Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 11 May 2014

KYA GAIR MUSLIM KO KAFIR KEHNA GAALI HAI?

KYA GAIR MUSLIM KO KAFIR KEHNA GAALI HAI?



Bismillahirrahmanirraheem

"Kafir" use kehte hai jo jhutlata ya inkaar karta hai, "Kafir" ka lafz "Kufr" se nikla hai jis ka mana hai: jhutlana ya chipana, islaami istalah mai "kafir" ka matlab hai jo islaam ki talimaat aur uski sacchai ko chipata ya jhutlata hai aur jo shaks islam ka inkaar karta hai usko gair muslim kehte hai.

KAFIR KI ISTALAH GAALI NHI
Agar koi gair muslim khud ko "gair muslim" ya "kafir" kahe jane ko gaali samajhta hai, jiska matlab ek hi hai, to ye is ki islam k baare mai galat fehmi ki wajah se hai, ise islam aur islaami istalahaat ko samajhne k sahi zaraye tak rasayi hasil karne ki koshish karni chahiye aur "kafir" kehe jane ko gaali nhi samajhna chahiye, "gair muslim" aur "kafir" k alfaaz gaali nhi hai balke musalmabo aur degar mazahib k pairokaaro k mabain mehaz khatte imtiyaaz khechne wali istelahaat hai is mai tahkeer ka koi pehlu nhi hai fark wa imtiyaaz kayam karne wali ek maroof islaah ko gaali karaar dena bilkul bhi sahi nhi hai.

No comments:

Post a Comment