Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 21 May 2014

DAJJAL KI SHIDDAT PART 6

DAJJAL KI SHIDDAT PART 6



Bismillahirrahmanirraheem

HAZRAT AADAM ALAIHIS SALAAM SE LE KAR QAYAMAT TAK FITNA E DAJJAL SE BADA FITNA AUR KOI NHI HOGA

Hazrat Hisham Bin Aamir Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suan k: "Aadam se le kar qayamat tak Allah ki makhlooq mai se (fitna) dajjal se bada koi (fitna) nhi hoga". (Muslim Kitabul Fitan)

FITNA E DAJJAL K KHAUF SE HAZRAT E AYESHA RAZI ALLAHU ANHA ROONE LAGI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam tashreef laye aur mai roo rahi thi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne daryaft farmaya: "kyu roo rahi ho?" mene arz kiya ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam dajjal yaad a gaya isi wajah se roo rahi hu, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: Agar dajjal meri mojoodgi mai nikla to tum sab ki taraf se mai uske liye kaafi hunga lekin agar wo mere baad nikla to yaad rakhna tumhara rabb kana nahi hai. (Musnad Ahmad Hadees no. 12512, Majmua uz zawahid 7/651)

DAJJAL KA ZAMANA PAANE WALE LOOGO KO AAMNA SAAMNA KARNE SE GURAIZ KARNE KA HUKM

Hazrat Imraan BIn Hussain Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks dajjal ki khabar sune wo uske saamne ane se guraiz kare Allah ki kasam jab koi aadmi uske paas jayega to yahi samjhega k wo momin hai jo shubhey ki cheeze wo de kar bheja gaya hai unhe dekh kar wo uski pairwi karne lagega". (Abu Dawood Hadees no. 3629)

FITNA E DAJJAL SE DAR KAR MUSALMAAN PAHAADO MAI JA CHUPENGE

Hazrat Ummey Shareek Razi Allahu Anha se riwayat hai k unhone Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna hai: "Loog dajjal (k darr se) bhaag kar pahaado mai chale jayenge", Hazrat Ummey Shareek Razi Allahu Anha ne arz kiya: "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! us rooz arab (musalmaan) kaha honge?" (kya wo mukabala nhi karenge) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: wo us rooz tadaad mai kam honge. (Muslim Kitabul Fitan)

FITNA E DAJJAL IS QADAR AALAMGEER HOGA K MAKKA MUKARRAMA AUR MADEENA MUNAWWARA K ALAWA DUNYA KA KOI MULK AUR SHEHAR USKE FITNE SE MEHFOOZ NHI RAHE GA

Hazrat Anas Bin Maalik Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Koi shehar aesa nhi jisme dajjal dakhil na ho siwaye makka aur madeena k, farishte makka aur madeena k raasto par saff baandhey khade honge aur un doono shehro ki hifazat karenge dajjal madeena munawwara ki sanglaakh zameen tak pahunchega to teen baar zalzala ayega aur madeena munawwara mai mojooda tamaam kaafir aur munafiq (dar kar) dajjal k paas chale jayenge". (Muslim Kitabul Fitan)

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment