Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 25 May 2014

AHLE EMAAN KO ALLAH TA'ALA FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAKKHEYGA PART 11

AHLE EMAAN KO ALLAH TA'ALA FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAKKHEYGA PART 11



Bismillahirrahmanirraheem

AHLE EMAAN KO ALLAH TA'ALA FITNA E DAJJAL SE MEHFOOZ RAKKHEYGA

Hazrat Mugeera bin Shu'ba Razi Allahu Anhu kehte hai dajjal k baare mai jitna mene Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha itna kisi aur ne nhi pucha, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tujhe uski itni fikar kyu hai wo tujhe kuch bhi nuksaan nhi pahuncha sake ga?" mene arz kiya Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! loog kehte hai uske paas khana aur nehre hongi? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: uske paas jo kuch bhi hoga wo Allah k nazdeek bahut hi haqeer hai. (Muslim Kitabul Jihaad Hadees no. 2170)

ALLAH KI REHMAT SE ANPADH AHLE EMAAN BHI DAJJAL KI PAISAHANI PAR "KAFIR" LAFZ PADH KAR USE PEHCHAAN LENGE

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal ki ek aankh kaani hai uske uper ek phuli hogi uski dono ankho k darmiyaan (paishani par) "Kafir" likha hoga jise har momin, padha likha ya anpadh sab padhlenge". (Muslim Kitabul Fitan)

JO LOOG DAJJAL KO PEHCHAAN KAR APNE EMAAN PAR QAYAM RAHENGE UNPAR DAJJAL KA FARAIB NAHI CHALEGA

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Dajjal par chunke madina mai dakhil hona haraam kar diya gaya hai lihaza wo madeena se bahar ek sanghlaakh zameen par utrega us waqt madeena walo mai se sabse behtar aadmi dajjal k paas jayega aur kahega mai gawahi deta hu k tu hi dajjal hai jiske baare mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hame bata gaye hai dajjal (loogo se mukhatib ho kar) kahega agar mai us aadmi ko qatal kardu phir zinda kardu to kya tumhe mere ila (mabood) hone par koi shak reh jayega loog kahenge nhi! chunanche dajjal use qatal karega phir zinda karega wo aadmi kahega Allah! ab to mujhe aur bhi zayada yaqeen ho gaya hi k tu hi dajjal hai, dajjal use dobara qatal karna chahega lekin kar nahi sakega". (Muslim Kitabul Fitan)

EK MOMIN AADMIN KO DAJJAL AAREY SE CHEER KAR DO TUKDE KARDEGA AUR ZINDA HONE KA HUKM DEGA JAB WO DOBARA ZINDA HO JAYEGA TO DAJJAL MOMIN KO DOBARA QATAK KARNA CHAHEGA TAB ALLAH TA'ALA US MOMIN KA JISM PEETAL KA BANA DEGA AUR DAJJAL USE QATAL NHI KAR SAKEGA

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Dajjal niklega to momino mai se ek aadmin uski taraf a raha hoga k raaste mai use dajjal k hathyaar band sipaahi milenge use puchenge "Kaha ja rahe ho?" momin jawab dega "Jo dajjal zahir hua hai uski taraf ja raha hu" Dajjal k kaarinde us se puchenge "Kya tu hamare rabb (yani dajjal) par emaan nahi laya?" momin jawab dega hamara rabb makhfi nhi hai, dajjal k kaarinde kahenge ise qatal kar do, tab wo aapas mai ek dusre se kahenge kya tumhare rabb (yaani dajjal) ne mana nahi kiya k uske hukm k bagair kisi ko qatal na karna chunanche wo us momin aadmi ko dajjal k paas le jayenge jab momin aadmin dajjal ko dekhega to pukaar uthega loogo ye wahi dajjal haijis ki khabar Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne di thi chunanche dajjal apne kaarindo ko uska sar kuchalne ka hukm dega wo uska sar kuchal denge uske pait aur peeth par bhi zarbe maarenge phir dajjal us se puchega "kya tu mujh par emaan lata hai?" jawab mai momin aadmin kahega "tu jhoota hai" dajjal huqm dega aur momin aadmin ko sar se le kar pao tak aarey se cheer diya jayega aur us aadmi k do tukde ho jayenge dajjal un dono tukdo k darmiyan ayega aur hukm dega "uth khada ho" chunanche momin aadmi seedha khada ho jayega dajjal use puchega "kya tu mujh par emaan lata hai?" momin aadmin kahega "tumhare muamale mai mere yaqeen mai aur bhi izafa ho gaya hai" (k tu hi dajjal hai) phir momin aadmi elaan karega "Ae loogo mere baad dajjl kisi dusre k saath aesa muamala nahi kar sakega" Dajjal use dobara zibah karne k liye pakdega lekin momin aadmin (Allah k hukm se) gale se le kar hansali tak taambe ka ban jayega aur dajjal use zibah nahi kar sakega dajjal use haatho aur pao se pakad kar door phenk dega loog samjhenge k dajjal ne use jahannam mai phenka hai halanke wo jannat mai dala gaya hoga Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "wo shaks Rabbul aalameen k nazdeek sab se bada shaheed hai". (Muslim Kitabul Fitan)

FITNA E DAJJAL SE BACHNE WALE KHUSH NASEEBO KO ALLAH TA'ALA DUNYA MAI HI HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM KI ZUBANI BULANDI DARJAAT KI BASHAARAT DE DENGE

Hazrat Nawaas Bin Sa'amaan Kalaabi Razi Allahu Anhu kehte hai ek din Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne dajjal ka zikr kiya aur farmaya: "Phir Allah ta'ala k nabi isa alaihis salaam un loogo k paas tashreef layenge jinhe Allah ta'ala ne fitna e dajjal se bacha liya hoga unhe tasalli denge aur unhe un darjaat se aagah karenge jo Allah ta'ala ne uske liye jannat mai tayyar kar rakhey honge". (Ibne Maja Kitab Abwabul Fitan Hadees no. 3293)

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment