Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 21 May 2014

DAJJAL KA HULIYA PART 4

DAJJAL KA HULIYA PART 4



Bismillahirrahmanirraheem

DAJJAL KI EK AANKH KAANI AUR USKE SAR K BAAL GHUNGRAALE HONGE, RANG SURKH AUR JISM BHARI HOGA

Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Mene khawaab mai dekha k mai tawaaf kar raha hu achanak mene ek aadmi dekha gandum goo sidhey baalo wala (yaani sunhere sidhey baal wala) uske baalo se paani tapak raha tha jese abhi abhi gusal kiya ho mene pucha: "ye kaun hai?" unhone bataya "Isa Bin Maryam AS" phir mene dusri taraf tawajjo ki to ek surkh rang ka moota aadmi nazar aya jiske sar k baal ghunghreele aankh kaani thi jis tarah foola hua angoor ho mene pucha "ye kaun hai?" unhone jawab diya "ye dajjal hai". (Bukhari Kitabul Fitan)

DAJJAL KI DONO AANKHO K DARMIYAAN KAAFIR LIKHA HOGA

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: koi nabi aesa nhi apni ummat ko kaane aur jhoote (dajjal) se na daraya ho aagah raho wo kana hoga aur tumhara rabb kana nhi hai aur dajjal ki dono aankho k darmiya "Kafir" likha hoga. (Bukhari Kitabul Fitan)

Wazahat: Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye baat bhi irshaad farmayi hai k "Kafir" ka lafz har musalman padh lega khawah padha likha ho ya anpadh. (Muslim Kitabul Fitan)

DAJJAL K SAR PAR BAHUT JAYADA BAAL HONGE

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "dajjal baayi (left) aankh se kaana hai uske sar par bahut zayada baal honge uske saath jannat aur jahannam hogi, (khabardaar) uski jahannam jannat hogi aur jannat jahannam hogi". (Ibne Maja Kitabul Kitabul Fitan Hadees no. 3290)

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment