Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 9 May 2014

SUWAR KA GOOSHT HARAAM KYU?

SUWAR KA GOOSHT HARAAM KYU?




Bismillahirrahmanirraheem

Suwar ka goosht khana islam mai kyu mana hai ? Ye bhi gair muslimo ki taraf se khaas kar isayo ki tarf se ek sawal hai
Islam mai suwar ka goosht haraam hai ye haqeeqat bahut wazay hai, mandarja zail nukaat is ki wazahat karte hai k ye kyu haraam hai.

QURAN MAI SUWAR K GOOSHT KI MUMANIYAT
Quran mai suwar ka goosht khane se kam wa baish chaar jagah mana farmaya gaya hai, ye mumaniyat in ayaat: surah no. 2 ayat no. 173, surah no. 5 ayat no. 3, surah no. 6 ayat no. 145 aur surah no. 16 ayat no. 115 mai ayi hai, Irshaad e baari ta'ala hai: tumhare liye haraam kiya gaya hai murda jaanwar aur khoon aur suwar ka goosht aur jis par Allah k siwa kisi aur ka naam liya gaya ho. (Surah Maida surah no. 5 ayat no. 3)
ye baat musalmano ko mutmaeen karne k liye kaafi hai k suwar ka goosht kyu mana kiya gaya hai, taahum isayi apni mazhabi kitaab k hawale se qayal ho sakte hai.

BIBLE MAI SUWAR K GOOSHT KI MUMANIYAT
Bible k ahad naama aeteek ki kitab ahbaar (Leviticus) mai likha hai: "aur suwar na khana kyunki uske pao (foot) alag aur jude hue hai, har chand wo jugaali nhi karta, wo tumhare liye napaak hai, tum un ka goosht na khana aur unki laasho (deadbody) ko bhi na choona wo tumhare liye napaak hai". (Ahbaar:11/7-8)
suwar ka goosht bible ki kitab istashna (Deuteronomy) mai bhi mana kiya gaya hai: "aur suwar tumhare waaste is liye napaak hai k uske paao to chirey hue hai magar wo jugaali nhi karta, tum unka goosht na khana na unki laash ko choona". (Istashna: 14/8)
isi tarha bible ki kitab yeesah (Isaiah) baab 65 fukrah 2 ta 5 mai bhi suwar ka goosht khane se mana kiya gaya hai

SUWAR KA GOOSHT 70 BIMARIYO KA SABAB BANTA HAI
Dusre gair muslim aur doohre is haqeeqat ko usi waqt ko tasleem karenge jab unko akli daleel aur science ki bunyaad par samjhaya jaye k suwar ka goosht mukhtalif kism ki kam az kam 70 bimariyo ka ba'as banta hai ise khane wale k maadey aur aanto mai kayi kism k keedey paida ho sakte hai jese pait k keede wagaira in mai se sab se khatarnaak “Taenia Solium” hai jis ko aam zubaan mai kudwadana kehte hai ye aanto mai hota hai aur bahut lamba hota hai, is ka anda khoon mai shamil ho kar takreeban tamaam aazaa tak pahunch jata hai agar ye dimaag mai chala jaye to yaad dasht ko nuksaan pahuncha sakta hai, agar dil mai pahunch jaye to dil k doorey ka sabab banta hai, agar aankh mai dakhil ho jaye to andha pan paida kar sakta hai, agar jigar mai dakhil ho jaye to jigar ko nuksaan pahuncha sakta hai, ye jism k takreeban hisso ko nuksaan pahuncha sakta hai.
Ek galat khayal ye hai k agar suwar ka goosht acchey tareeke se paka liya jaye to mazr keedo k andey mar jaate hai, America mai ek tehqeeqi jaize se pata chala k 24 ifraad jo "Trichura-Tichurasis" naami beemari mai mubtala hue, unme se 22 ne suwar ka goosht acchi tarah pakaya tha, is se saabit hota hai k uske goosht mai mojood jaraseem k andey taiz darja hararat par pakaane se bhi nahi marte.

SUWAR KA GOOSHT CHARBI PAIDA KARTA HAI
Suwar k goosht mai azlaat saaz mada kam aur had se zayada charbi hoti hai, ye charbi khoon ki baaliyo mai jam jaati hai jo faalij aur dil k doorey ka sabab banti hai, ye koi hairaan kun baat nahi k 50 kaisar ameriki high blood pressure ka shikaar hai.

ZAMEEN KA GAIZ TAREEN (GANDA) JANWAR
Suwar rooye zameen ka gaiz tareen janwar hai, ye goobar aur gandagi par phalta phoolta hai, ise Allah ta'ala ne gilazat khoor aur sab se zayada gandagi par guzara karne wala janwar banaya hai, dihaat (village) mai amooman toilet aur baitul khula nahi hote, is liye loog khuli jagaho par rafa e haajat karte hai aur aksar is galazat ko suwar hi chatt (saaf) karte hai, koi ye daleel de sakta hai k turkey ya fatah mumalik jese australia wagaira mai suwar ko badi saaf suthri jagah pala jata hai in saaf jagaho par bhi unke baado mai rakha jata hai haqeeqat ye hai k suwaro ko kitni hi saaf suthri jagah rakha jaye us se kuch fark nhi padta, ye fitratan gandey hai wo na sirf apna balke apne saath wale ka fazla bhi kha jate hai.

SUWAR BESHARAM JANWAR HAI
Khinzeer zameen par paya jane wala sabe se jayada besharam janwar hai, ye wahid janwar hai jo degar suwaro ko targeeb deta hai k wo uski saathi suwarni se jinsi faal kare, america mai aksar loog uska goosht khate hai kai dafa mehfil (dance party) k baad wo apni biwiya badal lete hai aur kehte hai "tum meri biwi k sath so jao aur mai tumhari biwi k sath hambistar hunga" zahir si baat hai jo loog suwar ka goosht khayenge wo usi tarha karenge.

Allah ta'ala hamari hifazat farmaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment