

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz mai (Darood shareef k baad) ye dua maanga karte they "ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA MIN AZAABIL QABRI WA AOUZUBIKA MIN FITNATIL MASEEHID DAJJALI WA AOUZUBIKA MIN FITNATIL MAHYA WA MAMAATI ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA MINAL AASIMI WAL MAGRAMI" Tarjuma: Ae Allah mai teri panah maangta hu azaab e qabr se maseeh dajjal k fitne se, zindagi aur maut ke fitne se, gunah aur qarz se (Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 832, Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 589)

Allah k Rasool Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Namaz mai ek aur dua padhte they: "ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA MIN AZAABI JAHANNAMA WA MIN AZAABIL QABRI WA MIN FITNATIL MAHYA WA MAMAATI WA MIN SHARRI FITNATIL MAHEEHID DAJAAL" Tarjuma: Ae Allah! mai jahannam aur qabr k azaab se, maut wa hayaat k fitne aur maseeh dajjal k shar se teri panah maangta hu. (Muslim Hadees no. 588)

SURAH KAHAF KI PEHLI DAS AAYAAT YAAD KARNE WALA SHAKS BHI FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAHEGA

Hazrat Abu Darda Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jis ne surah kahaf ki pehli das aayaat yaad kar li wo fitna e dajjal se bacha liya gaya. (Abu Dawood Kitabul Malahim Baab Khurooj E Dajjal Jild 2 Hadees no. 3626)

Allah Ta'ala hum sab ki Fitna E Dajjal se hifazat farmaye (Aameen Ya Rabbal Alameen)

AHLE EMAAN KO ALLAH TA'ALA FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAKKHEYGA PART 11

AHLE EMAAN KO ALLAH TA'ALA FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAKKHEYGA PART 11



Bismillahirrahmanirraheem

AHLE EMAAN KO ALLAH TA'ALA FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAKKHEYGA

Hazrat Mugeera bin Shu'ba Razi Allahu Anhu kehte hai dajjal k baare mai jitna mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha itna kisi aur ne nhi pucha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tujhe uski itni fikar kyu hai wo tujhe kuch bhi nuksaan nhi pahuncha sake ga?" mene arz kiya Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! loog kehte hai uske paas khana aur nehre hongi? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: uske paas jo kuch bhi hoga wo Allah k nazdeek bahut hi haqeer hai. (Muslim Kitabul Jihaad Hadees no. 2170)

ALLAH KI REHMAT SE ANPADH AHLE EMAAN BHI DAJJAL KI PAISAHANI PAR "KAFIR" LAFZ PADH KAR USE PEHCHAAN LENGE

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal ki ek aankh kaani hai uske uper ek phuli hogi uski dono ankho k darmiyaan (paishani par) "Kafir" likha hoga jise har momin, padha likha ya anpadh sab padhlenge". (Muslim Kitabul Fitan)

JO LOOG DAJJAL KO PEHCHAAN KAR APNE EMAAN PAR QAYAM RAHENGE UNPAR DAJJAL KA FARAIB NAHI CHALEGA

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal par chunke madina mai dakhil hona haraam kar diya gaya hai lihaza wo madeena se bahar ek sanghlaakh zameen par utrega us waqt madeena walo mai se sabse behtar aadmi dajjal k paas jayega aur kahega mai gawahi deta hu k tu hi dajjal hai jiske baare mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hame bata gaye hai dajjal (loogo se mukhatib ho kar) kahega agar mai us aadmi ko qatal kardu phir zinda kardu to kya tumhe mere ila (mabood) hone par koi shak reh jayega loog kahenge nhi! chunanche dajjal use qatal karega phir zinda karega wo aadmi kahega Allah! ab to mujhe aur bhi zayada yaqeen ho gaya hi k tu hi dajjal hai, dajjal use dobara qatal karna chahega lekin kar nahi sakega". (Muslim Kitabul Fitan)

EK MOMIN AADMIN KO DAJJAL AAREY SE CHEER KAR DO TUKDE KARDEGA AUR ZINDA HONE KA HUKM DEGA JAB WO DOBARA ZINDA HO JAYEGA TO DAJJAL MOMIN KO DOBARA QATAK KARNA CHAHEGA TAB ALLAH TA'ALA US MOMIN KA JISM PEETAL KA BANA DEGA AUR DAJJAL USE QATAL NHI KAR SAKEGA

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Dajjal niklega to momino mai se ek aadmin uski taraf a raha hoga k raaste mai use dajjal k hathyaar band sipaahi milenge use puchenge "Kaha ja rahe ho?" momin jawab dega "Jo dajjal zahir hua hai uski taraf ja raha hu" Dajjal k kaarinde us se puchenge "Kya tu hamare rabb (yani dajjal) par emaan nahi laya?" momin jawab dega hamara rabb makhfi nhi hai, dajjal k kaarinde kahenge ise qatal kar do, tab wo aapas mai ek dusre se kahenge kya tumhare rabb (yaani dajjal) ne mana nahi kiya k uske hukm k bagair kisi ko qatal na karna chunanche wo us momin aadmi ko dajjal k paas le jayenge jab momin aadmin dajjal ko dekhega to pukaar uthega loogo ye wahi dajjal haijis ki khabar Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne di thi chunanche dajjal apne kaarindo ko uska sar kuchalne ka hukm dega wo uska sar kuchal denge uske pait aur peeth par bhi zarbe maarenge phir dajjal us se puchega "kya tu mujh par emaan lata hai?" jawab mai momin aadmin kahega "tu jhoota hai" dajjal huqm dega aur momin aadmin ko sar se le kar pao tak aarey se cheer diya jayega aur us aadmi k do tukde ho jayenge dajjal un dono tukdo k darmiyan ayega aur hukm dega "uth khada ho" chunanche momin aadmi seedha khada ho jayega dajjal use puchega "kya tu mujh par emaan lata hai?" momin aadmin kahega "tumhare muamale mai mere yaqeen mai aur bhi izafa ho gaya hai" (k tu hi dajjal hai) phir momin aadmi elaan karega "Ae loogo mere baad dajjl kisi dusre k saath aesa muamala nahi kar sakega" Dajjal use dobara zibah karne k liye pakdega lekin momin aadmin (Allah k hukm se) gale se le kar hansali tak taambe ka ban jayega aur dajjal use zibah nahi kar sakega dajjal use haatho aur pao se pakad kar door phenk dega loog samjhenge k dajjal ne use jahannam mai phenka hai halanke wo jannat mai dala gaya hoga Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "wo shaks Rabbul aalameen k nazdeek sab se bada shaheed hai". (Muslim Kitabul Fitan)

FITNA E DAJJAL SE BACHNE WALE KHUSH NASEEBO KO ALLAH TA'ALA DUNYA MAI HI HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM KI ZUBANI BULANDI DARJAAT KI BASHAARAT DE DENGE

Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Kalaabi Razi Allahu Anhu kehte hai ek din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr kiya aur farmaya: "Phir Allah ta'ala k nabi isa alaihis salaam un loogo k paas tashreef layenge jinhe Allah ta'ala ne fitna e dajjal se bacha liya hoga unhe tasalli denge aur unhe un darjaat se aagah karenge jo Allah ta'ala ne uske liye jannat mai tayyar kar rakhey honge". (Ibne Maja Kitab Abwabul Fitan Hadees no. 3293)

To Be Continued......

DAJJAL MAKKA MUKARRAMA AUR MADEENA MUNAWWARA MAI DAKHIL NHI HO SAKEGA PART 10

DAJJAL MAKKA MUKARRAMA AUR MADEENA MUNAWWARA MAI DAKHIL NHI HO SAKEGA PART 10



Bismillahirrahmanirraheem

MADEENA MUNAWWARA MAI DAKHIL HONE WAALE SAAT RAASTO PAR ALLAH TA'ALA DO DO NIGRAAN FARISHTE MUQARRAR FARMADEGE JO DAJJAL KO MADEENA MUNAWWARA MAI DAKHIL NHI HONE DEGA

Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Madeena k loog maseeh dajjal se mar'oub nahi honge us waqt madeena k saat darwaaze honge aur har darwaaze par do do farishte pehra de rahe honge. (Bukhari Kitabul Fitan)

MAKKA MUQARRAMA MAI BHI DAJJAL DAKHIL NHI HO SAKEGA USKI HIFAZAT PAR BHI ALLAH TA'ALA FARISHTE MUQARRAR FARMADEGA

jesa k pichle post mai guzar chuka hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: koi shehar aesa nhi jisme dajjal dakhil na ho siwaye makka aur madina k, farishte makka aur madina k raasto par saff bandhe khade honge aur un dono sheharo ki hifazat karenge. (Muslim Kitabul Fitan)

KHARASAAN SE NIKALNE K BAAD DAJJAL MADEENA MUNAWWARA KA QASAD KAREGA UHAD PAHAAD K QAREEB PAHUNCHNE SE PEHLE HI FARISHTE USKA MUH SHAAM KI TARAF PHER DENGE AUR WAHI HALAAK HOGA

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: kaana dajjal mashriq ki taraf se ayega uska maqsad madeena munawwara aane ka hoga wo uhad pahaad k piche tak ayega phir farishte uska rukh shaam ki taraf pher denge aur wo wahi halaak hoga. (Muslim Kitabul Hajj)

To Be Continued......

Friday 23 May 2014

DAJJAL K KHILAAF JIHAAD PART 9

DAJJAL K KHILAAF JIHAAD PART 9



Bismillahirrahmanirraheem

AASMAANO SE NAAZIL HONE K BAAD HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM MUSALMANO K SAATH MIL KAR DAJJAL AUR USKE LASHKAR K KHILAAF JIHAAD KARENGE, JISME MUSALMAANO KO FATAH HOGI AUR DAJJAL HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM K HAATHO "LAD" K MUKAAM PAR QATAL HOGA

Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab Allah ta'ala hazrat maseeh bin maryam alaihis salaam ko bhejega to wo damishaq k mashriki hisse mai (masjid k) safaid minaar k paas apne dono haath do farishto k kandho par rakhey hue utrenge jab hazrat isa alaihis salaam apna sar jhukayenge to unke sar se paani k kaatre tapkenge (jese abhi abhi gusal kiya ho) jab apna sar uthayenge to chandi k mootiyo ki tarha (safaid) kaatre unke baalo se jhalakte nazar ayenge unke saans ki hawa jin jin kafir tak pahunchegi wo mar jayega, hazrat isa alaihis salaam k saans ka asar waha tak pahunchega jaha tak unki nigah pahunchegi (aasmaan se naazil hone k baad) hazrat isa alaihis salaam dajjal ko talaas karenge aur "LAD" k muqaam par use qatal karenge". (Muslim Kitbul Fitan)

Wazahat: yaad rehe aaj kal "LAD" k muqaam par israeel ka hawayi adda hai.

DAJJAL SE MUQABALA KARNE K LIYE MUSALMAANO KA PADAO MASHRIQ K KAREEB "GOOTA" K MUQAAM PAR HOGA

Hazrat Abu Darda Razi Allahu Anhu se riwayat hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: (dajjal se) jang k doraan musalmaano ka padao mashriq shehar ki ek simt "GOOTA" mai hoga damishq shaam k shehro mai se behtareen shehar hai. (Abu Dawood Hadees no. 3611)

HAZRAT ISA ALIHIS SALAAM DAJJAL KO KHUD APNE NEEZEY SE QATAL KARENGE

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Hazrat isa alaihis salaam (aasman se) naazil honge aur musalmano ko namaz padhayenge phir jab Allah ka dushman dajjal hazrat isa alihis salaam ko dekhega to yu ghulne lagega jis tarha namak paani mai ghulta hai agar isa alaihis salaam use chood deete tab bhi (hazrat isa alaihis salaam k khauf se) ghul ghul kar mar jata lekin Allah ta'ala use hazrat isa alihis slaaam k haatho qatal karayega aur hazrat isa alaihis salaam apne neezey par dajjal ka khoon loogo ko dikhayenge". (Muslim Kitabul Fitan)

DARYA E URDAN PAR BHI DAJJAL SE AHLE EMAAN KA MAARKA HOGA

Hazrat Nuhaik Bin Sureem Sukooni Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tum loog mushriko se jang karoge hatta k tumhare (lashkar se) baaki maandah loog dajjal se jang karenge darya e urdan par tum loog mashriqi kinaaro par honge aur dajjal ka lashkar magribi kinaaro par hoga". (Majmua uz zawahid hadees no. 7/668, Tabraani Kitabul Fitan Hadees no. 12542)

DAJJAL K KHILAAF JIHAAD MAI EK BHI YAHOODI ZINDA NHI BACHEGA HATTA K PATTHAR YA DARAKHT KI AADH MAI KOI YAHOODI CHUPA HOGA TO WO PATTAR AUR DARAKHT PUKAREGA "AE MUSALMAN MERE PICHE YAHOODI CHUPA HAI ISE QATAL KAR"

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayata hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat qayam nhi hogi yaha tak k musalman yahoodiyo k khilaaf jang karenge jis mai musalman yahoodiyo ko qatal karenge hatta k agar koi yahoodi kisi patthar ya darakht k piche chupa hoga to patthar ya darakht bolega "Ae musalman, Allah k bande! idhar mere piche yahoodi chipa hai ise qatal kar"." (Muslim Kitabun Fitan)

Wazahat: Yaad rahe garkad ek kaante daar darakht hai jo baitul muqaddas ki taraf aam paya jata hai yahoodi ise apna qaumi darakht samajhte hai.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k aazaad karda gulaam hazrat sooban Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mere ummat ki wo jamaato ko Allah ta'ala aag se mehfooz farmayega ek jama'at wo jo hindustaan k khilaaf jihaad karegi aur dusri wo jamaat jo hazrat isa bin maryam alaihis salaam k saath mil kar (dajjal k khilaaf) jihaad karegi". (Nasai Kitabul Jihaad Hadees no. 2975)

is riwayat mai hindustan ka lafz aya hai (kahi munkireen e hadees ya koi aur firqa ye na samjhe k ye hamne apni taraf se likh diya hai) is liye mai puri riwayat arabi matan k saath bayan kar raha hu.

AN SAUBAANA RAZI ALLAHU ANHU MAULE RASOOLILLAHI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM QAAL: QAALA RASOOLULLAHI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM "ISABATAANI MIN UMMATI AHRAZA HUMALLAHU MINANNAARI ISA BATUN TAGRUL HINDA WA ISABATUN TAKOONU MA'AA IESABNI MARYAMA ALAIHIMAS SALAAMU" (RAWAHUN NASAI FI KITABUL JIHAAD BAAB GAROORATUL HIND JILD 2 HADEES NO. 2975)

UMMAT E MUHAMMADIYA KA AAKHIRI MAARKHA DAJJAL K KHILAAF HOGA USKE BAAD JIHAAD KHATAM HO JAYEGA

Hazrat Imraan Bin Hussain Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Meri ummat se ek jama'at haq ki khatir hamesha jihaad karti rahegi aur gaalib rahegi us par jo unse (yaani musalmaano se) dushmani rakkhega hatta k meri ummat ka aakhiri garooh maseeh dajjal k khilaaf jihaad karega". (Abu Dawood Kitabul Jihaad Hadees no. 2170)

To Be Continued......

DAJJAL K PAIROKAAR PART 8

DAJJAL K PAIROKAAR PART 8



Bismillahirrahmanirraheem

IRAAN K EK SHEHAR ISFHAAN SE SATTAR HAZAAR YAHOODI DAJJAL KA SAATH DENGE

Hazrat Anas Bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: (iraan k shehar) isfahaan k sattar hazaar yahoodi siyaah chadare oudhey hue dajjal ka saath denge. (Muslim Kitbul Fitan)

MOOTE AUR CHOODE CHEHRE WALI BAHUT SI KAUMEY DAJJAL PAR EMAAN LE AYENGI

Hazrat Abu Bakr Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "dajjal mashrik ki sar zameen se zahir hoga jise kharasaan kaha jata hai bahut si qaume uske saath hongi jinke chehre chamda lagi dhaalo ki tarha (moote moote aur choode choode) honge. (Tirmizi Hadees no. 1824)

Wazahat: Mumkin hai choode chehte wali qaumo se muraad roos (Rusia), Cheen, japan aur koria wagaira ki qaume hongi wallahu aalam

KAAFIR AUR MUNAFIQ BHI DAJJAL KA SAATH DENGE

Jesa k piche post mai guzar chuka hai dajjal madeena munawwara ki sanglaakh zameen tak pahunch jayega to teen baar zalzala ayega aur madeen munawwara mai mojood tamaam kaafir aur munafiq (darkar) dajjal k paas chale jayenge (yaani uska saath denge). (Muslim Kitabul Fitan).

To Be Continued......

Thursday 22 May 2014

FITNA E DAJJAL KI MUDDAT PART 7

FITNA E DAJJAL KI MUDDAT PART 7



Bismillahirrahmanirraheem

HAMARE SHAB WA ROOZ K MUTABIQ FITNA E DAJJAL KI MUDDAT EK SAAL DO MAAH AUR DO HAFTA HOGI

Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Razi Allahu Anhu kehte hai ek rooz Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr farmaya aur naseehat farmayi: "Ae Allah k bando saabit kadam rehna, Humne arz kiya dajjal kitni muddat tak zameen mai rahega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: Chalees rooz, jinme se pehla din ek saal k barabar hoga dusra din ek mahine k barabar hoga aur teesra rooz hafta k barabar hoga aur uske baad 37 rooz tumhare shab wa rooz k barabar honge, humne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! pehla din jo saal k barabar hoga usme ek din ki (paanch) namaze hi kaafi hogi? aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: nahi apne rooz wa shab ka andaaza karke (saal bhar ki) namaze padhna". (Muslim Kitbaul Fitan)

To Be Continued......

Wednesday 21 May 2014

DAJJAL KI SHIDDAT PART 6

DAJJAL KI SHIDDAT PART 6



Bismillahirrahmanirraheem

HAZRAT AADAM ALAIHIS SALAAM SE LE KAR QAYAMAT TAK FITNA E DAJJAL SE BADA FITNA AUR KOI NHI HOGA

Hazrat Hisham Bin Aamir Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suan k: "Aadam se le kar qayamat tak Allah ki makhlooq mai se (fitna) dajjal se bada koi (fitna) nhi hoga". (Muslim Kitabul Fitan)

FITNA E DAJJAL K KHAUF SE HAZRAT E AYESHA RAZI ALLAHU ANHA ROONE LAGI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye aur mai roo rahi thi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daryaft farmaya: "kyu roo rahi ho?" mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam dajjal yaad a gaya isi wajah se roo rahi hu, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: Agar dajjal meri mojoodgi mai nikla to tum sab ki taraf se mai uske liye kaafi hunga lekin agar wo mere baad nikla to yaad rakhna tumhara rabb kana nahi hai. (Musnad Ahmad Hadees no. 12512, Majmua uz zawahid 7/651)

DAJJAL KA ZAMANA PAANE WALE LOOGO KO AAMNA SAAMNA KARNE SE GURAIZ KARNE KA HUKM

Hazrat Imraan BIn Hussain Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks dajjal ki khabar sune wo uske saamne ane se guraiz kare Allah ki kasam jab koi aadmi uske paas jayega to yahi samjhega k wo momin hai jo shubhey ki cheeze wo de kar bheja gaya hai unhe dekh kar wo uski pairwi karne lagega". (Abu Dawood Hadees no. 3629)

FITNA E DAJJAL SE DAR KAR MUSALMAAN PAHAADO MAI JA CHUPENGE

Hazrat Ummey Shareek Razi Allahu Anha se riwayat hai k unhone Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna hai: "Loog dajjal (k darr se) bhaag kar pahaado mai chale jayenge", Hazrat Ummey Shareek Razi Allahu Anha ne arz kiya: "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! us rooz arab (musalmaan) kaha honge?" (kya wo mukabala nhi karenge) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: wo us rooz tadaad mai kam honge. (Muslim Kitabul Fitan)

FITNA E DAJJAL IS QADAR AALAMGEER HOGA K MAKKA MUKARRAMA AUR MADEENA MUNAWWARA K ALAWA DUNYA KA KOI MULK AUR SHEHAR USKE FITNE SE MEHFOOZ NHI RAHE GA

Hazrat Anas Bin Maalik Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Koi shehar aesa nhi jisme dajjal dakhil na ho siwaye makka aur madeena k, farishte makka aur madeena k raasto par saff baandhey khade honge aur un doono shehro ki hifazat karenge dajjal madeena munawwara ki sanglaakh zameen tak pahunchega to teen baar zalzala ayega aur madeena munawwara mai mojooda tamaam kaafir aur munafiq (dar kar) dajjal k paas chale jayenge". (Muslim Kitabul Fitan)

To Be Continued......

DAJJAL KA FITNA PART 5

DAJJAL KA FITNA PART 5



Bismillahirrahmanirraheem

DAJJAL K PAAS JANNAT AUR JAHANNAM DONO HONGI JO HAQEEQAT MAI JAHANNAM AUR JANNAT HOGI

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "kya mai tumhe dajjal k baare mai aesi baat na batau jo us se pehle kisi nabi ne apni ummat ko na batayi ho (wo ye hai k) dajjal kana hoga aur wo apne saath jannat aur jahannam jesi cheeze le kar ayega jise wo jannat kahega dar'asal wo jahannam hogi aur jise wo jahannam kahega wo jannat hogi". (Muslim Kitabul Fitan)

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal k baare mai irshaad farmaya: "uske saath paani aur aag hogi, dar haqeeqat uski aag thanda paani hogi aur uska paani aag hogi (khabar daar) apne aapko halaak na kar lena". (Muslim Kitabul Fitan)

DAJJAL K PAAS PAANI HOGA JO DAR HAQEEQAT AAG HOGI AUR AAG HOGI JO DAR HAQEEQAT SHEEREE PAANI HOGA

Huzaifa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal jab niklega to uske paas paani aur aag honge jise loog paani samjhenge wo dar haqeeqat jalaane wali aag honi aur jise loog aag samjhenge dar haqeeqat wo thanda sheeree paani hoga lihaza tum mai se jo koi wo mauka paye to use chahiye k wo aag mai kood pade kyunki wo metha aur pakeeza paani hoga". (Muslim Kitabul Fitan)

DAJJAL K HUKM SE AASMAAN SE BAARISH BARSEGI, ZAMEEN SE KHAANS AUR ANAAJ WAGAIRA UGAIGA JANWAR PEHLE SE ZAYADA DOODH DENA SHURU KAR DENGE

Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan kehte hai ek rooz Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr farmaya humne arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! zameen mai uska ghoomna tezi se hoga? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: us baarish ki tarha jise hawa piche se dhakeelti hai wo ek kaum k paas ayega aur unhe apne aap par emaan laane ki dawat dega wo emaan le ayenge aur uski baat maan lenge chunanche wo aasmaan ko hukm dega aur wo barish barsayega zameen ko hukm dega aur wo nayabaat agaahegi shaam k waqt (loogo k) janwar charagaho se wapas ayenge to unki koohani pehle se badhi hongi than kushada honge aur pasliya khoob bhari hongi (yaani pehle se janwar moote taaze nazar ayenge, ye us kaum k emaan laane ka waseela hoga) phir wo dusri kaum k paas jayega aur unhe apne aap par emaan laane ki dawat dega lekin wo uski dawat ka inkaar kar denge chunanche dajjal waha se chala jayega aur un par kahat sali musallat ho jayegi aur unke maalo mai se kuch bhi unke paas na rahega dajjal veeraan jagah ki taraf chala jayega aur zameen ko hukm dega apne khazaane ugal de to zameen apne khazaane uski taraf nikaal kar jama kar degi jis tarah shehad ki makkhiya badi makkhiyo k gard hujoom karti hai. (Muslim Kitabul Fitan)

Wazahat: Allah ta'ala loogo ki aazma'ish k liye dajjal ko baaz mauko ki kudrat de denge jis tarah Allah ta'ala ne loogo ki aazma'ish k liye shaitan ko waswasa daalne ka ikhtiyaar diya hai lihaza dajjal k un kaamo se kisi ko galat fehmi nhi honi chahiye k uske paas wakayi khudayi ikhtiyaraat honge agar aesa hota to wo apni kaani aankh hi durust kar leta ya dono aankho k darmaiyaan likha hua lafz kaafir hi mita leta.

ZAHOOR E DAJJAL K BAAD KISI KA EMAAN LANA QABIL E QUBOOL NHI HOGA

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Teen baatey zahir hone k baad kisi aese shaks ko emaan lana faida nahi dega jo us se pehle emaan nhi laya ya halat e emaan mai koi naik kaam nhi kiya
1. Suraj ka magrib se tulu hona
2. Dajjal ka zahir hona
3. Dabbatul arz ka nikalna. (Muslim Kitabul Emaan)

To Be continued......

DAJJAL KA HULIYA PART 4

DAJJAL KA HULIYA PART 4



Bismillahirrahmanirraheem

DAJJAL KI EK AANKH KAANI AUR USKE SAR K BAAL GHUNGRAALE HONGE, RANG SURKH AUR JISM BHARI HOGA

Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Mene khawaab mai dekha k mai tawaaf kar raha hu achanak mene ek aadmi dekha gandum goo sidhey baalo wala (yaani sunhere sidhey baal wala) uske baalo se paani tapak raha tha jese abhi abhi gusal kiya ho mene pucha: "ye kaun hai?" unhone bataya "Isa Bin Maryam AS" phir mene dusri taraf tawajjo ki to ek surkh rang ka moota aadmi nazar aya jiske sar k baal ghunghreele aankh kaani thi jis tarah foola hua angoor ho mene pucha "ye kaun hai?" unhone jawab diya "ye dajjal hai". (Bukhari Kitabul Fitan)

DAJJAL KI DONO AANKHO K DARMIYAAN KAAFIR LIKHA HOGA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: koi nabi aesa nhi apni ummat ko kaane aur jhoote (dajjal) se na daraya ho aagah raho wo kana hoga aur tumhara rabb kana nhi hai aur dajjal ki dono aankho k darmiya "Kafir" likha hoga. (Bukhari Kitabul Fitan)

Wazahat: Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye baat bhi irshaad farmayi hai k "Kafir" ka lafz har musalman padh lega khawah padha likha ho ya anpadh. (Muslim Kitabul Fitan)

DAJJAL K SAR PAR BAHUT JAYADA BAAL HONGE

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "dajjal baayi (left) aankh se kaana hai uske sar par bahut zayada baal honge uske saath jannat aur jahannam hogi, (khabardaar) uski jahannam jannat hogi aur jannat jahannam hogi". (Ibne Maja Kitabul Kitabul Fitan Hadees no. 3290)

To Be Continued......

Tuesday 20 May 2014

DAJJAL KAHA HAI? PART 3

DAJJAL KAHA HAI? PART 3



Bismillahirrahmanirraheem

DAJJAL BAHAR HIND K KISI NA MALOOM JAZEEREY PAR ZANJEERO SE JAKDA HUA HAI

Hazrat Fatima binte kais Razi Allahu Anha se riwayat hai k ek raat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam isha ki namaz k liye dair se tashreef laye aur farmaya: Mujhe tameem daari (ek isayi aalim jo baad mein muslamna ho gaye) ki un baato ne rook liya tha jo wo mujhse keh raha tha tameem ne ek aadmi k hawale se mujhe bataya k wo aadmi samundar k kisi jazeere par (kashti k samundari toofaan mai phans jane ki waja se) pahunch gaya jahan use ek aurat mili jo apne baalo ko khinch rahi thi, is aadmi ne aurat se pucha: tum kaun ho? aurat ne jawab diya mein (dajjal ki) jaamoos hu tu zara is mehal ki taraf aa, mein us mehal mein chala gaya waha mene ek aadmi dekha jo baalo ko khinch raha tha wo zanjeero mein jakda hua tha aur zameen wa aasman k darmiyaan uchal kood kar raha tha mene pucha: tum kaun ho? us aadmi ne jawab diya mein dajjal hu, phir dajjal ne pucha kya ummiyo k nabi zahir ho gaye? us aadmi ne jawab diya han, dajjal ne pucha loogo ne uski ita'at ki ya nafarmaani? us aadmi ne kaha ita'at, dajjal ne kaha ye unke liye accha hai. (Abu Dawood Kitabul Fitan Hadees no. 3636)

Hazrat Fatima binte kais Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Aagah raho, dajjal shaam ya yaman k samundar mai mojood hai (phir farmaya) nahi balke wo mashrik ki taraf hai wo mashrik ki taraf hai wo mashrik ki taraf hai phir aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne haath mubarak se mashrik ki taraf ishara kiya". (Muslim Kitabul Malahim)

wazahat: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pehle shaam ya yaman k samundar ka zikr farmaya phir uski tardeed farma kar takeed k sath mashrik k kisi samundar ka zikr farmaya shariheen e hadees ne iski wazahat mein ye likha hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka pehli baat ki tardeed farma kar dusri baat ki teen martaba takeed farmana wahi e ilahi ki bina par tha.

To Be continued......

DAJJAL KAUN HAI? PART 2

DAJJAL KAUN HAI? PART 2




Bismillahirrahmanirraheem

MADINE K YAHOODI GHAARANE MAI PAIDA HONE WALA "SAAF" DAJJAL HAI JO PEHLE ISLAAM LAYA LEKIN BAAD MAI MURTAD HO GAYA
SAAF KI KANEET IBNE SIYAAD YA IBNE SAA'ID HAI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai ibne saa'id ne mujhse kuch baate ki jinki wajah se mujhe (use bura kehne mai) sharam mehsoos hui kehne laga mene apne baare mai loogo se maazrat ki (k mai dajjal nahi) lekin ae ashaab e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! maloom nhi tumhe mere baare mai kya (gumaan) ho gaya hai, Kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne nahi farmaya: k dajjal yahoodi hoga aur mein to musalmaan hu, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: dajjal ki aulaad nhi hogi aur meri aulaad hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Allah ta'ala ne dajjal ka makka mein dakhil hona haraam kiya hai aur mene to hajj kiya hai wo aesi baate karta raha kareeb tha k mein uski baato par yaqeen kar leta lekin saath hi usne kaha: Allah mein acchi tarha jaanta hu dajjal is waqt kaha hai us k maa baap ko pehchanta hu loogo ne ibne saa'id se pucha tujhe pasand hai k tu hi dajjal ho? kehne laga agar mujhe banaya jaye to mein napasand nhi karunga. (Sahih Muslim Kitabul Fitan)

Hazrat Abdullah bin mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they hamara guzar baccho se hua jinme ibne siyaad bhi tha, tamaam bacche bhaag gaye lekin ibne siyaad baitha raha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat buri lagi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "tere haath gubbar aalood ho kya tu gawahi deta hai k mein Allah ta'ala ka Rasool hu?" wo bola "nahi" "phir ibne siyad kehne laga kya tu (yaani Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam) gawahi deta hai k mein Allah ka Rasool hu?", Hazrat Umar Razi Allahu Anhu (jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they) ne kaha: Ya Rasool Allah Sallallahu Alaiahi Wa Sallam mujhe ijazat de mein ise qatal kardu, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Agar ye wahi hai jiska tujhe shak hai (yaani dajjal) to phir tu ise qatal nahi kar sakta" (aur agar koi aur hai to ise qatal karne ka faida nahi). (Sahih Muslim Kitabul Fitan)

Ahle ilm ki tehqeeq k mutabik ibne siyaad hi wo dajjal hai jise Allah ta'ala k huqm par farishto ne kisi jazeere mein band kar rakha hai aur qayamat k kareeb wo zahir hoga agarche wo madina mein paida hua aur makka madina mein hajj kiya lekin jab wo fitna paida karne k liye zahir hoga to makka mein dakhil ho sakega na madina mein jesa k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pesheeen gooyi farmayi. 

To Be Continued......

MASEEH DAJJAL KA ZAHOOR PART 1

MASEEH DAJJAL KA ZAHOOR PART 1



Bismillahirrahmanirraheem

Maseeh: Arabi zubaan mai maseeh k mukhtalif maana hai jinme se baaz ye hai: kisi cheez ko poojne wala, kisi cheez par haath pherne wala, kisi bimari k liye aafiyat ki dua karne wala, aur bahut zayada sach bolne wala, bahut jayada safar karne wala, Hazrat Isa Alaihis Salaam k liye maseeh lafz inhi maanoo mein istemaal hota hai.

Maseeh k dusre maana ye hai aankh se kana, bahut zayada jhoot bolne wala, bahut jayada safar karne wala dajjal ko maseeh inhi dusre maana mai kaha gaya hai, Yaad rahe k dajjal mubalaga ka segaa hai jiska matlab hai bahut jayada jhoot bolne wala ya bahut zayada fareeb dene wala.

QAYAMAT SE QABL DAJJAL ZAHIR HOGA.
DAJJAL K KHUROOJ KI IBTIDA IRAAN K SHEHAR KHARASAAN SE HOGI.

Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aagah farmaya: "Dajjal mashrik ki sarzameen se niklega jiska naam kharasaan hai chamda bhari dhaloo jese chehre wale loog uske saath honge". (Ibne maja Kitabul Fitan Hadees no. 3291)

wazahat: chamda bhare dhaloo jese chehre se muraad goosht se parchapte chehre wale muraad hai.

DAJJAL KA ZAHOOR AESE WAQT HOGA JAB LOOG US SE BILKUL GAFIL HONGE

Hazrat sa'ab bin jasama Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna hai "Dajjal zahir nhi hoga magar us waqt jab loog use bilkul bhool chuke honge hatta k a'imma (Masajid) mimbaro par uska zikr karna bhi chood denge". (Musnad Ahmad Hadees no. 229)

KISI BAAT PAR GAZAB NAAK HONA DAJJAL K KHUROOJ KA SABAB BANEGA

Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal ka loogo k saamne nikane ka pehla sabab uska gussa hoga jo use gazab naak bana dega". (Sahih Muslim Kitabul Fitan)

To Be Continued......

Sunday 18 May 2014

TAGOOT KYA HAI

TAGOOT KYA HAI



Bismillahirrahmanirraheem

WALA QAD BA'ASNA FI KULLI UMMATIN RASOOLAN ANIEBUDULLAHA WAJ'TANIBUT TAGOOT. (Surha Nahal surha no. 16 ayat no. 36)

Tarjuma: Aur humne har jamaat mai pegambar bheja k Allah hi ki ibadat kare aur butoo se ijtanaab karo, to unme baaz aese hai jinko Allah ne hidayat di aur baaz aese hai jin par gumrahi sabit hui, so zameen par chal phir kar dekh lo k jhutlaane walo ka anjaam kesa hua. (Surah Nahal surh no. 16 ayat no. 36)

Hazrat e Umar Farooq Razi Allahu Anhu farmate hai k tagoot ka ittelaaq shaitan par hota hai. (Ibne abu hatim)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai k tagoot kahino ko kehte hai unke paas shayateen mukhtalif khabre laate they. (Ibne abu hatim)

Imam Malik rahimahullah kehte hai tagoot har us cheez ka naam hai jis ki Allah k siwa ibadat ki jati ho.

Allama Ibne Qayyim rahimahullah ne tagoot ki bahut jamey tareef ki hai "tagoot har wo cheez hai jis ki wajah se insaan hadd se tajawuz kar jaye khuwah ibadat mai, khuwah itteba mai, khuwah ita'at mai"

har qaum ka tagoot wahi hota hai jiski taraf wo Allah ta'ala aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki bajaye faisle k liye ruju karte hai Allah k siwa uski ibadat karte hai ya bila daleel uski itteba karte hai.

Tagoot k baare mai Allah ta'ala ka irshaad:

Ab jo koi tagoot ka inkaar kar k Allah ta'ala par emaan le aya usne ek aesa mazboot kada thaam liya jo kabhi tootne wala nhi aur Allah ta'ala sun'ne wala aur jan'ne wala hai. (Surah Baqara surah no. 2 ayat no. 256)

Bad'tareen loogo ki nishaan dahi Allah ta'ala karta hai:

Jin par Allah ne laanat ki aur unpar gazab hua aur unme se baaz ko bandar aur suwar bana diya aur jinhone tagoot ki bandagi ki yahi loog badtareen darje wale aur raaste se bhatke hue hai. (Surah Maida surah no. 5 ayat no. 60)

Aur khushkhabri k mustahiq loogo k bare mai Allah ta'ala irshaad farmata hai:

Aur jin loogo ne tagoot ki bandagi se ijtanaab kiya aur Allah ki taraf mutawajjah rahe wo khushkhabri k mustahiq hai pas mere bando ko khushkhabri suna dijiye. (Surah Zumar surah no. 39 ayat no. 17)

KASAM SIRF ALLAH KI

KASAM SIRF ALLAH KI



Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye farmaate hue suna: "MAN KHALAFA BIGAIRILLAHI FAQAD ASHRAK" Tarjuma: "Jisne gair Allah ki kasam uthayi (khayi) usne shirk kiya". (Jamiya Tirmizi)

Mazeed riwayat mai aapne baap, dada aur butoo ki kasam uthane se mana kiya hai aur farmaya: Agar kasam khana hi hai to Allah ki khao warna khamoosh raho.

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo koi Allah k siwa aur ki kasam kha bethey wo "LA ILAHA ILLALLAH" kahe. (Sahih Bukhari, Sahih Muslim, Abu Dawood, Nasaai, Ibne Maja)

BARKAT ALLAH K HAATH MAI HAI

BARKAT ALLAH K HAATH MAI HAI



Bismillahirrahmanirraheem

Allah rabbul alameen ki zaat badi barkat wali hai. (Surah A'araaf surah no. 7 ayat no. 54)

Bahut barkat wala hai wo Allah jisne apne bande par farmaan (quran) utara takey tamaam jahan walo ko darao. (Surah Furqaan surah no. 25 ayat no. 1)

Ba barkat hai wo zaat jisne aasmano mai burj banaye aur usmey aaftaab banaya aur chamakta hua chand bhi. (Surah Furqaan surah no. 25 ayat no. 61)

Badi ba barkat wala hai wo Allah jiske haath mai baadshahi hai aur wo har cheez par qadir hai. (Surah Mulk surah no. 67 ayat no. 1)

Lafz (TABARAKA) Quran e kareem mai barkat aya hai aur sirf isi k liye khaas hai kisi dusre k liye istedlaal nhi kiya ja sakta, ye lafz wus'at aur mubalaga k liye istemaal hota hai, han Allah kisi ko barkat inayat kare aur uski wazahat quran wa hadees kare to behtar hai.

SITAARO KI TAASEER KA AQEEDAH GALAT HAI

SITAARO KI TAASEER KA AQEEDAH GALAT HAI



Bismillahirrahmanirraheem

Sahih muslim mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad e giraami hai "k sitaaro ki taseer ka aqeedah batil hai" isi baare mai mazeed ek riwayat hai.

Ek dafa Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hudaibiya mai baarish barasne par farmaya: k Allah ta'ala ne farmaya: k aaj kuch bande momin hue kuch kaafir, jinhone ye kaha k aaj barish sitaro ki wajah se hui wo kafir hue aur jinhone ye kaha k ye Allah ki rehmat wa fazal se hui wo momin hai. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)

Hamare yaha sitaro se wabasta colom chaptey hai k aap ka hafta kesa rahega ya aap ka din kesa guzrega ye thik nhi hai, sitaare aasman ki zeenat hai, samundari safar mai inse safar maloom kar sakte hai aur sarkash shetan k uper chadne par in par de mara jata hai, is k alawa unka koi maksad nhi kisi insaan ka koi sitaara gardish nahi karta

Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jisne najoomi k paas ja kar uski tasdeeq ki to uski 40 din tak namaaz kabool nhi hogi. (Sahih Muslim)

Ek aur riwayat mai hai k "jo shaks kahin aur najoomi ki baat ki tasdeeq karega to goya usne us cheez ka inkaar kiya jo Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam par utara gaya (yani deen e islam)". (Abud Dawood, Tirmizi, Nasaai, Ibne Maja, Mustadrak E Haakim)

SHIRK ZULM HAI IS SE BACHNE KI DUA

SHIRK ZULM HAI IS SE BACHNE KI DUA



Bismillahirrahmanirraheem

ALLAHUMMA INNI AOUZUBIKA AN USHRIK BIKA WA ANAA AALAMU WA ASTAGFIRUKA LIMA LA AALAMU. (Musnad Ahmad)

Tarjuma: Ae Allah mai teri panah mai ata hu is baat se k mai jaante hue tere saath kisi ko shareek banau, aur mai teri bakhshish maangta hu is se jinhe mai na jaante hue tera shareek banau. (Musnad Ahmad)

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: k jo koi surah kafiroon raat ko padh kar soyega wo shirk se bari karaar payega. (Musnad Ahmad, Tirmizi, Abu Dawood, Majmua uz zawa'id)

RIYAKAARI SHIRK HAI IS SE BACHNE KI DUA

RIYAKAARI SHIRK HAI IS SE BACHNE KI DUA



Bismillahirrahmanirraheem

Abu saeed khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: kya mai tumhe wo baat na batau jis ka mujhe tum par maseeh dajjal se bhi zayada khauf hai, Sahaba RA ne arz kiya kyu nhi Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam to aapne farmaya: wo shirk khafi hai k koi shaks namaz k liye khada ho aur apni namaaz ko mehaz is liye bana sawaar kar padhey (yani dikhawe k liye lambi lambi namaz padhey) k koi use dekh raha hai. (Musnad Ahmad, Sunan Ibne Maja)

Mazeed ek riwayat mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: tumhare baare mai mujhe sab se zayada dar shirk e asgar ka hai, pucha gaya k shirk e asgar kya hai? to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Riya Kari. (Musnad Ahmad)

Ek taweel hadees ka khulasa kuch yuh hai k qayamat wale din sab se pehle 3 ashkhaas ka faisla kiya jayega, ek sakhi, dusra mujahid, teera aalim qaari, Allah un se puchega tumne ya amal kyu kiya tha to wo bade khushnuma andaaze se maksad raza e ilahi bayan karenge, Allah farmayega tum jhoot bolte ho, aur unhe jahannam mai daal diya jayega, is hadees k raawi Abu Huraira Razi Allahu Anhu is hadees ko sunate waqt khauf se behoosh ho jaya karte they.

ALLAHUMMA TAHHIRU QALBI MINAN NIFAAQI WA AMALI MINAR RIYA.
Ae Allah mere dil ko nifaaq se paak karde aur mere amal ko riya kaari se khalis karde.

BADFAALI SHIRK HAI IS SE BACHNE KI DUA

BADFAALI SHIRK HAI IS SE BACHNE KI DUA




Bismillahirrahmanirraheem

Rasoolo ne kaha: tumhari nahusat tumhare sath hai, tumhe nasihat ki gayi is liye, balke tum hadd se tajawuz kar gaye ho. (Surah Yaseen surah no. 36 ayat no. 19)

Fazal bin abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: badshgooni wo hai jo tujhe kisi kaam k kane par aamaadah kare ya rook de. (Musnad Ahmad)

Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: koi bimaari muta'adi nahi, na badfaali aur badshgooni ki koi haqeeqat hai aur na maah e safar manhoos hai. (Sahih Bukhari)

Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo shaks apne kisi kaam se badfaali ki bina par ruka to usne shirk kiya, Sahaba Razi Allahu Alaihim Ajmaeen ne arz kiya k uska kaffara kya hai? aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya uska Kaffara ye dua hai:

"ALLAHUMMA LA KHAIRA ILLA KHAIRUKA WALA TAIRA ILLA TAIRUKA WALAA ILAHA GAIRUK". (Musnad Ahmad)
"Ya Allah teri bhalayi k alwa koi bhalayi nhi aur tere shagoon k alwa koi shagoon nhi aur tere siwa koi mabood nhi".

Hamare muashare mai bhi ye baat zubaan dar aam hai k kawwa bola tha lihaza mehmaan ayenge.
Dukaan par pehla grahak accha nhi aya to din hi accha nahi guzrega.
Kali billi raasta kaat gayi hai lihaza safar par na jao.

wagaira wagaira to in sab se bachna chahiye. Allah hamari hifazat farmaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

Friday 16 May 2014

MUKHTAAR E KUL KAUN?

MUKHTAAR E KUL KAUN?



Bismillahirrahmanirraheem

ALLAH TA'ALA KE BARG'ZEEDAH BANDO KI TALIMAAT KI ROSHNI MAI:

HAZRAT E IBRAHEEM ALAIHIS SALAAM KI ALLAH K AAGEY BEBASI
Han ibraheem AS ne apne baap se ye zarur kaha tha k mai aapke liye magfirat maangu'ga aur Allah k saamne aap k baare kuch ikhtiyaar nahi rakhta. (Surah Mumtahnah surah no. 60 ayat no. 4)

HAZRAT E YAQOOB ALAIHIS SALAAM NAFA WA NUKSAAN KE MALIK NAHI
Yaqoob AS k bete jab misr jaane lage to unhone socha k 10 jawaan bete hai jab shehar mai ikatthey dakhil honge to nazar bad ka shikaar ho sakte hai, lihaaza unhone apne beto se kaha k ek hi darwaze se dakhil na hona, balke alag alag dakhil hona aur saath ye bhi keh diya k ye faqat ek tadbeer hi hai warna:
Aur mai Allah k alawa tumhe kuch bhi kifayat nhi kar sakta, hukm to sirf Allah ka hai, mera bhi isi par bharosa hai, aur har bharosa karne wale ko usi par bharosa karna chahiye. (Surah Yousuf surah no. 12 ayat no. 67)
Yaqoob AS ka jab chand sa beta bhaiyo k hasad ka shikaar ho gaya, beto k jhoot ne kamar jhuka k rakh di, khud kahat ka shikaar ho gaye aur anaaj k husool k doraan dusra beta bhi juda ho gaya to sabr e jameel k us pahaad k puraane zakham phir taza ho gaye, gam wa aalam se aankhey safaid ho chuki thi, jab yusuf haye yusuf kehte ek taraf ko hue to beto ne kaha: Abba jaan is taweel muddat baat ko bhool jaiye, isi tarah karte rahe to bimaar ho jayenge ya jaan hi se haath dho bethoge to farmaane lage:
Mai to apni pareshaniyo ka aur ranj wa gam ki faryaad Allah se karta hu. (Surah Yousuf surah no. 12 ayat no. 86)
phir kaha: beto jao aur yousuf aur uske bhai ko talaash karo aur Allah ki rehmat se mayoos na hona, Allah ki rehmat se to kafir loog hi mayoos hote hai.

HAZRAT E NOOH ALAIHIS SALAAM NA GANJ BAKSH THEY NA GHAIB PAR KUDRAT RAKHNE WALE THEY
(Nooh AS ne kaha) mai na tum se ye kehta hu k mere paas Allah k khazane hai aur na ye k mai ghaib jaanta hu aur na ye kehta hu k mai farishta hu. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 31)

HAZRAT E MUSA ALAIHIS SALAAM KA DAATA KAUN?
Musa AS mudeen k paani k mukaam par pahunche to dekha k loog apni bakriyo ko paani pila rahe hai, lekin 2 aurate haya ki wajah se door khadi hai, to Musa AS ne unki bakriyo ko paani pilaya:
To Musa AS ne unki bakriyo ko paani pila diya, phir saaye ki taraf chal diye aur kehne lage k parwardigaar mai mohtaaj hu us nemat ka jo tu mujhe inayat kare. (Surah Qasas surah no. 28 ayat no. 24)
Musa AS ne apni kaum se ye bhi kaha: Musa AS ne kaha k ae meri kaum! agar tum Allah par emaan rakhte ho to usi par tawakkul karo agar tum farmabardaar ho. (Surah Younus surah no. 10 ayat no. 84)
Kisi nabi k ikhtiyaar mai na tha k Allah k hukm k bagair koi nishaani (mojza) laate. (Surah Mominoon surah no. 40 ayat no. 78)

AELAAN E HAZRAT E HOOD ALAIHIS SALAAM
Rabb k pegambar Hood AS ne apni kaum se kaha k loogo apne gunaho se tauba karo aur maafi mango takey Allah ta'ala barsane wale baadal tum par bhej de aur tumhari taakat aur quwwat badhaye is liye tum muh pher kar mujrim na bano, us par qaum ne kaha: hum teri baat ko manne wale nahi balke hum to yahi kahenge k tu hamare kisi mabood k bade jhapte mai a gaya, pegambar ne kaha: mai Allah ko gawah banata hu aur tum bhi gawah raho k mai un tamaam shirko se bezaar hu, han agar kuch kar sakte ho to kar guzro aur mujhe koi mohlat bhi na do phir farmaya:
Mera bharosa ek Allah par hai, jo mera aur tum sab ka paalne wala hai, jitne bhi jaandaar hai un sabki peshani wahi thamey hue hai, yaqeenan mera rabb bilkul sahih raah par hai. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 56)
Phir aagey farmaya: Beshak mera parwardigaar har cheez par nigehbaan hai. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 57)

HAZRAT E SHUAIB ALAIHIS SALAAM KA PEHLA AUR AKHRI SAHARA
Meri tofeeq Allah hi ki madad se hai, mera usi par bharosa hai aur usi ki taraf laut kar jana hai. (Surah Hood surah no. 11 ayat no. 88)
Aagey chal kar aapne farmaya k tum apne rabb se maafi mango aur usi ki taraf jhuk jao, yaqeen mano k mera rabb badi meharbaani wala aur muhabbat karne wala hai.

DUNYA WA AKIRAT MAI HAZRAT E YOUSUF ALAIHIS SALAAM KA KAARSAAZ
Ae mere parwardigaar tune mujhe mulk ata kar diya aur mujhe khuwabo ki tabeer ka ilm bakhsaha, Ae aasmano aur zameen k paida karne wale tu hi dunya wa akhirat mai mera kaarsaaz hai. (Surah Yousuf surah no. 12 ayat no. 101)

HAZRAT E ESA ALAIHIS SALAAM AUR MARYAM ALAIHIS SALAAM KI ALLAH WAHID WA KAHHAAR K AAGEY LACHAARI
Yaqeenan wo loog kafir hai jo kehte hai k maseeh ibne maryam AS hi Allah hai, Ae pegambar AS unse puchiye k agar Allah maseeh ibne maryam AS ko halaak kar dena chahe to kisi ki muhaal hai k wo Allah ko uske iraade se rook le aur jo kuch aasmano aur zameen mai hai aur jo unke darmiyaan hai sab Allah hi ka hai, wo jo kuch chahta hai paida karta hai. (Surah Ma'idah surah no. 5 ayat no. 17)

HAZRAT E AYYOOB ALAIHIS SALAAM KA MUSHKIL KUSHA KAUN?
Aur ayyoob AS ko yaad karo jab usne apne parwardigaar ko pukaara k mujhe takleef ne ghair rakha hai to tu sab se badhkar reham karne wala hai, tu hum ne uski dua kabool karli aur unki takleef ko door kar diya aur unko ahlo ayaal ata farmaye balke uske barabar aur bhi apni khaas meharbaani se diye takey ibadat guzaaro k liye nasihat ho. (Surah Anbiya surah no. 21 ayat no. 83)

HAZRAT E ZAKRIYA ALAIHIS SALAAM KO HAZRAT E YAHYA ALAIHIS SALAAM AUR HAZRAT E IBRAHEEM ALAIHIS SALAAM KO HAZRAT E ISMAEEL ALAIHIS SALAAM KISNE ATA KIYE?
Aur zakriya AS ko yaad karo jab unhone apne rabb ko pukara k parwardigaar tu mujhe akela na chood aur tu sab se behtar waris hai, tu humne unki pukaar qabool ki aur unko yahya AS bakhshey aur unki biwi ko aulaad k kabil banaya. (Surah Anbiya surah no. 21 ayat no. 89 aur 90)

Ibraheem AS ne kaha: Ae parwardigaar mujhe aulaad ata farma jo s'aadat mando mai se ho tu humne unko ek naram dil ladke ki khushkhabri di. (Surah Saffat surah no. 37 ayat no. 100 aur 101)

HAZRAT E NOOH ALAIHIS SALAAM KA BAIDA KISNE PAAR LAGAYA
Aur nooh AS ka kissa bhi yaad karo jab unhone hum ko pukara to humne unki dua ko kabool kiya unko aur unke saathiyo ko ek badi gehraahath se nijaat di. (Surah Anbiya surah no. 21 ayat no. 76)

HAZRAT E YOUNUS ALAIHIS SALAAM KO GAM SE NIJAAT KO BAKHTA HAI?
Ae pegambar apne rabb k liye sabr kiye raho aur machli ka lukma ban'ne wale younus As ki tarah na hona k unhone pukara to gusse mai phire hue they, agar tumhare parwardigaar ki meharbaani unki yawari na karti to wo chatyal medaan mai daal diye jate aur unka haal battar ho jata. (Surah Qalam surah no. 68 ayat no. 48 aur 49)

Mandarja bala Anbiya Alaihis Salaam ki pukaar ye batla rahi hai k zishaan hastiyo ne apni har mushkil mai Allah se faryaad ki, to kya jab hum par koi mushkil ghadi ayegi to hamara data, dastgeer, ghaib nawaaz, banda parwar, hajat rawa koi aur banega, nhi hargiz nhi, balke hamara bhi data wa dastgeer wahi hai jo sadiyo se razzaq, khaliq, wahhab, muqeet, haseeb, gafoor aur wadood chala a raha hai, wahi Allah jo Hazrat e Aadam Alaihis Salaam se le kar Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam tak tamaam bargazeedah bando aur unke sathiyo ki madad karta raha hai, parwardigaar jiske sahare imamum muballigeen Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne makka wa tayif ke gali kucho mai Allah ka pegaam sunaya tha k: QULU LA ILAHA ILLALLAHU TUFLIHU TAMLIKUL ARABA WA AJAM. LA ILAHA ILLALLAH keh do kaamyaab ho jaoge aur arab wa ajam k malik ban jaoge.

Phir dunya walo ne dekha jo kafila muhammad e arbi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki qayadat mai chala tha wo khebar wa ahzaab ka raahi ban kar 10 hazaar k lashkar jaraar ki surat mai waadi e makka mai ja pahuncha to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mubarak alfaaz ye they.
Allah k alawa koi ibadat k layak nahi, wo akela hai, uska koi shareek nahi, usi k liye baadshahat hai aur usi k liye hamd hai aur wo har cheez par qadir hai, Allah k alawa wo koi ibadat k layak nahi hai wo akela hai usne apna ahad pura kiya aur apne bande ki madad ki aur us akele ne lashkaro ko shikast di. (Sahih Muslim Hadees no. 888)

Phir yahi qafila pure jaziratul arab ka malik ban gaya phir ajam bhi sarnigah ho gaye aur yu Allah k nabi k jo safa ki chooti par akele baat ki thi puri ho gayi.
wahi gaus aur wahi faryaad sun'ne wala jiske sahare imam e mujahideen apne mutthi bhar sathiyo k saath badr k medan mai Allah k baagi aur nafarmaano se takra jate hai, aur sajdeh mai sar rakh kar apne malik se munajaat karte hai, to malik apne gaus hone ka elaan yu farmaata hai.
Jab tum us se faryaad kar rahe they to usne tumhari faryaad ko kabool kiya aur tumhari madad ko kataar dar kataar farishte bheje.

Wahi data wa dastgeer jis se abu bakr, Umar wa usman wa ali RA sawaal kiya karte they, wahi rabbul alameen jo imam abu hanifa, imam shafi, imam malik, imam ahmad ibne hambal Rh ka mushkil kusha hai, Allah hi khaliq tha sheikh abdul qadir jilaani rh ka Allah hi razik tha usman bin ali al hajveri rh ka Allah hi madad gaar tha unka jinko 12 imamo se jaante hai Allah hi ne dastgeeri ki thi, khuwaja moinuddin chisti rh ki, sultan bahu rh ki, imam bari rh ki, miya meer rh aur shah abdul lateef rh ki, Allah k in bando ne raste se na wakif makhlooq ko sidha raasta dikha kar apni zimmedari ada ki thi, jo zaat sadiyo se jinn wa ins, charinda wa parinda, hashraat wa hewanaat aur shajar wa hajar ko paal rahi hai, kya wo zaat e aqdas aaj aajiz aa gayi hai k loog khud saakhta mushkil kushao ko banda parwari k liye pukaarna shuru kar de.
Allah ta'ala gumraho ko hidayat de. (Aaamen Ya Rabbal Alameen)