Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 8 May 2014

KYA MUSALMAN KAABA KI IBADAT KARTE HAI?

KYA MUSALMAN KAABA KI IBADAT KARTE HAI?
 


Bismillahirrahmanirraheem


QIBLA ITTEHAAD AUR ITTEFAAK KA ZARIYA HAI
Islam wahdat ka deen hai, chunanchey musalmano mai ittehad aur ittefaak peda karne k liye islam ne ek qibla mutayyan kiya hai aur unko huqm diya gaya hai k wo jaha kahi bhi ho, namaz k waqt kaaba ki taraf rukh kare, jo muslaman kaaba k magrib ki taraf rehte ho, wo apna rukh mashrik ki taraf karege aur jo mashrik ki taraf rehte ho, wo apna rukh magrib ki taraf karege.

KAABA NAKSHA E AAM K WAST (CENTER) MAI HAI
Ye musalman hi they jinhone sab se pehle dunya ka naksha banaya, unke naksho mai junoob uper ki taraf tha aur shimaal nichey ki taraf aur kaaba darmiyaan mai tha, baad mai magribi naksha nigaaro ne jo nakshey banaye, unmai shimaal uper aur junoob nichey ki taraf dikhaya gaya jesa k aaj kal dunya k nakshey banaye jate hai behar haal alhamdulillah kaaba dunya k nakshey k takreeban wast (center) mai hai.

TAWAAF E KAABA
Jab musalman makka ki masjid e haraam mai jaate hai, wo kaaba k gird chakkar laga kar tawaaf karte hai, unka ye amal wahid sacchey mabood par emaan aur uski ibadat ki alamat hai, jese har da’yire (circle) ka ek hi markaz hota hai, usi tarha Allah ta'ala bhi ek hai jo ibadat k layak hai.

HAZRAT UMAR RAZI ALLAHU ANHU KI EK HADEES MAI AQEEDAH E TAUHEED
Jaha tak siya (black) patthar, yaani hajra e aswad ki hurmat ka talluq hai, hazrat umar razi Allahu anhu ki ek hadees se wazey hai, hazrat umar razi Allahu anhu ne hajra e aswad ko bosa diya aur kaha: "mai yakeenan janta hu k tu ek patthar hai, na tu koi faida pahuncha sakta hai na koi nuksaan, agar mene Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko tujhey choomtey na dekha hota to mai tujhey kabhi na choomta". (Sahih Bukhari Kitabul Hajj Hadees No. 1597)

KAABA KI CHATT (ROOF) PAR AZAAN
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam k daur mai loog kaaba ki chatt (roof) k uper khade ho kar azaan dete they. (Tajalliyaat e nabuwat safa no. 226)
Ab jo loog ye aetraaz karte hai k musalman kaaba ko poojtey (ibadat) hai to bhala konsa butoo (murtiyo) ko poojne wala us butt (murti) k uper khada hota hai jiski wo pooja karta hai.

Islam mai poojne aur ibadat karne ka tasawwur zaat e baari ta'ala k liye hai, hajr, shajr, shaksiyaat ya isthaan (jagah wagaira) ki pooja ka tasawwur islam mai nhi paya jata, islam ne to aesi jagah par bhi ibadat se rook diya hai jaha Allah k alawa kisi aur ki ibaadat ka shuba (shak) paida ho sakta ho, masalan kabristaan mai namaz ada karna, ya aisi jagah ibadat karna jaha gair Allah ki ibadat ki jati ho, mamnoo (mana) hai, tareekh shahid hai k kisi daur mai koi ek misaal bhi nhi milti k musalmano ne kisi makaan ya imaarat ki ibadat ki ho, islam mai Allah k alawa kisi aur ki ibadat ka tasawwur hota to Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam is laayak they k aap ki qabar ko qibla banaya jata aur uski ibadat ki jaati, lekin aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is se sakhti se mana kar diya, isi tarha aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya k Allah ta'ala k siwa kisi aur ko sajdah jayez hota to mai aurat ko huqum deta k wo apne khawind ko sajdah kare, phir ye baat bhi hai k butoo (murtiyo) k pujari to butkhane mai ja kar ibadat karte hai ya un butoo (murtiyo) k model bana kar saamne rakhte hai jab k musalman kabooliyat e ibadat k liye khana e kaaba jaane ko shart karaar dete hai na k us ka model apne saamne rakhna jayez samajhte hai, wo to hujjat e kaaba ko saamne rakh k kaaba k bajaye rabb e kaaba ki ibaadat karte hai.

No comments:

Post a Comment