Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 20 May 2014

DAJJAL KAHA HAI? PART 3

DAJJAL KAHA HAI? PART 3



Bismillahirrahmanirraheem

DAJJAL BAHAR HIND K KISI NA MALOOM JAZEEREY PAR ZANJEERO SE JAKDA HUA HAI

Hazrat Fatima binte kais Razi Allahu Anha se riwayat hai k ek raat Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam isha ki namaz k liye dair se tashreef laye aur farmaya: Mujhe tameem daari (ek isayi aalim jo baad mein muslamna ho gaye) ki un baato ne rook liya tha jo wo mujhse keh raha tha tameem ne ek aadmi k hawale se mujhe bataya k wo aadmi samundar k kisi jazeere par (kashti k samundari toofaan mai phans jane ki waja se) pahunch gaya jahan use ek aurat mili jo apne baalo ko khinch rahi thi, is aadmi ne aurat se pucha: tum kaun ho? aurat ne jawab diya mein (dajjal ki) jaamoos hu tu zara is mehal ki taraf aa, mein us mehal mein chala gaya waha mene ek aadmi dekha jo baalo ko khinch raha tha wo zanjeero mein jakda hua tha aur zameen wa aasman k darmiyaan uchal kood kar raha tha mene pucha: tum kaun ho? us aadmi ne jawab diya mein dajjal hu, phir dajjal ne pucha kya ummiyo k nabi zahir ho gaye? us aadmi ne jawab diya han, dajjal ne pucha loogo ne uski ita'at ki ya nafarmaani? us aadmi ne kaha ita'at, dajjal ne kaha ye unke liye accha hai. (Abu Dawood Kitabul Fitan Hadees no. 3636)

Hazrat Fatima binte kais Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Aagah raho, dajjal shaam ya yaman k samundar mai mojood hai (phir farmaya) nahi balke wo mashrik ki taraf hai wo mashrik ki taraf hai wo mashrik ki taraf hai phir aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne haath mubarak se mashrik ki taraf ishara kiya". (Muslim Kitabul Malahim)

wazahat: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pehle shaam ya yaman k samundar ka zikr farmaya phir uski tardeed farma kar takeed k sath mashrik k kisi samundar ka zikr farmaya shariheen e hadees ne iski wazahat mein ye likha hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka pehli baat ki tardeed farma kar dusri baat ki teen martaba takeed farmana wahi e ilahi ki bina par tha.

To Be continued......

No comments:

Post a Comment