Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 1 May 2014

NAMAZ KE BAAD MASNOON AZKAAR (DUA)

NAMAZ KE BAAD MASNOON AZKAAR (DUA)



Bismillahirrahmanirraheem

1. Ibne Abbas Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz ka khatam hona takbeer (Allahu Akbar ki awaaz) se pehchan leta tha. (Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 841, Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 583)

yani Nabi Rehmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam farz namaz ka salam pher kar unchi awaaz se Allahu Akbar kehte they is se sabit hua k imam aur muqtadiyo ko namaz se farig hote hi ek baad buland awaaz se (Allahu Akbar) kehna chahiye.

2. Sobaan Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab apni namaz khatam karte to farmate: "ASTAGHFIRULLAH, ASTAGHFIRULLAH, ASTAGHFIRULLAH" Tarjuma: "Mai Allah se (gunaho ki) bakhshish chahta hu" (Teen Martaba).

"ALLAHUMMA ANTAS SALAAMU WA MINKAS SALAAMU TABARAKTA YA ZALJALALI WAL IKRAAM". Tarjuma: "Ya Allah tu hi salamati wala hai aur teri hi taraf se salamati hai ae buzurgi aur izzat wale tu bada hi babarkat hai"(Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 591)

3. M'aaz Bin Jabal Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera hath pakad kar farmaya: Ae m'aaz! Allah ki kasam mai tujhse muhabbat karta hu mai tujhe wasiyat karta hu k har (farz) namaz k baad ye (zikr) padhna na chodna: "ALLAHUMMA INNI ALA ZIKRIKA WA SHUKRIKA WA HUSNI IBADATIK" Tarjuma: "Ae mere rab! zikr karne, shukr karne aur acchi ibadat karne mai meri madad kar". (Abu Daud Kitabul Witr Hadees No. 1522, ise Imam Hakim 273/1, Imam Zehbi, Imam Ibne Khuzaima, Imam Ibne Habaan aur Imam Noovi ne sahi kaha)

4. Mugira Bin Shaba Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam har farz namaz k baad kehte they: "LA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHARIKA LAHU, LAHUL MULKU WA LAHUL HAMDU WA HUA ALA KULLI SHAI IN KADEER, ALLAHUMMA LA MAANIA LIMA AATAITA WALA MUTIYA LIMA MANAATA WALA YANFA'OU ZAL JADDI MINKAL JADDU". Tarjuma: "Allah ke siwa koi (saccha) mabood nahi hai, wo akela hai uska koi shareek nahi hai, usi k liye baadshahat hai aur usi k liye sari tareef hai, aur wo har cheez par kadir hai. Ya Allah! teri ata ko koi rokne wala nahi aur teri roki hui chiz ko koi ata karne wala nahi aur dolatmand ko (us ki) dolat tere azaab se nahi bacha sakti". (Bukhari Kitabul Azaan Hadees no. 844, Muslim Kitabul Masajid Hadees no. 593)

5. Abdullah Bin Zubair Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam salam pherne k baad padhte they: "LA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHARIKA LAHU, LAHUL MULKU WA LAHUL HAMDU WA HUA ALA KULLI SHAI IN KADEER, LA HAULA WALA KUWATTA ILL BILLAHI LA ILAHA ILLALLAHU WALA NA'ABUDU ILLA IYYAHU LAHUN NE'EMATU WA LAHULFAZLU WA LAHUSSANA UL HASANU LA ILAHA ILLALLAHU MUKHLISEENA LAHUDDEENA WA LAO KARIHAL KAFIROON" Tarjuma: "Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi wo akela hai uska koi shareek nahi usi k liye baadshahat hai aur usi k liye saari tareef hai aur wo har cheez par kadir hai gunaho se rokna aur ibadat par kudrat pana sirf Allah ki tofeeq se hai Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi aur hum (sirf) usi ki ibadat karte hai har ne'emat ka malik wahi hai aur sara fazal usi ki malkiyat se (yani fazal aur ne'emate sirf usi ki taraf se hai) usi k liye acchi tareef hai Allah k siwa koi mabood (haqeeqi) nahi hum (sirf) usi ki ibadat karte hai agarche kafir bura maney". (Muslim Kitabul Masajid Hadees No. 594)

6. Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam namaz k baad in kalmaat ko padhte they: "ALLAHUMMA INNI AOZUBIKA MINAL JUBNI WA AOZUBIKA MINAL BUKHLI WA AOZUBIKA MIN AN URADDA ILA ARZALIL UMURI WA AOZUBIKA MIN FITNATID DUNYA WA AZABIL QABR" Tarjuma: "Ae Allah! mai buzdili aur kanjusi se teri panah chahta hu aur is baat se bhi teri panah chahta hu k mujhe razeel umar ki tarah pher diya jaye aur mai dunyawi fitno aur azab e qabr se bhi teri panah chahta hu". (Bukhari Kitabul Jihaad Hadees No. 2822)

7. Abu Huraira Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: uske tamaam gunah maaf kar diye jayenge khawah samundar k jhaag k barabar ho jo har (farz) namaz k baad padhey: "SUBHANALLAH" "Allah (har aeeb se) paak hai" "33 baar" "ALHAMDULILLAH" "sari tareef Allah ki hai" "33 baar" "ALLAHU AKBAR" "Allah sabse bada hai" "33 baar" aur ek baar padhey: "LA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHARIKA LAHU LAHUL MULKU WA LAHUL HAMDU WA HUA ALA KULLI SHAI IN KADEER" Tarjuma: "Allah k siwaye koi (saccha) mabood nahi wo akela hai uska koi shareek nahi usi k liye sari baadshahat aur usi k liye sari tareef hai aur wo har cheez par khoob kudrat rakhne wala hai". (Muslim Kitabul Masajid Hadees No. 597)

8. Ka'ab Bin Ajar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo shaks farz namaz k baad (SUBHANALLAH) 33 baar (ALHAMDULILLAH) 33 baar aur (ALLAHU AKBAR) 34 baar kahega wo (sawab ya buland darjaat se) mehroom nahi hoga. (Muslim Hadees No. 596)

9. Ukba Bin Aamir Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujhey huqm diya k mai har (farz) namaz k baad Ma'ozaat padha karo. (Abu Dawood Kitabul Witr, Nasai Hadees No. 1336 aur 68/3, ise Imam Hakim 253/1, Imam Zehbi, Imam Ibne Khuzaima aur Imam Habaan 2347 ne sahi kaha)

Ma'ozaat (Allah ki panah mai dene wali surate) ye un surato ko kehte hai jis k shuru mai (KUL A'OZU) ka laft hai inhe ma'ozteen bhi kaha jata hai yani Quran paak ki akhri 2 surate (Surah FALAK, aur Surah NAAS).

10. Ummul Mumineen Ummey Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab subha ki namaz ka salam pherte to kehte: "ALLAHUMMA INNI ASALUKA ILMAN NAFIAO WA RIZKAN TAYYIBAO WA AMALAN MUTAKABBALA" Tarjuma: "Ae Allah! mai tujhse nafa dene wale ilm aur pakiza rizk aur kabool kiye gaye amal ka sawal karta hu". (Ibne Maja Kitab Ikamatus Salat Hadees No. 925)

11. Amara Bin Shabeeb Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jisne magrib ki namaz k baad 10 baar ye alfaaz kahe: "LA ILAHA ILLALLAHU WAHDAHU LA SHARIKA LAHU LAHUL MULKU WA LAHUL HAMDU YUHYI WA YUMEETU WA HUA ALA KULLI SHAI IN KADEER" Tarjuma: "Allah k siwaye koi (saccha) mabood nahi wo akela hai uska koi shareek nahi usi k liye sari baadshahat aur usi k liye sari tareef hai wahi zinda karta hai aur wahi marta hai aur wo har cheez par khoob kudrat rakhne wala hai".

"Allah Ta'ala uski hifazat k liye farishte bhejta hai jo subah tak shetan mardood se uski hifazat karte hai aur Allah Ta'ala uske liye 10 nekiya likhta hai aur 10 halaak karne wale gunah us se door karta hai uske liye 10 momin gulaam azaad karne k barabar ajar hai". (Tirmizi Kitabul Dawat Hadees No. 3534)

12. Abu Umama Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k mene Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna: jo shaks har namaz k baad Ayatal kursi padhe to usko bahisht mai dakhil hone se siwaye maut k alawa koi cheez nahi rokti. (Nasai Hadees No. 100 ise Imam Ibne Habaan aur Manzari ne sahi kaha)

Matlab ye hai k Ayatal Kursi padhne wala maut k baad sidha jannat mai jayega.

Ayatal Kursi: "ALLAHU LA ILAHA ILLA HUWAL HAYYUL QAYYOOM LA TA'KHUZUHU SINATU WALA NAUM LAHU MA FISSAMAWATI WAMA FIL ARZ MAN ZALLAZI YASHFAO INDAHU ILLA BI'IZNI YA'LAMU MA BAINA AEDEEHIM WAMA KHALFAHUM WALA YUHITOONA BISHAI IM MIN ILMIHI ILLA BIMA SHAAA A WASI'A KURSEE YUHUS SAMAWATI WAL ARZ WALA YAODUHU HIFZUHUMA WA HUWAL ALEEYIL AZEEM" Tarjuma: "Allah k siwa koi (saccha) mabood nahi wo zinda hai hamesha qaim rehne wala hai wo unghta hai na sota hai usi ka hai jo kuch aasmaano aur zameen mai hai uski ijazat k bagair kon uske paas (kisi ki) sifarish kar sakta hai? wo janta hai jo kuch unse pehle guzra aur jo kuch unke baad hoga aur loog uske ilm mai se kisi cheez ka ahaata nahi kar sakte (maloom nahi kar sakte) magar wo jitna chahta hai (utna ilm jise chahe de deta hai) uski kursi ne aasmano aur zameen ko ghair rakha hai aur un dono ki hifazat usko thakati nahi wo buland wa bala badi azmato wala hai".

13. Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo shaks raat ko sotey waqt Ayatal kursi padh leta hai to Allah ki taraf se uske liye muhafiz muqarrar kar diya jata hai aur tulu fajar tak shetan uske kareeb nahi aata. (Nasai Hadees No. 959, Imam Iben Khuzaima Hadees No. 2424 ne ise sahi kaha).


Allah ta'ala hame bida'at aur khurafaat se bachaye aur aur namaz k baad masnoon azkaar ka paband banaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment