Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 29 May 2014

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 5

GUSTAKH E RASOOL KI SAZA PART 5



Bismillahirrahmanirraheem

RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO GAALIYA DENE WALI MAL'OONA AURAT KO RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE KHUD QATAL KARWAYA

Qabeeba e talqeen k ek aadmin se riwayat hai k ek aurat Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko gaaliya diya karti thi, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Mere is dushman se kaun nimtega?" hazrat Khalid bin Waleed Razi Allahu Anhu us aurat k paas gaye aur use qatal kar diya. (Musannaf ibne Abdur Razzaaq Hadees no. 9705)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KO AZIYYAT PAHUNCHANE WALE NAZEER BIN HAARIS AUR MAL'OON UQBA BIN ABU MU'EET DONO KO GAZWA E BADR K BAAD QATAL KIYA GAYA

Ibne Is'haaq kehte hai (gazwa e badr se waapsi par) jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam muqaam safra par pahunche to nazeer bin haaris ko qatal kiya gaya, use hazrat Ali bin Abu Talib Razi Allahu Anhu ne (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k hukm se) qatal kiya aur jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam irq e zabiyya k muqaam par pahuche to uqba bin abu mu'eet ko qatal kiya gaya, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uqba ko qatal kerne ka hukm diya to kehne laga "Ae Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)! mere baccho ka kya hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: unke liye aag hai, Imaam ibne kaseer Rahimahullah kehte hai ye dono logo mai se badtareen they aur kufr mai sab se badhey hue they aur islaam se dushmani rakhne mai sabse aagey they, sarkushi, hasad, islaam aur musalmaano ki huju karne mai sab se zayada they, dono par Allah ta'ala ki laanat ho. (Al Bidaya Wan Nihaya maqatl nazeer bin haaris wa uqba bin abu mu'eet lanatullah 3/324)

GUSTAKH E RASOOL MAL'OON HUWAIRIS BIN NUQEEZ KO RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE FATAH MAKKAH K BAAD KHUD QATAL KARWAYA

Waaqidi kehte hai huwairis bin nuqeez nabi e akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko aziyyat pahuchaya karta tha is liye Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (fatah makkah k rooz) uska raiga karaar de diya, fatah makkah k rooz wo apne ghar mai tha, lekin uske liye jeena doobhar ho gaya (ya zameen us k liye tang ho gayi) Hazrat Ali Razi Allahu Anhu uski justaju mai they, Hazrat Ali Razi Allahu Anhu ko bataya gaya k wo to fala gao mai hai, huwairis ko bhi kisi ne ittela kar di k wo matloob hai (Hazrat Ali Razi Allahu Anhu us gao pahuch gaye) uska darwaaza khatkhataya huwairis bahar nikla, wo bhaag kar kisi dusre ghar mai panah lena chahta tha lekin Hazrat Ali Razi Allahu Anhu saamne a gaye aur use qatal kar diya. (Saarimil Maslool safa no. 128)

GUSTAKH E RASOOL ABU AFAK YAHOODI KO HAZRAT E SAALIM BIN UMAIR RAZI ALLAHU ANHU NE JAHANNAM RASEED KARNE KI NAZAR MAANI AUR MOOKA MILTE HI APNI NAZAR PURI KAR DI

Hazrat Zaid bin Saabit Razi Allahu Anhu kehte hai k banu umar wa bin auof ka ek shaks tha jiska naam abu afak tha, bahut hi budha, jab nabi e akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam madeena munawwara tashreef laye us waqt uski umar 120 saal thi, abu afak ne islaam qabool na kiya aur loogo ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki dushmani k liye bhadkaya karta, jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam gazwa e badr k liye tashreef le gaye to Allah ta'ala ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khoob madad farmayi jis se abu afak hasad karene laga aur sarkashi par utar aya, Hazrat Saalim bin umair Razi Allahu Anhu ne ye nazar maani k mai ya to abu afak ko qatak karunga ya khud uske haatho qatal ho jaunga jab Hazrat Saalim Razi Allahu Anhu abu afak ki toh mai they, moosam garma ki ek raat abu akak banu umar wa bin auof k han sahan mai soya hua tha Hazrat saalim Razi Allahu Anhu aye aur talwaar uske kaleeje par rakh di hatta k talwaar bistar tak pahunch gayi, Allah ka dushman cheekhne chillane laga uske ham khayal loog bhaage hue aye, utha kar use kamre mai le gaye aur dafan kar diya, phir puchne lage "ise kisne qatal kiya?" Wallah agar hame pata chal jaye to hum use qatal kar denge". (Waaqidi Kitabul Magaazi jild 1 safa no. 174-175)

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment