Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 7 May 2014

ALLAH ARSH PAR HAI (AQWAAL E TABAYI AUR TABA TABAYI RAHIMAHULLAH SE DALEEL) PART 5 FINAL

ALLAH ARSH PAR HAI (AQWAAL E TABAYI AUR TABA TABAYI RAHIMAHULLAH SE DALEEL) PART 5





Bismillahirrahmanirraheem

Charo imamo rh k aqwaal k baad degar tabayi aur taba tabayi k aqwaal paish e khidmat hai, jis tarha charo imamo ka zikr karte hue unki tareekh e wafaat likhi thi in sha Allah isi tarha ab jin jin buzurgaan e deen ka zikr karunga unki tareekh e wafaat bhi zikr karunga

1. Masrook bin ajdaa al hamdaani koofi rahimahullah (tabayi tareekh e wafaat 62 hijri)
inhone bahut se sahaba RA se sunnat e Rasool SAW afzal salaat wa tasleem ka ilm hasil kiya aur aagey pahunchaya, jab ye emaan walo ki maa Aisha RA se koi hadees riwayat karte to kaha karte: mujhe siddeque ki beti siddeqa, Allah k habeeb ki habeebiya, jis ki baraat 7 aasmano k uper se hue, ne bataya: aur phir hadees bayan karte imam ibne qayyim rh ne "IJTAMA  JAYUSH AL ISLAMIYA" mai is qaul ko sahih karaar diya.

2. Sufyan suri rahimahullah (tabayi tareekh e wafaat 161 hijri)
kehte hai k mai rabiyya bin abu abdur rahman rahimahullah (tabayi tareek e wafaat 163 hijri) k paas tha k ek aadmi ne unse pucha "rahman arsh par istawa kese hue hai, is istawa ki kefiyat kya hai?" to unhone jawab diya: istawa kya hai ye sab ko maloom hai, aur (Allah k) is istawa ki kefiyat kya hai ye hame nhi maloom lekin is par eman lana farz hai aur is kefiyat k baare mai sawal karna bidaat hai, imam zahbi rh ne kaha "ALAWUL ALLIYIL GAFFAR" mai ye riwayat nakal ki, aur imam al albani rh ne is ko sahih sanad karar diya.

3. Ibne ayeena abu imran rahimahullah (taba tabayi tareek e wafaat 198 hijri)
kehte hai k mai rabiyya bin abu abdur rahman rahimahullah (tabayi tareek e wafaat 163 hijri) k paas tha k ek aadmi ne unse pucha "rahman arsh par istawa kese hue hai, is istawa ki kefiyat kya hai?" to unhone jawab diya: istawa kya hai ye sab ko maloom hai, aur (Allah k) is istawa ki kefiyat kya hai ye hame nhi maloom aur ye paigham Allah ki tarf se hai, aur Rasool Allah SAW k zimmey mai uski tableeg thi (so wo unhone kardi) aur hamare zimmey is ki tasdeeq karna hai (jo hum karte hai) imam habtullah bin hasan al lalkayi abu mansoor rh tareekh e wafaat 418 hijri ne "ETAQAAD AHLUS SUNNAH" mai sahih sanad k sath riwayat kiya.

4. Imam e tafseer al zihaak bin mazahim halali rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 106 hijri)
ki taraf se bayan karte hue kehte hai k unhone kaha: Allah apne arsh par hai aur uska ilm un (yani uski makhlookaat) k sath hai (imam allama qazi subhan abu ahmad asaal aur imam habdullah al lalkayi rh ne sahih sanad k sath nakal kiya)

5. Siddeque ibne muntasir kehte hai k mene sulemaan tameemi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 172 hijri)
ko kehte hue suna: agar mujhse ye pucha jaye k Allah kaha hai to mai ye kahunga k wo aasman par hai, imam zahbi rh ki "ALAWUL ALLIYAL GAFFAR" daleel rakam 114, imam al albani rh ka kehna hai k (ye kaul) imam habtullah al lalkayi rh ne sahih sanad k sath riwayat kiya.

6. Imam abdur rahman bin umar al ouzayi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 157 hijri)
kehte hai: hum tabayi ki mojoodgi mai bhi ye hi kaha karte they k: Allah apne arsh k uper hai aur Allah ki jo bhi sifaat sunnat e shareefa mai warid hue hai hum un par (bila taweel) emaan rakhte hai. (imam beheqi rh ne "ASMA WA SIFAAT" mai imam hakim rh ki riwayat se nakal kiya)

7. Waleed bin muslim rahimahullah kehte hai k mene imam abdur rahman bin umar al ouzayi rh aur imam malik bin anas rh (taba tabayi tareekh e wafaat 179 hijri) aur imam sufyan suri rh (taba tabayi tareek e wafaat 161 hijri) aur imam al lais bin saad fehmi misri rh (taba tabayi tareekh e wafaat 175 hijri) rahimahullah jameean se un ahadees k baare mai pucha jin mai Allah ki mukhtalif sifaat ka zikr hai to unhone kaha: is par aese hi emaan rakho jesa k ahadees mai aya hai. (MUKHTASAR ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam zahbi rh)

8. Imam hammaad bin zaid darham basri rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 179 hijri)
suleman bin harb rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 224 hijri) kehte hai k mene hammaad bin zaid ko kehte hue suna: tabayi aur sunnat k imamo balke sahaba RA, aur Allah aur uske Rasool SAW aur tamaam emaan walo ka kehna ye hi hai k, Allah aasman par hai aur apne arsh k uper hai, aur Allah apne tamaam aasmano se uper aur bulanad hai, aur wo dunya k aasman ki taraf utarta hai, aur unka ye kehna quran o hadees k dala'il ki bunyaad par hai jabke firqa e jahmiya wale ye kehte hai k Allah har jagah mojood hai aur Allah unke is batil qaul se paak hai balke uska ilm har waqt hamare saath hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)

9. Imam muhammad bin is'haaq bin yasaar imam magaazi (taba tabayi tareekh e wafaat 150 hijri)
salma bin fazal ka kehna hai muhammad is’haaq ne kaha: jesa k Allah ne apne baare mai bataya hai k sab se pehle sirf paani tha aur uske uper Allah ka arsh tha aur wo zul jalaal wal ikraam arsh k uper tha, apni tamaam makhlooq se buland aur uske uper koi cheez na thi, aur uske alawa koi cheez na thi, phir Allah ne rooshni aur andhera banaye, phir dhuye se saato aasmano ki kamaan banayi aur phir zameen ko bichaya, phir aasmano ki taraf mutawajjah hua aur unko aapas mai jooda aur unki takmeel 2 din mai ki, aur zameen aur aasmano ki takhleeq se 7 dino mai farig hua, aur phir pehle ki tarha apne arsh par qayam hua. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahabi rh)

10. Imam mujahid abdullah bin mubarak rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 215 hijri)
kehte hai k mene abdullah ibne mubarak rh se pucha: hum apne rabb ko kese pehchane? to unhone jawab diya: Allah saato aasman par apne arsh k uper hai, hum jahmiya ki tarha ye nhi kehte k Allah har jagah yaha zameen par hai. (AL RADD ALA AL MAREESI, imam daarmi rh)

11. Imam abu ma'aaz khalid bin suleman bakhli rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 199 hijri)
imam ubaidullah bin saeed kadama al surkhi rahimahullah ka kehna hai k unhone imam abu ma'aaz rh ko fargaana k muqaam par kehte hue suna: jahum (bin safwaan jahamiya fiqey ka baani) tirmaz ki guzargah par tha aur uski baat cheet badi fasahat wali thi, lekin na wo sahibe ilm they aur na hi ilm walo k saath unka uthna bethna tha, lihaza wo loogo (ko apne raaste pe laane k liye un) k sath chikni chapti baatey kiya karta, loogo ne use kaha: jis rabb ki tum ibadat karte ho hame uski sifaat batao: to wo (jaham bin safwaan) apne ghar mai dakhil ho gya aur kayi din k baad bahar nikla aur loogo ko jawab diya k wo jese k ye hawa har cheez k sath hai, aur har cheez mai hai aur koi cheez us se khali nhi to abu ma'aaz ne kaha: Allah ka dushman jhoot bolta hai, Allah to apne arsh par hai jesa k khud Allah ne apne baare mai bataya hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh, ASMA WA SIFAAT, imam behequi rh)

12. Imam abdullah bin maslimatah bin kaanib maroof al kaanibi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 221 hijri)
banaan bin ahmad rh kehte hai k imam kaanibi rh ne jahmi fiqey k ek aadmi ko ye kehte hue suna k rahman arsh par hai to imam kaanibi ne kaha: jo is baat par yaqeen nahi rakhta k rahman arsh par qayam hai, jesa k ab aam loog is par yaqeen nhi rakhtey to aesa karne wala jahannami hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)

13. Imam abu bakr abdullah bin zubari al humaidi mufti ahle makka rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 179 hijri)
bashar bin musa rh ka kehna hai k al humaidi rh ne kaha: hum sunnat k usoolo ko jis tarha paate hai un par usi tarha qayam hai aur wo ye hai k, Quran wa Hadees mai jo kuch aya hai hum na to us mai koi kami baishi karte hai aur na hi us ki koi tafseer karte hai, quran wa sunnat jaha rukhte hai hum bhi wahi ruk jaate hai, aur hum ye kehte hai k rahman apne arsh k uper qayam hai aur jo aesa nahi samajhta wo batil parast jahannami hai. (MUFASSAL ETAKAAD, sheikhul islam ibne taimiya rh)

14. Imam hishaam bin ubaidullah raazi hanfi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 179 hijri)
ali bin hasan bin yazeed al salmi apne walid se riwayat karte hai k "ek aadmi ko jahannami aqaid ka hamil hone ki wajah se tauba karne ki mohlat dete hue kaid kiya gaya, jab ye pata chal chuka k usne tauba karli hai to hishaam bin ubaidullah imtihaan lene k liye uske paas gaye aur pucha: kya tu is baat ki gawahi deta hai k Allah apne arsh k uper apni tamaam makhlook se juda aur alag hai. to us jahannami ne jawab diya: mai nhi janta k Allah ki apni makhlooq se alag hona kya hai? to hishaam rh ne kaha ise wapas kaid mai daal do isne abhi tak tauba nhi ki.

15. Imam muhammad bin mus'ab aabid sheikhul bagdaad rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 228 hijri)
abu hasan muhammad bin ata rh ka kehna hai k unhone muhammad bn mus'ab aabid rh ko ye kehte hue suna k: ae Allah ko ye samajhta hai k tu aakhirat mai na baat karega aur na dikhayi dega to wo sifaat ka kya farq, mai gawahi deta hu k tu saato aasmano se uper apne arsh k uper hai, na k us tarha hai jese k tere zandeeq dushman kehte hai (k tu har jagah mojood hai). (ASSUNNAH, abdullah bin muhammad bin hambal rh, tareekh e bagdaad, imam khateeb bagdaadi rh)

16. Imam e tafseer hafiz sunaid bin dawood al masesi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 226 hijri)
abu hatim raazi, abu imran al tarsoosi se riwayat karte hai k abu imraan ne imaam suneed bin dawood se pucha: kya Allah azz wa jall apne arsh k uper apni tamaam makhlooq se alag aur juda hai? to imam sunaid bin dawood ne kaha: ji han. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)

17. Imam kataiba bin saeed, sheikh e kharasaan rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 240 hijri)
abu abbas siraaj ka kehna hai k unhone kataiba bin saeed ko ye kehte hue suna k: Hum jante hai k hamara rabb saato aasman par apne arsh k uper hai jesa k Allah azz wa jall ne jawab farmaya hai, Rahman apne arsh par qayam hai aur ye qaul islam aur ahle sunnat wa jamaal k imamo ka hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)

18. Imam e muhaddiseen imam ali bin madeeni rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 234 hijri)
muhammad bin haris rh kehte hai k imam ali bin madeeni rh se pucha gaya : Allah ta'ala ki sifaat k bare mai ahle jamaat ka kya qaul hai? to unhone jawab diya: ahle jamaat is par eman rakhte hai k Allah akirat mai baat bhi karega aur dikhayi bhi dega, aur bila shaq wa shuba ye k Allah azz wa jall aasmano k uper apne arsh par qayam hai. (saabaqa hawala)

19. Imam is'haaq bin rahway rahimahullah (taba tabayi tareek e wafaat 238 hijri)
halb bin ismaeel karmaani rh ka kehna hai k mene is'haaq bin rahway rh se pucha k Allah k qaul: kabhi aesa nhi hota k 3 aadmiyo mai koi sargoshi ho aur unke darmiyan chotha Allah na ho, ya 5 aadmiyo mai sargoshi ho aur unke andar chata (6th) Allah na ho khufya baat karne wala khawah is se kam ho ya zyada, jaha kahi bhi wo ho, Allah unke saath hota hai phir qayamat k rooz unko bata dega k unhone kya kuch kiya hai Allah har cheez ka ilm rakhta hai : ki tafseer hum kese bayan kare?
to unhone jawab diya k (is ki tafseer ye hai k): tum jaha bhi ho wo tumhare shah rag se zayada tumhare kareeb hai, aur wo apni tamaam makhlooq se juda aur alag hai, aur phir abdullah ibne mubarak rh ka qaul zikr kiya: Allah apne arsh par hai apni tamaam makhlooq se alag aur juda, aur is masle mai sab se wazay tareen daleel Allah ta'ala ka ye qaul hai k rahman arsh par qayam hai. (ASSUNNAH, imam abu bakr khalaal rh)

20. Imam ismaeel bin yahya muzni rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 264 hijri)
ali bin abdullah al halwaani ka kehna hai k humne ibraheem muzni rh ko sawaliya khat likha, jis k jawab mai Allah ki hamd wa sana aur aqidhey ki baatey likhtey hue unhone likha: Allah ki na koi tashbiya hai na koi barabar wala, aur wo sun'ne wala hai, dekhne wala hai, ilm wala aur jan'ne wala hai, aur apne arsh par bulanad hai aur apne ilm se apni tameem makhlooq ko janta hai, aur quran Allah ki taraf se Allah ka kalaam hai Allah ki makhlooq nhi hai, Allah k kalmaat Allah ki makhlooq nhi hai, aur hamesha se hai aur hamesha rahega, aur na hi hamare rabb mai koi kami hai ya thi k hum use pura kare, uski sifaat makhlooq ki sifaat ki mushabihat se paak hai, aur wo apne arsh par apni tamaam makhlooq se juda alag aur buland hai.
muhammad bin ismaeel tirmizi rh ka kehna hai k unhone imam muzni rh se suna k: kisi ki tauheed us waqt tak durust nhi ho sakti jab tak k wo ye jaan aur maan na le k Allah ta'ala apni tamaam sifaat k sath apne arsh k uper hai, to mene pucha "masalan konsi sifaat?" to unhone kaha: sun'ne, dekhne, ilam rakhne, khabar rakhne ki sifaat aur degar (jo bhi sifaat Allah ne apni ya Allah k rasool SAW ne apne rabb ki bayan ki hai wo sab sifaat). (TAREEKH E SUBHAAN, imam ibne mandah rh)

21. Imam hafiz muhaddis al shark muhammad bin is'haaq ibne mandah rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 395 hijri)
ka kehna hai k: Allah ta'ala apni tamaam sifaat k sath jana pehchana hua hai gair maroof nhi, aur us tarha mojood hai k unko mehsoos nhi kiya ja sakta, aur wo apni sifaat k zariye itna kareeb hai goya k tu use dekh raha hai lekin uska ahaata nhi kiya ja sakta, wo kareeb hai lekin apni makhlooq mai se kisi k sath juda hua nhi, aur wo door hai is tarha k kisi se hata hua nhi, (yani is tarha k sab hi kuch) dekhta aur sunta hai aur sab se buland hai aur apne arsh par qayam hai, pas (emaan wale) dil use jaante hai, lekin, aqal uski kefiyat nhi jaan sakti aur wo har cheez par qadir hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)

22. Imam hafiz e asr ubaidullah bin abdul kareem abu zar'a raazi rahimahullah (taba tabayi tareek e wafaat 264 hijri)
muhammad bin ibraheem al subhani rh ka kehna hai k abu zar'a rh se (AR RAHMAANU ALA ARSHIS TAWA) ki tafseer puchi gayi to unko gussa a gaya aur unhone kaha: is ki tafseer bilkul wesi hi hai jesa k tum ise padhte ho, Allah apne arsh k uper hai aur iska ilm har jagah hai, aur jo is k alawa kuch aur kehta hai to us par Allah ki laanat ho. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)

23. Imam hafiz usman bin saeed daarmi rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 280 hijri)
apni kitab "AL NAKSH ALA BUSHRA MAREESI" mai likhte hai: musalmano ka is baat par ittefaaq ho chuka hai k Allah ta'ala apne aasmano se uper arsh k uper hai, aur likha: beshaq Allah arsh k uper hai aur wo arsh k uper se sunta hai, uski makhlooq mai se kisi ki sarsarahath bhi us se chipi nhi rehti, aur na koi cheez makhlooq ko Allah se chipa sakti hai.

24. Imam abu zakriya yahya bin ammaar al sajsataani rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 422 hijri)
apni mukhtasar kitab mai likha: hum firqa jahmiya ki tarh ye nhi kehte k, Allah har jagah mojood hai aur har cheez k sath juda hua hai pas hum nhi jaante (k kis waqt) wo kaha hai?
balke hum ye kehte hai: Allah ta'ala ki zaat apne arsh k uper hai aur us ka ilm har cheez ko gheerey hue hai aur uska ilm aur sima'at aur basarat har cheez ko jaanti hai aur har cheez par haavi hai, aur ye hi Allah ka farmana hai: aur tum loog jaha kahi bhi ho Allah tum loogo k sath hai, aur jo kuch tum loog karte ho Allah wo dekhta hai ka mana hai aur ye hi kehte hai kyunki ye hi baat Allah aur uske Rasool SAW ne kahi: (KITABUL ARSH, imam shamsuddin zahbi rh, IJTAMA JEWUSH AL ISLAMIYA, imam ibne qayyim al jauzi rh)

25. Sheikhul sufiya abu mansoor maamar bin ziyaad bin ahmad rahimahullah (taba tabayi tareekh e wafaat 395 hijri)
abu kasim tabraani se riwayat hai k imam maamar bin ziyaad rh ne kaha: mai apne saathiyo ko is baat ki nasihat karta hu jo k sunnat mai hai aur jis par ahle aur ahle tasawwuf wa maarfat ka ittefaaq hai aur wo ye hai k: Allah ta'ala apne arsh par qayam hai aur is (sifaat) ki kefiyat hum nhi jaantey, lihaza to ise kisi se tashbiyah dete hai aur na hi iski koi taweel karte hai, kyunki kayam hona samajh mai aane wali baat hai lekin Allah k liye iski kefiyat hame maloom nhi, aur ye k beshaq Allah ta'ala  apni tamaam makhlooq se juda aur alag hai aur uski tamaam makhlooq us se juda aur alag hai, pas khaliq aur makhlooq mai na koi hulool hai, na ik dujey k sath lagna hai aur na hi ik dujey se judna hai, aur Allah sunta hai, dekhta hai, ilm rakhta hai, sab kuch jaanta hai,baat karta hai, khush hota hai naraaz hota hai, pasand karta hai, hasta hai, hasaata hai, aur qayamat wale din apne bando k saamne muskurata hua ayega, aur jo koi Allah ta'ala k nuzool (yani kisi bhi sifaat) ka inkaar kare wo gumrah aur bidaati hai. (ALAWUL ALLIYIL GAFFAR, imam shamsuddin zahbi rh)

26. Imam hafiz ahmad bin abdullah bin ahmad abu naeem al subhaani rahimahullah (taba tabayi tareek e wafaat 430 hijri)
apni kitab "AL ETAQAAD" mai likhte hai: hamara raasta wo hi hai jo salaf saliheen (yani sahaba RA, tabayi aur taba tabayi rh) ka tha yani kitab aur sunnat aur ijma e ummat wala raasta, aur unka aqida ye hi tha k Allah ta'ala apni tamaam sifaat k sath us tarha hi mukammal hai jesa k wo hamesha se tha, uski sifaat mai na koi kami hai aur na hi koi tabdeeli, hamesha ki tarha wo apne ilm k saath aalim hai, apni basaarat k saath baseer hai, apni sima'at k sath sameei hai, baat karte hue bolta hai, phir wo har cheez ko adm se wajood mai laya, aur ye k quran aur Allah ki taraf se nazil karda tamaam kitaabe Allah ka kalaam hai, aur Allah ka kalaam uski makhlooq nhi hai, aur ye k quran har lihaaz se yani padhey jane, sune jane, mehfooz halat mai, likhi hui halat mai, lipti hui haalat mai, har lihaaz se Allah ka kalaam hai, haqeeqi taur par na k koi hikayat hai aur na hi koi taweel, aur jab hum use padhtey hai to wo hamare alfaaz mai bhi Allah ka kalaam hi hai aur gair makhlooq hai hai, aur (quran ko makhlooq karar dene k liye) alfaaz ka falsafa firqa e jahmiya ki taraf se aya hai aur ye k jo quran ko kisi bhi lihaaz se kisi bhi taur se makhlooq kehta hai wo salaf saaliheen k nazdeek jahannami hai aur jahannami ko salaf kaafir jaante they.
salaf saaliheen k aqaa'id ko bayan karte hue imam abu naeem al subhaani rh mazeed likhte hai k: aur wo un tamaam ahadees par yaqeen rakhte they aur un ko bayan kiya karte they jin ahadees mai arsh ka hona sabit hai aur Allah ka arsh k uper qayam hona sabit hai, aur wo Allah k arsh par qayam hone ko bagair kisi kefiyat k maante they aur us ko sabit karte they, aur ye aqeedah rakhte they Allah apni tamaam makhlooq se alag aur juda hai aur uski tamaam makhlooq us se alag aur juda hai, na to wo kisi k sath judta hai aur na hi kisi mai hulool hota hai, aur wo apne aasmano se uper apne arsh par qayam hai. 

Imam abu naeem al subhaani rh ne in tamaam baato par salaf saaliheen (yani sahaba RA, tabayi aur taba tabayi rh) ka muttafiq hone ka zikr kiya isi liye mai is baat ko sab se aakhi mai laya hu, aur is liye bhi k ho sakta hai kisi padhne wale k dil mai yahi khayal aye k jin buzurgo k aqwaal mene zikr kiye hai un mai se hadees k maroof imamo mai se koi bhi nhi to arz ye hai k tamaam tar aa'imma e hadees ki kitabo mai wo tamam ahadees mojood hai jo Allah ta'ala k  arsh par hone ko sabit karti hai.
Allah ta’ala se dua hai k Allah hame padhne ki uske baad samjhne ki aur uske baad us par amal karne ki tofeeq ata farma. (Aameen)

Note: Spelling mistake k liye maazrat chahta hu.

No comments:

Post a Comment