Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 20 May 2014

MASEEH DAJJAL KA ZAHOOR PART 1

MASEEH DAJJAL KA ZAHOOR PART 1



Bismillahirrahmanirraheem

Maseeh: Arabi zubaan mai maseeh k mukhtalif maana hai jinme se baaz ye hai: kisi cheez ko poojne wala, kisi cheez par haath pherne wala, kisi bimari k liye aafiyat ki dua karne wala, aur bahut zayada sach bolne wala, bahut jayada safar karne wala, Hazrat Isa Alaihis Salaam k liye maseeh lafz inhi maanoo mein istemaal hota hai.

Maseeh k dusre maana ye hai aankh se kana, bahut zayada jhoot bolne wala, bahut jayada safar karne wala dajjal ko maseeh inhi dusre maana mai kaha gaya hai, Yaad rahe k dajjal mubalaga ka segaa hai jiska matlab hai bahut jayada jhoot bolne wala ya bahut zayada fareeb dene wala.

QAYAMAT SE QABL DAJJAL ZAHIR HOGA.
DAJJAL K KHUROOJ KI IBTIDA IRAAN K SHEHAR KHARASAAN SE HOGI.

Hazrat Abu Bakr Siddeque Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aagah farmaya: "Dajjal mashrik ki sarzameen se niklega jiska naam kharasaan hai chamda bhari dhaloo jese chehre wale loog uske saath honge". (Ibne maja Kitabul Fitan Hadees no. 3291)

wazahat: chamda bhare dhaloo jese chehre se muraad goosht se parchapte chehre wale muraad hai.

DAJJAL KA ZAHOOR AESE WAQT HOGA JAB LOOG US SE BILKUL GAFIL HONGE

Hazrat sa'ab bin jasama Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna hai "Dajjal zahir nhi hoga magar us waqt jab loog use bilkul bhool chuke honge hatta k a'imma (Masajid) mimbaro par uska zikr karna bhi chood denge". (Musnad Ahmad Hadees no. 229)

KISI BAAT PAR GAZAB NAAK HONA DAJJAL K KHUROOJ KA SABAB BANEGA

Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha kehti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal ka loogo k saamne nikane ka pehla sabab uska gussa hoga jo use gazab naak bana dega". (Sahih Muslim Kitabul Fitan)

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment