Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 11 May 2014

JO UMOOR NAMAZ MAI KARNE JAYEZ HAI UNKA BAYAN

JO UMOOR NAMAZ MAI KARNE JAYEZ HAI UNKA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

Namaz ek ibadat hai hame ibadat wese hi karni hai jes Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ki hai aur jo umoor unhone doraan e namaz kiye hai wo hame bhi karna chahiye.

1. Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "zameen mai dokaalo yani saanp aur bicchu ko maar dalo". (Abu dawood kitabus salaam hadees no. 921)

2. Abu katada Razi Allahu Anhu farmate hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko is halat mai namaz padhte hue dekha k zenab ki beti amama (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki nawasi) aap k kandho par thi aap sajda farmate to amama ko utaar dete aur jab khade hote to phir use utha lete. (Bukhari kitabus salaam hadees no. 516, Muslim kitabul masajid hadees no. 543)

3. Suhaib Razi Allahu Anhu se riwayat haik Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas se guzra aap namaz padh rahe they mene salaam kiya aapne (zubaan se kuch kahe bagair) daaye hath ki ungli k isharey se salaam ka jawab diya. (Abu dawood kitabus salaat hadees no. 925 aur 927)

4. Rafa bin rafey Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k piche namaz padhi to mai doraan e namaz mai cheeka aur mene kaha: "ALHAMDULILLAHI HAMDAN KASEERAN TAYYIBAM MUBARAKAN FEEHI" pas jab aap namaz padh chukey to farmaya: namaz mai kalaam karne wala kon tha? teen baar aapne pucha mene arz kiya: Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam mai tha, aapne farmaya: us zaat ki kasam jis k haath mai meri jaan hai teen farishtey is kalme ko le jane k liye jaldi kar rahe they. (Tirmizi kitabus salaat hadees no. 404 is hadees ko imam tirmizi ne hasan kaha)

In ahadeeso se ye maloom hua k ye tamaam umoor jo aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kare hai hum bhi ye kar sakte hai.
Allah hame amal karne ki tofeeq ata farmaye (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment