Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 2 May 2014

NAMAZ KI NIYAT

NAMAZ KI NIYAT

Bismillahirrahmanirraheem

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Amaloo ka daromadaar niyato par hai" (Sahih Bukhari Kitabul Bad ul Wahi Hadees no. 1, Sahih Muslim Kitabul Imarah Hadees no. 1907)

Is liye zaruri hai k hum apne tamaam (jayez) aamaal mein (sab se pehle) pur khuloos niyat kar liya kare kyunki jesi niyat hogi wesa hi phal milega.

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: ek shaheed Allah k saamne qayamat ko laya jayega Allah us se puchega k tune kya amal kiya? wo kahega k mein teri raah mein lad kar shaheed hua! Allah farmayega tu jhoota hai balke tu is liye lada k tujhe bahadur kaha jaye (bas teri niyat duniya mein puri ho gayi) phir usey muh k bal utha kar jahannam mein daal diya jayega phir ek shohrat ki garz se sakhawat karne wale maaldaar aur ek aalim ka bhi yahi hashar hoga. (Sahih Muslim Kitabul Imarah Hadees no. 1905)

wuzu karte waqt dil mein ye niyat kare k Allah k huzoor (namaz mein) hazir hone k liye wuzu karne laga hu aur phir jab namaz padhne lage to dil mein ye qasad aur niyat kare k sirf Allah ki khushnudi k liye is kaam ko baja laata hu.

niyat kyunki dil se talluq rakhti hai isi liye zubaan se ada karne ki koi zarurat nahi aur niyat ka zuban se ada karna na Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat aur Sahaba Razi Allahu Aanhum k amal se sabit nahi hai.

apne dil mein kisi kaam ki niyat karna aur zarurat k waqt kisi ko apni niyat se aagah karna ek jayez baat hai magar namaz se pehle niyat padhna akal, nakal aur lugat teeno k khilaf hai

1. Akal k khilaf is liye hai k bahut se aese kaam hai jinhe shuru karte waqt hum zuban se niyat nahi padhte kyunki hamare dil mein unhe karne ki niyat aur iradah mojood hota hai masalan joota pehan’ne lagte hai to kabhi nahi padhte "joota pehan’ne laga hu" wagairah to kya namaz hi ek aesa kaam hai jis k agaaz mein uski niyat padhna zaruri ho gaya? namaz ki niyat to us waqt ho jati hai jab aadmi azaan sun kar masjid ki taraf chal padta hai aur usi niyat ki wajah se usey har kadam par nekiya milti hai lihaza namaz shuru karte waqt jo kuch padha jata hai wo niyat nahi bidaat hai.

2. Nakal k khilaaf is liye hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam aur Sahaba Razi Allahu Aanhum jab namaz padha karte they aur agar wo apni namazo se pehle niyat padhna chahte to aesa kar sakte they unke liye koi rukawat nahi thi lekin un mein se kabhi kisi ne namaz se pehle zuban se niyat nahi padhi, iske bar-akas wo hamesha apni namazo ka agaaz takbeer e tehreema (Allahu Akbar) se karte rahe sabit ye hua k namaz se pehle niyat na padhna sunnat hai.

3. Lugat k is liye khilaaf hai k niyat arbi zuban ka lafz hai arbi mein uska maana "iradah" hai aur iradah dil se kiya jata hai zuban se nahi bilkul isi tarah jese dekha ankh se jata hai pao se nahi, dusro lafzo mein niyat dil se ki jati hai zuban se padhi nahi jati.

Baaz loog rooza rakhne ki dua, hajj k talbiya aur nikah mein aejaab wa qabool se namaz wali murawajjah niyat ko sabit karne ki koshih karte hai arz ye hai k “Roza rakhen wali dua hadees  e zaeef hai lihaza hujjat nahi, hajja ka talbiya sahih hadeeso se sabit hai wo Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki pairvi mein kehna zaroori hai magar namaz wali murawajjah niyat kisi hadees mein warid nahi hui, reh gaya nikah mein aejaab wa qabool ka masla chunkey nikah ka talluq huqooq ul ibaad se bhi hai aur huqooq ul ibaad mein mehaz niyat se nahi balkey iqraar, tehreer aur gawahi se muamalaat tey kiye jaate hai jabke namaz mein to bandah apne rabb k huzoor khada hota hai jo tamaam niyato ko khoob jaan’ne wala hai phir waha niyat padhne ki kya zaroorat hai lihaza ahle islaam se guzarish hai k is bidaat se nijaat paaye aur sunnat k mutabiq namaz ka aagaaz kare”.

Imam ibne Taimiyah Rahimahullah farmate hai k alfaaz se niyat karna ulama e muslimeen mein se kisi k bhi nazdeek mashrooh nahi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam, aap k Khulafa e Rashideen, aur degar Sahaba Razi Allahu Anhum, aur na hi is ummat k salaf aur A'imma mein se kisi ne alfaaz se niyat ki, ibadat mein masalan wuzu, gusal, namaz, roza aur zakaat wagirah mein jo niyat wajib hai bil ittefaaq tamaam a'imma e muslimeen k nazeed uski jagah dil mein hai. (Al Fatawa Kabeer)
Imam ibne Hamaam aur ibne Qayyim bhi isko bidaat kehte hai.

No comments:

Post a Comment