Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 1 May 2014

NAMAZ E JANAZA

NAMAZ E JANAZA



Bismillahirrahmanirraheem

Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Eemaan ki halat mai sawab ki niyat se jo kisi musalman k janaze k sath jata, uske sath rehta, uska janaza padhta aur usko dafan kar k farig hota hai to uske liye 2 Keeraat sawab hai har Keeraat uhad pahaad k barabar aur jo (sirf) janaza padh kar wapas a jata hai to uske liye ek Keeraat hai". (Bukhari Kitabul Eemaan Hadees No. 47, Muslim Kitabul Jana'iz Hadees No. 945)

Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis musalman k janaze mai aese 40 Aadmi shamil ho jo Allah k sath shirk na karte ho to wo Allah Ta'ala us (Mayyat k Haq) mai unki sifarish kabool karta hai". (Muslim Kitabul Jana'iz Hadees No. 948)[/color]

Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "4 Musalman jis musalman ki tareef kare aur acchi shahadat de, allah usko Jannat mai dakhil karega, humne arz kiya "aur 3" Aap ne farmaya: "3 bhi" humne arz kiya "aur 2" Aap ne farmaya: "2 bhi" phir humne ek k bare mai nahi pucha". (Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees No. 1348)

Yaha un musalmano ki gawahi muraad hai jiska Aqida wa Amal aur Akhlaaq wa Kirdaar Kitab wa Sunnat k mutabik ho. (Wallahu Aalam)

Namaz e janaza padhne k liye mayyat ki charpaie is tarha rakhey k mayyat ka sir Shumal ki simt aur pao Junoob ki janib ho phir ba wuzoo ho kar safae bandhey.

Anas Bin Malik Razi Allahu Anhu ne Ek mard ka janaza padhaya to wo (us k) sir k samne khade ho gaye phir ek Aurat ka janaza laya gaya to wo uske darmiyan khade ho gaye aur farmaya k Rasullullah SAW aesa hi karte they. (Tirmizi Kitabul Jana'iz Hadees No. 1034, Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees No. 3194 Imam Tirmizi ne ise Hasan kaha)

Phir Dil mai niyat karke dono hath kandho ya kano tak uthaye aur pehle takbeer keh kar Surah Fatiha Padhey.

Janaze Mai Surah Fatiha:

Abu Umama Bin Sahal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k namaz e janaza mai Sunnat tarika ye hai k pehle takbeer kahi jaye, phir fatiha padhi jaye, phir Nabi Rehmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam par Darood aur Mayyat k liye Dua (ki jaye) uske baad salaam (phera jaye). (Musannif Abdur Razzaq Hadees No. 6428, 489/3, 490, Imam Hafiz Ibne Hajar ne ise sahi kaha)

Talha Bin Abdullah Bin Auoof Razi Allahu Anhu kehte hia k mene Ibne Abbas Razi Allahu Anhu k piche namaz e janaza padhi to aap ne surah fatiha padhi, aur farmaya: mene ye isliye kiya hai takai tum jaan lo k ye Sunnat hai. (Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees No. 1335)

Is se Zehri Kiraat bhi sabit hui, Tajjub hai jo loog uthte baithte "Fatiha" k naam leta hai wo Namaz e janaza mai use padhte hi nahi.

Talha Bin Abdullah Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Ibne Abbas Razi Allahu Anhu k piche namaz e janaza padha unhone Surah fatiha aur ek aur surah padhi aur buland aawaaz se kiraat ki hatta k humne suna. jab farig hue to farmaya k ye "Sunnat aur Haq hai". (Nasai Kitabul Jana'iz Hadees No. 1987, 74/4 - 75 Ibne Tarkamani ne sahi kaha)

Namaz E Janaza ka sar'an padhne sunnat hai:

Abu Umama Bin Sahal Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Namaz janaza mai sunnat taika ye hai k Imam pehli takbeer k baad surah fatiha sar'an padhey phir teen takbiraat kahe aur akhri takbeer k sath salaam phera jaye. (Nasai Kitabul Jana'iz Hadees No. 75/4 : 1989 ise Imam Hafiz Ibne Hajar ne sahi kaha)

Buland Awaaz se bhi janaza padhaya ja sakta hai, chunanche Auoof Bin Malik Razi Allahu Anhu farmate hai, Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne namaz janaza mai ek Dua padhi jo mene yaad karli mene tamanna ki kash k ye mera janaza hota. (Muslim Kitabul Jana'iz Hadees No. 963)

Janaze ki Takbiraat:

Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k beshak Nabi Rehmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Najashi k janaze mai 4 takbiraat kahi. (Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees No. 1333, Muslim Kitabul Jana'iz Hadees No. 951)

Zaid Bin Arkam Razi Allahu Anhu namaz e janaza par 4 takbiraat kehte, ek janaze par unhone 5 takbiraat kahi aur farmaya k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam is tarha bhi karte they. (Muslim Kitabul Jana'iz Hadees NO. 957)

Maloom hua k Takbeer oula k baad surah fatiha ka padhna sunnat hai, surah fatiha aur dusri surah padh kar Imam ko Do takbeer kehne chahiye, aur phir namaz wala Darood Shareef padhey, uske baad teesri takbeer keh kar in duao mai se koi dua padhey:

Pehli Dua:

Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek janaze par ye dua padhi: "ALLAHUM MAGFIRLI HAYYINA WA MAYYITINA WA SAGIRINA WA KABIRINA WA ZAKARINA WA UNSANA WA SHA'HIDINA WA GA'IBINA ALLAHUMMA MAN AHYAYTAHU MINNA FA'AHYIHI ALAL EEMAAN WA MAN TAWAFFAI TAHU MINNA FATA WAFFAHU ALAL ISLAAM ALLAHUMMA LA TAHRIMNA AJRAHU WALA TUZILLANA BA'ADAH". Tarjuma: "Ae Allah! hamare zinada aur murde ko, chote aur bade ko, mard aur aurat ko, hazir aur gayeb ko bakhsh de. Ae Allah! hum me se jisko tu zinda rakhey use Emaan par zinda rakh aur hum me se jisko fout kare use islaam par fout kar. Ae Allah! hame us (Mayyat) k ajar se mehroom na rakh aur uske baad hame gumrah na kar!". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees No. 3201, ise Imam Ibne Habaan ne sahi kaha)

Dusri Dua:

Auoof Bin Malik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne janaze mai ye Dua padhi: "ALLAHUM MAGFIR LAHU WARHAMHU WA AAFIHI ANHU WAKRIM NUZULAHU WA WASSI MUD KHALAHU WAGSILHU BIL MAA'E WASSALJI WAL BARADI WA NAKKIHI MINAL KHATAAYAA KAMAA NAKKAITAS SAUBAL ABYAZA MINAD DANASI WABDILHU DAARAN KHAIRAN MIN DARIHI WA AHLAN KHAIRAM MIN AHLIHI WA ZAOJAM MIN ZAOJIHI WADKHILHUL JANNATA WA A'IZHU MIN AZAABIL QABRI WA AZAABIN NAAR". Tarjuma: "Ae Allah! ise maaf farma, is par reham farma, ise afiyat mai rakh, is se darguzar farma, is ki behtareen mehmani farma, is ki qabr faraakh farma, is ke (gunah) pani, aulo aur barf se dho daal, ise gunaho se us tarha saaf kar de jese tu safaid kapde ko maeil se saaf karta hai. ise is k (dunia wale) ghar se behtar ghar, (dunia k) loogo se behtar loog aur uski biwi se behtar biwi ata farma, ise bahisht mai dakhil farma, azaab e qabr aur azaab e jahannam se bacha". (Muslim Kitabul Jana'iz Hadees No. 963)

Teesri Dua:

"ALLAHUMA ABDUKA WABNU AMATIKA IHTAAJA ILA RAHMATIKA WA ANTA GANIYUN AN AZAABIHI IN KANA MUHSINAN FA ZID FI HASANAATIHI WA IN KANA MUSEEAN FATAJAAWAZ ANHU". Tarjuma: "Ae Allah! tera ye banda, teri bandi ka baita teri rehman ka mohtaaj hai, tu ise azaab na de to tujhe kya parwa. agar ye naik tha to uski nekiyo mai izaafa farma aur agar gunhegaar tha to use maaf farma". (Hakim 1/359, Imam Hafiz aur Zehbi ne ise sahi kaha)

Janaze K Masail:

1. Nabi Rehmat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "jab tum janaza dekho to khade ho jao aur jo shaks janaze k sath jaye us waqt tak na baitho jab tak janaza na rakha jaye". (Bukhari Kitabul Jana'iz Hadees No. 1310, Muslim Hadees No. 959)

2. jab Saad Bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu ka intakaal hua to Aisha Razi Allahu Anha ne farmaya k unka janaza Masjid mai laya jaye takai mai bhi Namaz e janaza mai shareek ho jao loogo ne taamil kiya to unhone farmaya k Allah ki kasam Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Suhail Razi Allahu Anhu aur unke bhai ki namaz e janaza masjid mai padhai. (Muslim Kitabul Jana'iz Hadees No. 973)

Siddeeq e Akbar Razi Allahu Anhu ki namaz e janaza bhi Masjid mai padhi gayi neez Farooq e Azam Razi Allahu Anhu ki namaz e janaza Suhaib Razi Allahu Anhu ne masjid mai Padhai (Behiqi Hadees No. 52/4)

3. Jis janaze k sath khilaaf sharaye kaam ho uske sath jana mana hai

Abdulllah Bin Umar Razi Allahu Anhu ne farmaya: "k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us janaze k sath jane se mana farmaya jiske sath noha aur matam karne wali aurte ho". (Ibne Maja Kitabul Jana'iz Hadees No. 1583)

4. Mugira Bin Shaba Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "sawaar janaze k piche rahe aur paidal chalne wale janaze k kareeb rehte hue agey, piche daye aur baye chal sakte hai". (Abu Dawood Kitabul Jana'iz Hadees No. 3180, Imam Tirmizi ne ise hasan kaha)

No comments:

Post a Comment