Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 1 May 2014

SAJDA SAHU KA BAYAN

SAJDA SAHU KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

Sajda sahu se wo 2 sajde muraad hai jo namazi namaz mai bhul ki wajah se salam se pehle ya baad mai karta hai.

Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jab tum mai koi namaz padhta hai to shetan uski namaz mai shuba dalta hai usko yaad nahi rehta k kitni rakaat padhi jab tum mai kisi ko aisa ittefak ho to baithey baithey 2 sajde kare. (Bukhari Kitabus Sahu, Muslim Kitabul Masajid)

3 ya 4 rakaat k shaq par sajda

Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: agar tum mai se kisi ko rakaat ki tadaad k bare mai shaq pad jaye k 3 padhi hai ya 4? to shaq ko chod de aur yakeen par aetamad kare. phir salam pherne se pehle do sajde kare agar usne 5 rakaat namaz padhi thi to ye sajde uski namaz (ki rakaat) ko jaft kar denge aur agar usne puri 4 rakaat namaz padhi thi to ye sajde Shetan k liye zillat ka sabab honge. (Muslim Kitabul Masajid)

Abdur Rahman Bin Auoof Razi Allahu Anhu bayan karte hai k Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jis shaks ne namaz mai ye shaq pad jaye k aya usne 1 rakaat padhi hai ya 2 to wo usko 1 rakaat yaqeen kare aur baqya namaz puri kare, aur jisko ye shaq ho k usne 2 padhi hai ya 3 to wo usko 2 rakaat yaqeen kare aur phir (akhri ka'ade mai) salam pherne se pehle (sahu k) 2 sajde kare. (Tirmizi Kitabus Salat, Ibne Maja Ikamatus Salat Imam Tirmizi, Imam Hakim aur Imam Zehbi ne ise Sahi Kaha Hai)

Sajda Sahu ka tariqa ye hai k akhri Ka'ade mai tashahud (darood) aur dua padhne k baad Allahu Akbar keh kar sajde mai jaye phir uth kar jalse mai baith kar dusra sajda kare aur phir uth kar salam pher kar namaz se farigh ho.

Ka'ada Oula k tarq par sajda

Abdullah Bin Baheena Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sahaba e kiram Razi Allahu Anhum Ajmaeen ko zohar ki namz padhai pas pehli 2 rakaat padh kar khade ho gaye (ka'ade mai) sahuan na baithey pas log bhi nabi Rehmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k sath khade ho gaye yaha tak k jab namaz padh chuke (aur akhri ka'ade mai salam pherne ka waqt aya) aur log salam pherne k muntazir hue (to) Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne takbeer kahi jabke aap baithey hue they salam pherne se pehle 2 sajde kiye phir salam phera.(Bukhari Kitabul Azaan, Muslim Kitabul Masajid)

Mugira Bin Shaaba Razi Allahu Anhu kehte hai Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jab koi aadmi 2 rakaato k baad (tashahud padhe bagair) khada hone lage aur abhi puri tarha khada na hua ho to baith jaye lekin agar puri tarha khada ho gya to phir na baithey albatta salam pherne se pehle sahu k 2 sajde kare. (Abu Daood Kitabus Salat)

Namaz se farig ho chukne k baad Sajda

Imran Bin Hussain Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne asar ki namaz padhai aur 3 rakaat padh kar salam pher diya aur ghar tashreef le gaye 1 sahabi Kharbaak Razi Allahu Anhu aapke paas gaye aur aapke sahu ka zikr kiya to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam tezi se logo k paas pahunche aur Kharbaak Razi Allahu Anhu k kaul ki tasdeeq chahi logo ne kaha Kharbaak Razi Allahu Anhu sach kehta hai to phir aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne 1 rakaat aur padhai phir salam phera aur 2 sajde kiye phir salam phera. (Muslim Kitabul Masajid)

Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne zohar ya asar ki namaz padhai aur 2 rakaat padh kar salam pher diya baaz sahaba (namaz padh kar) masjid se bahar a gaye aur kehne lage k namaz kam ho gyi 1 sahabi zulyadeen Razi Allahu Anhu ne Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se arz ki k kya aap bhool gaye ya namaz kam ho gayi aap ne farmaya: na mai bhula hu aur na hi namaz kam hui hai phir aap ne sahaba e kiram se pucha kya zulyadeen Razi Allahu Anhu sach kehta hai unhone kaha han phir aap agey badhey aur chodi hui namaz padhi phir salam phera phir 2 sajde kiye phir salam phera. (Bukhari Hadees No. 482, Muslim Hadees No. 573)

Jo shaks 4 rakaat ki jagah 3 padh kar salam pher de phir jab usko maloom ho jaye k mene 3 rakaat padhi hai to khawah wo ghar bhi chala jaye aur baate bhi karle to phir bhi wo 1 rakaat jo reh gayi thi padhega usko sari namaz padhne ki zarurat nahi.

4 ki jagah 5 rakaat padhne par sajda

Abdullah Bin Mas'ood Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne zohar ki namaz (sahuan) 5 rakaat padhai aap se pucha gaya kya namaz mai zayadati ho gayi hai? sahaba Razi Allahu Anhum Ajmaeen ne arz kiya "aap ne zohar ki 5 rakaat padhai hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam qibla rukh hue aur 2 sajde kiye phir salam phera aur hamari taraf mutawajjah ho kar farmaya: mai bhi tumhari tarha insaan hu mai bhi bhulta hu jise tum bhulte ho pas jab bhool jau to mujhe yaad dilaya karo. (Bukhari Kitabus Salat, Muslim Kitabul Masajid)

Sajda sahu salam se qabl ya baad karne ka zikr to Ahadees mai Aap mulahiza farma chuke hai lekin sirf ek hi taraf salam pher kar sajda karna aur phir attahiyaat padh kar salam pherna Sunnat se sabit nahi hai, kyunki Tirmizi (Hadees No. 395) ki riwayat ko Allama Nasiruddeen Albani Rehmatullahi Alai ne shaaz kaha hai Ibne Sereen Rehmatullahi Alai se pucha gaya k kaya sahu k sajdo k baad tashahud hai unhone jawab mai farmaya k Abu Huraira Razi Allahu Anhu ki Hadees mai Tashahud ka zikr nahi hai. (Bukhari Hadees No.1228)

No comments:

Post a Comment