Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 20 May 2014

DAJJAL KAUN HAI? PART 2

DAJJAL KAUN HAI? PART 2




Bismillahirrahmanirraheem

MADINE K YAHOODI GHAARANE MAI PAIDA HONE WALA "SAAF" DAJJAL HAI JO PEHLE ISLAAM LAYA LEKIN BAAD MAI MURTAD HO GAYA
SAAF KI KANEET IBNE SIYAAD YA IBNE SAA'ID HAI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai ibne saa'id ne mujhse kuch baate ki jinki wajah se mujhe (use bura kehne mai) sharam mehsoos hui kehne laga mene apne baare mai loogo se maazrat ki (k mai dajjal nahi) lekin ae ashaab e Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! maloom nhi tumhe mere baare mai kya (gumaan) ho gaya hai, Kya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne nahi farmaya: k dajjal yahoodi hoga aur mein to musalmaan hu, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: dajjal ki aulaad nhi hogi aur meri aulaad hai, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Allah ta'ala ne dajjal ka makka mein dakhil hona haraam kiya hai aur mene to hajj kiya hai wo aesi baate karta raha kareeb tha k mein uski baato par yaqeen kar leta lekin saath hi usne kaha: Allah mein acchi tarha jaanta hu dajjal is waqt kaha hai us k maa baap ko pehchanta hu loogo ne ibne saa'id se pucha tujhe pasand hai k tu hi dajjal ho? kehne laga agar mujhe banaya jaye to mein napasand nhi karunga. (Sahih Muslim Kitabul Fitan)

Hazrat Abdullah bin mas'ood Razi Allahu Anhu kehte hai hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they hamara guzar baccho se hua jinme ibne siyaad bhi tha, tamaam bacche bhaag gaye lekin ibne siyaad baitha raha Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat buri lagi Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "tere haath gubbar aalood ho kya tu gawahi deta hai k mein Allah ta'ala ka Rasool hu?" wo bola "nahi" "phir ibne siyad kehne laga kya tu (yaani Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam) gawahi deta hai k mein Allah ka Rasool hu?", Hazrat Umar Razi Allahu Anhu (jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they) ne kaha: Ya Rasool Allah Sallallahu Alaiahi Wa Sallam mujhe ijazat de mein ise qatal kardu, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Agar ye wahi hai jiska tujhe shak hai (yaani dajjal) to phir tu ise qatal nahi kar sakta" (aur agar koi aur hai to ise qatal karne ka faida nahi). (Sahih Muslim Kitabul Fitan)

Ahle ilm ki tehqeeq k mutabik ibne siyaad hi wo dajjal hai jise Allah ta'ala k huqm par farishto ne kisi jazeere mein band kar rakha hai aur qayamat k kareeb wo zahir hoga agarche wo madina mein paida hua aur makka madina mein hajj kiya lekin jab wo fitna paida karne k liye zahir hoga to makka mein dakhil ho sakega na madina mein jesa k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pesheeen gooyi farmayi. 

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment