Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 29 June 2014

RAKATUT TARAWEEH - ULAMA E AHNAAF KI SHAHADAT

RAKATUT TARAWEEH - ULAMA E AHNAAF KI SHAHADAT



Bismillahirrahmanirraheem


1. Imam Muhammad Rahimahullah Imam Abu Haneefa Rahimahullah k shagirdo mein se ek aham shagird shumaar kiye jaate hai aur hanafi maslak ka zayada tar daromadaar bhi Imam Muhammad Rahimahullah ki tasaneef par hi hai aur unki kitabo se aaj hanfiyat zinda hai unki mash'hoor tasneef "Muatta Imam Muhammad" hai aur ahnaaf mein ise khususi imtiyaaz haasil hai, Imam Muhammad Rahimahullah apni isi kitaab mein ek baab yu qaym karte hai "Baab Qayaam Shahar E Ramazaan" (safa no. 138) baab k hashiye par molana abdul hayi lakhnavi hanfi Rahimahullah ne likha hai k qayam Shahar E Ramazaan se muraad Taraweeh hai.

Imam Muhammad Rahimahullah is baab k zail mein sab se pehle Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki wo riwayat laye hai jisme teen rooz tak Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki Taraweeh ba'jamaat ka zikr hai lekin chunkey us mein rakaat ki tadaad ka bayan nahi hai.
Isi liye is k baad hi Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki wo riwayat laye hai jisme rakaat ki tadaad ka bayan aur wo wahi riwayat hai jisko hamne 8 rakaat Taraweeh k saboot mein "Pehli Hadees" k unwaan se nakal kiya hai. (aur isi hadees ko imam bukhari hadees no. 2013 aur imam muslim hadees no. 738 mein laye hai)
Imam Muhammad Rahimahullah k is seeney se saaf maloom hota hai k unhone pehle Taraweeh ki jamaat ka masnoon hona saabit kiya hai, uske baad maa vitr uski 11 rakaato ka "Sunnat E Nabvi" hona sabit kiya hai.

2. Ibne Hamaam ne Fathul Qadeer par Sharah Hidaya mein fariqeen k dalail zikr kiye hai, 20 rakaat walli marfoo riwayat ko zaeef qaraar diya hai, is k baad Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ki mazkoora baala riwayat ki bina par ye tasleem kiya hai k Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat to maa vitr 11 hi rakaat hai han khulafa e rashideen ki sunnat 20 rakaat hai. (Fathul Qadeer Jild 1 Safa no. 334)

Tambiyaah: 20 rakaat k sunnat khulafa e rashideen hone ki tehqeeq ayenda ayegi yaha hamara maqsad sirf ye batana hai k ibne Hamaam wagaira ulama e hanfiya bhi 8 hi rakaat ko "Sunnat E Nabvi" hone k qayal hai 20 rakaat ko sunnat e nabvi wo bhi nahi maante.

3. Tathaavi ne bhi sharah Durre Mukhtaar mein yahi qaul nakal kiya hai aur 8 rakaat Taraweeh ko hi sunnat kaha hai.


4. Nafhaat Rasheedi mein hai: Yaani Taraweeh ki rakaato k baare mein ulama k ikhtilaaf hai k uski ginti tadaad mukhtaar hai is liye k is k mutalliq koi nas nahi hai baaz ne witr k alawa 20 rakaat ko pasand kiya hai aur baaz ne 36 ko yahi amr e qadeem hai isi par sadr e awwal k musalmano ka amal raha hai is k baare mein mera khayal ye hai k ye nafli namaz hai is liye iski koi khaas tadaad muqarrar nahi hai, lekin agar kisi ki iqtada karna zaruri hai to phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki iqtada karni chahiye kyunki Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sahih taur par saabit hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne maa vitr 11 rakaato se zayada nahi padha hai, albatta Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ye namaz lambi hoti thi, mein isi ko pasand karta hu is liye k is par amal karne se qayam e ramazaan (Taraweeh) aur itteba e nabvi dono ka haq ada ho jata hai neez Allah ta'ala ne hum ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam hi ki pairvi aur iqtada ka hukm diya hai jesa k irshaad hai: LAQAD KANA LAKUM FI RASULILLAHI USWATUN HASANA yani tumhare liye Rasool ki zindagi namoona (ideal) hai. (Mazkoor wa maskal khitaam mutarjim safa no. 288)


5. Allama Aeni Hanfi likhte hai agar koi kahe k (bukhari ki) in riwayato mein jinme Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Taraweeh padhaane ka zikr hai, rakaato ki tadaad nahi ki gayi hai to iske jawab me mein ye kahunga k sahih ibne khuzaima aur sahih ibne hibbaan ki riwayao mein uska bayan aa gaya hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (un raato mein) Sahaba Razi Allahu Anhum ko 8 rakaatey padhayi thi alawa witr. (Umdatul Qaari Jild 3 Safa no. 597)


6. Mulla Ali Qaari Hanfi imam ibne Taimiyah ka ye qaul bila kisi zarr inkaar k naqal karte hai: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Taraweeh ka koi khaas adad (qaulan) to muqarrar nahi farmaya lekin (amuman) 11 rakaat se zayada nahi padhte they. (Markaah safa no. 175)


7. Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehalvi kehte hai muhadiseen k nazdeek sahih ye hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne 11 rakaatey maa vitr padhi hai jesa k Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne bayan kiya aur manqool hai k Hazrat Umar bin Abdul Azeez k zamane mein baaz salaf ka isi par amal tha, sunnat e nabwi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki itteba k shonk mein. (Ma sabta bis sunnah safa no. 122)


8. Abul Hasan Shar'nablaali likhte hai: Taraweeh ki namaz ba'jamaat sunnat e kifaya hai kyunki ye saabit hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aelaan aur jamaat k saath 11 rakaatey ba witr loogo ko padhayi thi. (Marati falah sharah noorul aezaah)


9. Molana Abdul Hayi Lakhnavi likhte hai: Aap ne (yaani Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne) Taraweeh 2 tarha ada ki hai, ek 20 rakaat ba jamaat lekin us riwayat ki sanad zaeef hai uski tafseel mene apne risala Tohfatul Akhyaar fi ahya sunnatul abraar mein acchi tarah ki hai, doosri 8 rakaatey aur 3 witr ba'jamaat aur ye tareeqa Hazoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam se 3 raato k alawa kisi raat mein manqool nahi hai aur ummat par ye namaz farz ho jaane k khauf se Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne iska ehtamaam nahi kiya. (Majmua E Fatawa jild 1 safa no. 354)

Wazey rahe k molana abdul hayi lakhnavi ne 20 rakaat wali ko zaeef qaraar diya hai lekin 8 rakaat wali riwayat ko zaeef nahi kaha is se maloom hua k unke nazdeek bhi sahih hadees Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka 8 hi rakaat padhna saabit hai.

10. Molana Rasheed Ahmad Gangoohi likhte hai: Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k fail se mukhtalif adaad maloom hote hai, aza jumla ek dafa 11 rakaat ba'jamaat padhna hai, chunkey Jaabir Razi Allahu Anhu ne riwayat kiya hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ek shab mein 11 rakaat Taraweeh ba'jamaat padhi. (Alraai Najeeh safa no. 13)

apne maslak aur aqeedey k mutabiq riwayaat mein tatbeeq dete hue doosre muqaam par likhte hai
Aur agar yu kaha jaye k awwal dafa 8 Taraweeh thi aur 3 vitr aur doosri dafa 8 Taraweeh aur 3 vitr aur teesri dafa 20 Taraweeh aur 3 vitr, durust hai har sa fail ba'waqaatey mukhtalfa sahaba ko Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se maloom they lihaza ye sab sunnat hai aur koi ma'aariz ek doosre k nahi. (Alraai Najeeh safa no. 18)
Is iktabaas se hamara mansha sirf ye dekhna hai k molana gangoohi ko bhi 8 rakaat Taraweeh ka "Sunnat E Nabvi" hona tasleem hai, baaqi jo baate khilaaf e tehqeeq hai aur apne maslak ko saabit karne ki wajah se kahi gayi hai unka jawab ayinda mubahis mein ayega (In Shaa Allah)

11. Aenul Hidaya mein hai: Taraweeh sahih sahih hadees se maa vitr 11 hi rakaat saabit hai (Aenul Hidaya safa no. 563)


12. Darul Uloom Deoband K Sheikhul Hadees Molana Anwar Shah Kahmiri Sahab farmaate hai: Ulama e hanafiya khawah kitna hi haira pheri kare aur hazaar baatey banaye lekin sach to ye hai k is k tasleem kiye bagair hamare liye kahi panah nahi hai k Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki Taraweeh to 8 hi rakaat thi aur kisi riwayat mein qata'an ye baat saabit nahi k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Taraweeh aur tahajjud alag alag padhi ho, agey likhte hai sahih baat ye hi k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki namaz e Taraweeh sirf 8 rakaat hi thi aur 20 rakaat wali riwayat zaeef hai aur uske zaeef hone par sabka ittefaaq hai. (Al Arfush shazi safa no. 309 aur 329)


Tambiyaah: Is maukey par ye baat qabil e zikr hai k akabir hanfiyah ki in shahadato k bawajood na maloom kis tarah darul uloom deoband k mohtamim ko ye juraat hoti hai k wo har saal ramazaan shareef k mouqey par ye aelaan kar diya karte hai k baaz loog 8 rakaat Taraweeh ko sunnat kehte hai ye durust nahi, yahi fitna angaiz ishtihaar ishta'aal ka baa'as hota hai, kaash mohtamim darul uloom deoband apne akabir ki baato ka adab wa ehtaraam karte aur ye fasaad angaiz mashgala chood dete.

8 RAKAAT TARAWEEH KA SABOOT

8 RAKAAT TARAWEEH KA SABOOT



Bismillahirrahmanirraheem


Ab mauqa aa gaya hai k hum aapko bataye k Ahle Hadees Taraweeh ki 8 hi rakaato ko sunnat e Nabvi Sallallahu Alaihi Wa Sallam kyu samajhte hai?

Yahi se is behas ka aagaaz bhi ho jayega, Ahle Hadees apne maslak k saboot mein teen hadeese paish karte hai.

PEHLI HADEES


Abu Salma bin Abdur Rahmaan ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se pucha k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ramazaan mein raat ki namaz yaani (Taraweeh) kesi padhte they?, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam chahey ramazaan ka maheena ho ya gair ramazaan ka 11 rakaato se zayada nahi padhte they, Chaar rakaat padhte unki khoobi aur lambayi na pucho uske baad phir chaar rakaat padhte unki khoobi aur lambayi ka haal na pucho phir teen rakaat witr padhte (kul 11 rakaatey ho gayi). (Sahih Bukhari Kitabus Salatut Taraweeh Hadees no. 2013, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 738)


DOOSRI HADEES


Jaabir Razi Allahu Anhu ne bayan kiya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hum loogo ko ramazaan k maheene mein (Taraweeh ki namaz) 8 rakaat padhayi uske baad witr padhaye, doosre rooz jab raat hui to hum loog phir masjid mein jama ho gaye ummeed thi k Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam niklenge aur namaz padhayenge magar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam na nikle hum subah tak masjid mein reh gaye phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hum loog gaye aur ye baat bayan ki to farmaya k mujhe khatra hua k kahi ye namaz tum loogo par farz na ho jaye (isi liye mein ghar se bahar nahi nikla). (Sahih ibne Khuzaima Hadees no. 1070, Sahih Ibne Hibbaan Hadees no. 920, 2401, 2406, Tabraani fis Sageer Safa no. 108, Muhammad bin nasrul Maroozi fi qayamul laiyl Safa no. 90)


TEESRI HADEES


Hazrat Jaabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ubey bin Kaab Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein aye aur kaha Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam!, raak ko mene (apni samajh se) ek kaam kar diya ye ramazaan k maheene ka waqiya hai, Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha kya baat hai?, Hazrat Ubay bin Kaab Razi Allahu Anhu ne kaha k mere ghar ki aurato ne kaha k hum loogo ko Quran yaad nahi hai lihaza Taraweeh ki namaz aap ghar par hi padhey hum aap ke pichey padh lenge chunanchey mene unko 8 rakaat aur uske baad witr k saath namaz padha di, Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh reh gaye aur aesa maloom hua k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne usko pasand farmaya. (Musnad Abi Yaalaa Hadees no. 1801, Majmua uz zawaid jid 2 safa no. 74, ibne nasrul maroozi fi qayamul layil safa no. 90, Mukhtasar qayamul layil safa no. 217)


Pehli aur doosri dono hadeeso mein Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k amal ka bayan hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ramazaan mein Taraweeh ki 8 rakaatey padhi, is k baad witr ada farmaya.


Ye to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki "failey sunnat" hui.


Teesri Hadees mein Hazrat Ubai bin Kaab Razi Allahu Anhu ka ek waqiya mazkoor hai k unhone apne ghar ki aurato ko 8 rakaat Taraweeh padhayi aur phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne is waqiye ko bayan kiya, Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sun kar khamooshi ikhtiyaar ki, yaani is par koi aetraaz aur inkaar nahi farmaya, is se maloom hua k ye tareeqa Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko pasand tha


Ye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki "Taqreeri Sunnat" hui.


Is tarah "Failey Nabwi" aur "Taqreer e Nabwi" dono se 8 rakaat Taraweeh ka "Sunnat E Nabwi" hona saabit ho jata hai, Yahi Ahle Hadees ka maslak aur mamool bhi hai.


Is k muqabaley mein kisi bhi sahih, marfoo, gair mutakallim fi hadees se 20 rakkat ya 20 rakaat se zaayid rakaat ka saboot nahi hai, na Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qaul se na fail se na taqreer se, is liye Ahle Hadees isko "Sunnat" nahi samajhtey, lekin chunkey Taraweeh nafli namaz hai is liye Ahle Hadees ye bhi kehte hai k agar koi shaks 8 rakato ki babat "Sunnat E Nabwi" hone ka inkaar na kare aur qurbat wa sawaab ki zayadati ka shoonk rakhta ho to apni taaqat k mutabiq nafli taur par mazeed jitni rakaatey chahey padhey, jamaat se padhey ya infiraadan, sab suratey bila karahat jayez hai, Taraweeh ki rakaat ki ta'een aesi nahi hai jesi farz namazo ki rakaat ki hai k kami zayadati ki gunjaish hi na ho. iski tafseel in shaa Allah agey ayegi.

Friday 27 June 2014

TARAWEEH - MANA, SAWAAB AUR AAP (SAWS) KA AMAL

TARAWEEH - MANA, SAWAAB AUR AAP (SAWS) KA AMAL



Bismillahirrahamanirraheem


Taraweeh Ka Maana


Taraweeh tarweeha ki jama hai jiske mana aaraam karna, sustaana ata hai raat ko baad namaz e isha subah saadiq se pehle jo nafli namaz padhi jati hai usko ibtida e islaam mein qayam ul laiyl, tahajjud aur ramazaanul mubarak ki nisbat se qayaam e ramazaan bhi kaha jata tha. Kutub e Ahadees mein isi naam se is k baab mojood hai aur taraweeh Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne jamaat se khud sirf teen raatey hi padhayi, Baad mein Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne sarkaari taur par is ki jamaat ka ehtamaam farmaya. Taraweeh mein chunkey lambi qiraat ki wajah se taweel qayaam karna padta tha (Qaari ek rakaat mein 200 ayaatey ya 8 rakaat mein puri Surah Baqara padhta tha. Mishkaat Safa no. 115)

To is taveel qayaam ki wajah se Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum chaar rakaat k baad thodi dair k liye aaraam kar lete to yu is nafli ibadat ka naam qayaam e ramazaan se taraweeh pad gaya. (Sunan Behaqui Jild 2 Safa no. 497)

TARAWEEH PADHNE KA SAWAAB


Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ne bayan kiya k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se suna Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ramazaan k faza'il bayan farma rahe they k jisne emaan k saath aur sawaab ki niyat se ramazaan ka qayaam kiya Allah ta'ala uske pichle tamaam gunah maaf farma dete hai. (Bukhari Kitabus Salatut Taraweeh Hadees no. 2008, Muslim Kitubus Salatul Musafireen Hadees no. 759)


Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: qayamat k rooz insaan ko uske do naik amal jahannam mein jaane se bachayenge, pehla Rooza aur doosra Quran e Majeed, rooza kahega Ae Allah ye banda teri khatir din k waqt khane peene aur khawahishaat e nafsaani se ruka raha aur quran majeed kahege, Ae Allah ye banda roozey k sabab kamzoor hone k bawajood raat ko Taraweeh mein mujhe padhta aur sunta raha chunanchey Allah ta'ala use rooza aur quran majeed ki sifarish par jahannam se aazaad farma denge. (Mishkaat Safa no. 173)


Hazrat Abu Zarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jo shaks Taraweeh ba jamaat ada karega to Allah ta'ala usey tamaam raat ibadat k barabar sawaab ata farmayenge. (Ibne Maja Baab Qayam Shahar E Ramazaan)


Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne teen raat qayaam e ramazaan kiya


Abu Zarr Razi Allahu Anhu kehte hai k humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath (Ramazaanul mubarak k) roozey rakkhey, (shuru mein) aapne hamare saath maheene mein se kuch bhi qayaam na kiya yaha tak k 23ve raat ko Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne tihaayi raat tak qayaam e ramazaan kiya, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne 24vi raat chood kar 25vi raat ko aadhi raat tak qayaam kiya pas mene arz ki k kitna accha ho k agar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam hame baaqi raat bhi nafil padhate rahe Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks imam k sath qayam (ramazaan) karta hai uske liye poori raat ka qayam likha jata hai, phir aap 26vi raat ko chood kar 27vi shab ko apne ahle khana aur apni aurato ko aur sab loogo ko jama kar k qayam kiya yaha tak k hame falah khatam hone ka darr hua, Abu Zarr Razi Allahu Anhu se pucha gaya k falah kya hai? to aapne jawab diya sehri". (Abu Dawood Kitab Abwaab shahar ramazaan hadees no. 1375, Tirmizi Kitabus Saum Hadees no. 706, Nasayi 3: 83, 1364 ise imam hibbaan 919 aur Imam Ibne Khuzaima 2206 ne sahih kaha)


Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne (3 raat k qayaam k baad) farmaya: "Mene dekha k tumhara mamool barabar qayam hai, to mujhe khatra lahaqq hua k kahi tum par (ye namaz) farz na kardi jaye (is liye mein ghar se nahi nikla) pas tum apne apne gharo mein (ramazaan ki raato ka) qayaam karo, aadmi ki nafil namaz ghar mein afzal hoti hai". (Bukhari Kitabul Azaan, Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 781)


Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam (ne teen shab qayaam e ramazaan kara k) loogo se farmaya: "Tum apne gharo mein ramazaan ki raato ka qayam karo" gharo wagairah mein fardan fardan padhne k mutalliq Imam Zahbi Rahimahullah farmate hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wafaat k baad bhi yahi tareeqa jaari raha, Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ki khilafat aur Umar Farooq Razi Allahu Anhu k ibtida e daur mein bhi isi par amal hota raha


Sayyedna Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne ba'jamaat qayaam e ramazaan (doobara) shuru karaya magar ye bhi farmaya k: raat ka akhiri hissa (Jis mein loog soo jaate hai) raat k ibtidayi hissey se (jis mein loog qayaam karte hai) behtar hai. (Bukhari Kitabus Salatut Taraweeh Hadees no. 2009, 2010, Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 759)


Isi tareeqey par Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum aur unke baad saari ummat ka amal raha hai aur jis cheez ko Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ki majmuyi taeed hasil ho jaye wo bida'at nahi hua karti, neez ijma e ummat ki wajah se bhi ye bida'at nahi hai wese bhi Umar Farooq Razi Allahu Anhu khulafa e Rashideen Razi Allahu Anhum mein se hai jin ki sunnat ikhtiyaar karne ka hukm khud Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya. (Abu Dawood Kitabus Sunnah Hadees no. 4607, Tirmizi Kitabul Ilm Hadees no. 2686)


Lihaza jab kisi Khulafa e Rashideen ki sunnat ko degar Sahaba Kiraam Razi Allahu Anhum qubool karle to wo baaqi ummat k liye hujjat ban jaati hai is lihaaz se bhi poore ramazaan mein qayamul laiyl ka ba'jamaat ehtamaam bida'at nahi hai, dar-asal Umar Farooq Razi Allahu Anhu ne ise khud bida'at kaha hai to is se muraad bida'at ka lugvi mana hai, lekin afsoos k baaz loog apni bida'at ko jayez saabit karne k liye Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum ko bhi bida'ati saabit karne par tuley hue hai. NAUZUBILLAH MIN ZAALIKAL KHURAFAAT.


Allahu hum sab ko hidayat de. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

Wednesday 25 June 2014

RAMAZAAN AUR ROOZO SE MUTALLIQ ZAEEF AHADEES PART 4 FINAL

RAMAZAAN AUR ROOZO SE MUTALLIQ ZAEEF AHADEES PART 4 FINAL



Bismillahirrahmanirraheem

59. Jisne rajab ki ek raat ka qayaam aur din ka rooza rakkha Allah use jannat k phaloo mein se phal khilayega. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 101)

60. Jab ramazaan aata to Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam tamaam qaidiyo ko chood dete, aur har saayil ko kuch na kuch zaroor dete. (Alal Mutnahiyah fi ahadeesul wa’hiyaah 2: 39)

61. Jisne shuru se lekar aakhir ramazaan tak bajamaat namaz padhi, ude lailatul qadr se hissa milga. (Ahadeesul Wa’hiyaah 2: 40)

62. Jab Ramazaan ki pehli raat hoti hai to aasmaan par ek munadi ye aawaaz lagata hai: "koi tauba karne wala hai k uski tauba qubool ki jaye? koi dua karne wala hai k uski dua qubool ki jaye? koi mazloom hai k uski madad ki jaye? koi magfirat talab karne wala hai k uski magfirat ki jaye? koi sawal karne karne wala hai k uska mutalaba poora kiya jaye?, har raat poora maheena khud Allah ta'ala ye aawaaz lagata hai: Ae mere bando aur bandiyo! khushkhabri pao, sabr karo aur us par qayam raho, qareeb hai k mein tum se sakhti khatam karke tum par apna raham karu". (Ahadeesul Wahaiyaah 3: 41)

63. Jab Eid k din loog eid gaah mein jama hote hai to Allah farishto se puchta hai: Ae mere farishto! jab koi mazdoor ijrat karke faariq ho jaye to uski jaza kya hai? farishte kehte hai: Ae Allah hamare rabb! uski jaza ye hai k unhey unki poori poori mazdoori di jaye, Allah kehta hai ye mere bade aur mere bando ki aulaad hai, mene inhe roozo ka hukm farmaya inhoney meri ita'at ki aur fareeza poora kiya, phir ek munadi aawaaz lagata hai: Ae ummat e Muhammadiya Sallallahu Alaihi Wa Sallam! rashd o hidayat k saath waapas laut jao mene tumhe baksh diya hai. (Al alal 2: 43)

64. Jannat saare saal maah e ramazaan k liye sajti rehti hai aur hoorey kehti hai: Ae Allah! apney bando mein se hamare shohar bana, jin se hum apni aur humse wo apni aankhey thandi kare. (Al wahaiyaah 2: 46)

65. Ramazaan mein gunah karne se bacho ramazaan mein naikiya bhi kayi guna ki jaati hai aur isi tarah gunah bhi kayi guna kar diye jaate hai. (Al Wahaiyaah 2: 48)

66. Jisne khamooshi k saath ramazaan ka rooza rakkha aur apne kaan, aankhey aur tamaam aaza e jism ko haraam aur jhoot se bachaya wo qayamat k din Allah k itna qareeb hoga k unka ghutna Hazrat Ibraheem Alaihis Salaam k ghutney se chooyega (yani touch hoye ga). (Al Wahaiyaah 2: 50)

67. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jaafar bin abu taalib Razi Allahu Anhu ko kisi ko seenghi lagate dekh kar farmaya: un doono ka rooza toot gaya, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uski ijazat farmayi. (Al Wahaiyaah 2: 51)

68. Seenghi lagane aur lagwaane wale doono ka rooza toot gaya. (Al Wahaiyaah 2: 52)

69. Jinse (roozey ki halat mein apni beewi ka) boosa kiya, jabke wo bhi roozey se hai to dono ka rooza toot gaya. (Al Wahaiyaah 2: 53)

70. Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha ne nafli rooza tood diya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unhey uski qaza karne ka hukm farmaya. (Al Wahaiyaah 2: 54)

71. Roozey daar k liye tohfa tail aur angeethi hai. (Al Wahaiyaah 2: 55)

72. Jisne rooza rakkha uske liye aasmaan k darwaazey khool diye jaate hai, uske aaza Allah ki tasbeeh bayan karte hai tamaam ahle aasmaan uske liye magfirat ki duaye karte hai aur hoorey kehti hai: Ae Allah! ise jald hamare paas le aa, hum ise dekhne k mushtaaq hai. (Al Wahaiyaah 2: 56)

73. Jisne Eid ul Fitr k din rooza rakkha usne gooya umar bhar rooza rakkha. (Al Wahaiyaah 2: 57)

74. Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne kabhi juma ka rooza nahi chooda. (Al Wahaiyaah 2: 59)

75. Jisne kisi hurmat waale maheene ki juma-raat, juma aur hafta k rooz roozey rakkhey Allah uske liye 9 saal ki ibadat likh deta hai. (Al Wahaiyaah 2: 164)

76. Jannat mein rajab naam ki ek nahar hai, jis ne maah e rajab ka ek din ka rooza rakkha, Allah use us nahar ka paani pilayega. (Al Wahaiyaah 2: 65)

Humne yaha baaz riwayato k sirf maroof hissey zikr kiye hai, jabke wo ahadees labmi hai, albatta jo hawala-jaat darj kar diye hai, taakey bahas wa tehqeeq aur murajaat karne walo k liye aasaani rahe, Zaeef riwayaat ko daleel bana kar bayan karna to ahle ilm k nazdeek jayez nahi, albatta unke zaeef wa kamzoori ko wazey karne k liye unka bayan jayez hai aur is saani zikr maqsad k tahat hum ne darj baala riwayaat zikr kar di hai, taakey unhe ma'ariz istadlaal mein laaney se guraiz kiya jaye.

RAMAZAAN AUR ROOZO SE MUTALLIQ ZAEEF AHADEES PART 3

RAMAZAAN AUR ROOZO SE MUTALLIQ ZAEEF AHADEES PART 3



Bismillahirrahmanirraheem

38. Jisne ramazaan ko paya aur us par saabaqa ramazaan k kuch roozo ki qaza baaqi hai, uska koi amal qubool nahi kiya jayega jab tak k wo saabaqa roozey qaza na kar le (yani jo uske roozey chootey they wo unko poora na karle). (Zaeef Jamey 5: 157, Silsila Ahdees E Zaeefaah 840)

39. Shawwaal k roozey rakkho. (Zaeef Jamey 3: 269, Zaeef Targeeb)

40. Safar mein ramazaan ka rooza rakhne wala aesa hi hai jesa k usne rooza nahi rakkha hua. (Zaeef Jamey 3: 262, Silsila Ahadees E Zaeefaah 498, Zaeef Targeeb)

41. Hazrat Nooh Alaihis salaam ne ayyaam e eid ul fitr wa eid ul azha k siwa hamesha rooza rakkha hai. (Zaeef Jamey 3: 264, Silsila Ahadees E Zaeefaah 459)

42. Hazrat Nooh Alaihis salaam ne eid ul firt aur eid ul azha ko chood kar hamesha rooza rakkha, hazrat Dawood alaihs Salaam ne aadhi umar rooza rakkha, Hazrat Ibrahem Alaihis Salaam har maah k teen roozey rakhtey they. (Zaeef Jamey 3: 264, Silsila Ahadees E Zaeefaah 459)

43. Rooza aanto ko tang, mootapa ko kam aur bandey ko jahannam se door karta hai, aur Allah ta'ala ka ek dastarkhuwaan hai jiski neemato ko na kisi aankh ne dekha hai, na kisi kaan ne suna hai aur na kisi bashar k dil par unka guzar hua hai, aur us par sirf roozadaar hi baithengey. (Zaeef Jamey 3: 285)

44. Rooza jahannam se hifazat karne wali dhaal hai. (Zaeef Jamaey 3: 289, Zaeef Targeeb)

45. Roozey mein koi riyakaari nahi hai, isi liye Allah ta'ala ne farmaya: "Rooza mere liye hai aur iski jaza bhi mein hi dunga" kyunki banda meri khatir khana peena choodta hai. (Zaeefaa Jamey 3: 290)

46. Rooza aadha sabar hai. (Zaeef Jamey 3: 290)

47. (Shabaan k aakhiri din, khutba irshaad farmate hue) ek maheena jisme ek nafli naiki farz k barabar aur ek farz 70 farz k barabar hai, uska pehla tihaayi hissa rahmat, doosra istagfaar aur teesra jahannam se nijaat ka hai. (Munkir)

48. Ramzaaan ko is liye Ramaazan kaha jata hai k is mein gunah jala diye jaate hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 91)

49. Ek din ka nafli rooza rakne wale ko agar zameen bhar k barabar bhi soona de diya jaye tab bhi uska haq poora nahi hota. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 92)

50. Jisne kisi gair mahram aurat ko itna gaur se dekha k us par uske jism k kapdo k andar se uske aaza ka hajam wazey ho gaya (yani uske dil mein ehsaal paida ho gaya), uska rooza toot gaya. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 94)

51. Jisne zill hijjah k pehle 10 dino k roozey rakkhey, use har din k badle ek maah k roozo ka sawaab milega aur yaum e tarviyah (8 zill hijjah) k badle ek saal k roozo ka aur yam e arfa (9 zill hijjah) k badle 2 saal k roozo ka sawaab milega. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 96)

52. Jisne Muharram aur zill hijjah k aakhiri din ka rooza rakkha, usne saal ka awwal wa aakhir rooza se kiya, Allah use uske 50 saalo ka kaffara bana deta hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 96)

53. Jisne muharram se pehle 9 din roozey rakkhey Allah uske liye ek marbee meel ka ghar hawa mein bana deta hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 96)

54. Jisne Yaum E Aashura (10 muharram)  ka rooza rakkha Allah use 10 hazaar farishto ka sawaab ata karta hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 96)

55. Allah ne Bani Israeel par saal mein sirf ek din aashura (10 muharaam) ka rooza farz kiya tha, tum bhi ye rooza rakkho, aur is din apne ghar waalo par khane peene mein wus'at karo, isi din Allah ne hazrat Aadam Alaihis Salaam ki tauba qubool ki thi. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 96)

56. Jisne rajab k 3 roozey rakkhey, use ek maah k roozo ka sawaab milega, jisne 7 roozey rakkhey, us par Allah jahannam k saato darwaazey band kar dega, aur jo 8 roozey rakkhey uske liye Allah jannam k aatho darwaazey khool deta hai, aur jo 15 roozey rakkhey Allah uska hisaab aasaan kar deta hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 100)

57. Rajab bada azmat wala maheena hai, jisne iska ek rooza rakkha use har saal k roozo ka sawaab milta rahega. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 101)

58. Jisne rajab ka ek din ka rooza rakkha, use ek maah (ek riwayat mein ek saal) k roozo ka sawaab milega. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 101)

To Be Continued……

RAMAZAAN AUR ROOZO SE MUTALLIQ ZAEEF AHADEES PART 2

RAMAZAAN AUR ROOZO SE MUTALLIQ ZAEEF AHADEES PART 2



Bismillahirrahmanirraheem

18. Rooza dhaal hai, jab tak k jhoot ya geebat se wo use tood na le. (Zaeef Jamey 1: 35, 3: 219, Silsila Ahadees E Zaeefaah: 2642)

19. Agar koi juma ka din (gunah se) salamat raha to wo poora hafta salamat rahega, aur jab poora ramazaan salamat raha to sara saal hi salamat rahega. (Al Mauzuaat 2: 194, Al Ahadees E Mauzuaah safa no. 93)

20. Jannat saal bhar maah e ramazaan k liye sajti rehti hai. (Al alal Mutanahiyaah 2: 46)

21. Ramazaanul mubarak ki pehli raat Allah roozey daar bando par nazar daalta hai jab Allah kisi bandey par nazar daal de to phir use azaab nahi karta. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 88)

22. Teen aadmiyo se khane peene ki neemato k baare mein sawaal nahi hoga: Rooza iftaar karne wala , sehri khane wala aur maizabaan, aur teen aadmiyo se unki bad akhlaaqi par sawaal nahi hoga: Bimaar, roozadaar aur haakim aadil. (Al Ahadees E Mauzuaah safa no. 90)

23. Jisne rizk e halaal se kisi ka rooza iftaar karaya, uske liye farishte rahamat ki duaye karte hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 92)

24. Allah ta'ala ne kiraaman katibeen ko hukm de rakkha hai k mere roozadaar bando k asar k baad k gunah na likhey jaye. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 92)

25. Jisne maal e halaal ki khajoor se rooza iftaar kiya, uski namazo mein 400 namazo ka izafa kar diya jata hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 93)

26. Jisne ramazaan ka 1 rooza bila uzr tark kiya, uske badle mein 30 roozey rakkhey, aur jo 2 roozey chood de, wo 60 roozey rakkhey, aur jisne 3 roozey tark kiye wo 90 roozey rakkhey. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 94)

27. Ayyaam e baiz (chaand ki 13,14,15 tareekh) k roozey rakkho, pehle din k roozey ka sawaab 3 hazaar saal k roozo k barabar hai, doosre din k roozey ka 10 hazaar saal k aur teesre din k roozey ka sawaab 20 hazaar saal k roozo k barabar hai, ek riwayat mein 10 hazaar, 1 laakh aur 30 laakh k barabar hai. (Ahadees E Mauzuaah safa no. 95)

28. Rajab Allah ka maheena hai, Shabaan mera maheena hai, ramazaan meri ummat ka maheena hai aur jinse rajab k roozey rakkhey uske liye 2 guna ajr hai aur ek guna ka wazan ek pahaad k barabar hai. (Zaeef Jamey 3: 80. Al Mauzuaah safa no. 100)

29. Mera sab se piyaara banda wo hai jo sab se jaldi rooza iftaar karta hai. (Zaeef Jamey 4: 108, Mishkaat: 1989)

30. Teen aadmiyo ki dua Allah radd nahi karta, roozadaar, jab tak k iftaar na kar le, mazloom jab tak k wo galba na paley aur musafir jab tak k wo waapas na laut aye. (Zaeef Jamey 3: 49)

31. Jisne teen kaam kiye wo rooza rakhne ki taaqat paa leta hai, kuch peene se pehle khaale, sehri khaye, qailulah kare. (Zaeef Jamey 3: 55)

32. Teen cheeze rooza nahi toodti: Qasad, Qey, Ehtalaam. (Zaeef Jamey 3: 61)

33. Teen aadmi agar maal e halaal se khaye peeye to unka is silsiley mein koi hisaab kitaab nahi liya jayega: Rooza iftaar karne wala, sehri khane wala, Allah ki raah mein pehra dene wala. (Zaeef Jamey 3: 65, Silsila Ahadees E Zaeefaah 631)

34. Jisne ramazaan ka ek rooza chood diya aur uski qaza karne se pehle faut ho gaya, us par har din k badle ek miskeen k liye ek mudda galla dena zaruri hai. (Zaeef Jamey 5: 173)

35. Ramazaan k roozey rakkho aur uske baad wale maheeney k aur har budh (wednesday) wa juma-raat (thursday) k, tab tum hamesha k roozadaar shumaar hogne. (Zaeef Jamey 3: 269, Mishkaat 2061, Zaeef Targeeb)

36. Hazrat Dawood Alaihis Salaam wala rooza rakkho, ek din rooza ek din chutti ye Allah k nazdeek sab se zayada pasandeeda roozey hai, aur wo waada karke waada khilaafi nahi kiya karte they, aur jab kisi se milte hai to raah e firaad ikhtiyaar nahi kiya karte they. (Zaeef Jamey 3: 270)

37. Maah e sabr "Ramazaan" k roozey rakkho aur har maah k teen roozey rakkho aur hurmat wale maheeno (muharram, rajab, zill qaada, zill hijjah) ka ek din rooza aur ek din chutti karo. (Zaeef Jamey 3: 270, Zaeef Targeeb)

To Be Continued……

RAMAZAAN AUR ROOZO SE MUTALLIQ ZAEEF AHADEES PART 1

RAMAZAAN AUR ROOZO SE MUTALLIQ ZAEEF AHADEES PART 1



Bismillahirrahmanirraheem

Ramazaanul Mubarak mein baaz ahadees wa riwayaat ka aksar zikr hota hai, halankey wo zaeef wa kamzoor aur na-kabil e hujjat wa istadlaal hai, jin mein se (76) riwayaat darj e zail hai:

1. Roozadaar ka soona ibadat, khamooshi tasbeeh, dua e maqbool aur ajr e amal kayi gunaa hai. (Zaeef Jamey Sageer 3: 270, Silsila Ahadees E Zaeefaah 3784)

2. Rooza rakkho sehat mand raho. (Zaeef Jamey 3: 273, Zaeefaah 253, Zaeefaah Targeeb 573)

3. Jisne bimaari ya uzr k bagair ramazaan ka ek bhi rooza chooda wo agar saari umar bhi roozey rakhta rahey uski kami poori nahi kar sakta. (Zaeef Jaymey 5: 174, Zaeef Targeeb wa Tarheeb 205)

4. Jise makka mein hote hue ramazaan aa gaya aur uss maah ka jitna hissa mumkin hua wo makka mein muqeem raha, Allah uske liye ek laakh ramazaan ka sawaab aur har din k badley ek gulaam aazaad karne ka sawaab aur har raat k badley mein ek gulaam aazaad karne ka sawaab likh deta hai. (Zaeef Jamey 5: 156)

5. Agar ibadat guzaaro ko pata chal jaye k ramazaanul mubarak mein kya (faza'il wa barkaat) hai to wo tamanna kare k kaash saara saal hi ramazaan ho. (Zaeef balke Mouzu ul hadees Al Mauzuaah safa no. 88)

6. Sirf "Ramazaan" na kaho kyunki "Ramazaan" to Allah k naamo mein se ek naam hai, tum "Maah E Ramazaan" kaha karo. (Ahadees E Mauzuaah Shokaani safa no. 87)

7. Har cheez ki zakaat hai aur jism ki zakaat rooza hai. (Ahadees e Mauzuaah Shokaani, Ahadees E Wahaiyaah 2: 49, Zaeef Jamey 3: 290)

8. Jab ramazaan ki pehli raat hoti hai to Allah ta'ala jannat k darbaan farishte "Rizwan" ko hukm deta hai k jannat k darwaaze khool do aur jahannam k darbaan farishte "Maalik" ko hukm deta hai k jahannam k darwaaze band kar de. (Al Mauzuaah Safa no. 87)

9. Allah ta'ala ramazaan ki pehli tareekh ko (istashna) tamaam musalmano ki bakhsish farma deta hai. (Al Mauzuaat La bin Jauzi 2: 190, Al alal mutanahiyaah la bin jauzi 2: 4)

10. Roozadaar k jism ka ruwa ruwa Allah ki tasbeeh bayan karta hai, Qayamat k din roozadaar mardo aur aurato k liye arsh e ilahi k nichey dastar-khuwaan lagaya jayega. (Al Ahadees E Mauzuaah safa no. 90)

11. Jo shaks ramazaan ka ek rooza chood de, wo kaffara mein ek aunth (camel) ki qurbaani kare aur agar us se ye mumkin na ho to phir 30 roozey daaro ko khajooro (30 saa'a yaani 75 kilo gram khajoor) ka khana khilaye. (Manghadat, Zaeef Jamey 5: 173, Silsila Ahadees E Zaeefaah 263)

12. Ramazaanul mubarak mein Allah ta'ala roozana 10 laakh (ek riwayat k mutabik 6 laakh) aese loogo ko jahannam se aazaad karta hai, jin k liye jahannam wajib ho chuki thi. (Baatil wala Asal Mauzuaat 2: 191)

13. Jisne maal e halaal se khajoor khareed kar uss se rooza iftaar kiya uski namaz ka sawaab 400 guna kar diya jata hai. (Al Ahadees E Mauzuaah safa no. 93)

14. Agar Allah ta'ala ahle aasmaan aur ahle zameen ko boolne ki ijazat de, to wo sab ramazaan ka rooza rakhne walo ko jannat ki basharat de. (Al Mauzuaat La bin Jauzi 2: 192, Ahadees E Mauzuaah safa no. 90)

15. Allah ta'ala ibadat guzaar nojawano par farishto mein fakr karta hai aur kehta hai: mere bande ki taraf dekho jisne meri khatir halaal taskeen e shahoot choodhi hui hai (aur apni jawani meri khatir sarf kar di hai) wo mere nazdeek mere baaz farishto jesa hai. (Zaeef Jamey 2: 190, Al Zaafaah ibne adi)

16. Paanch (5) cheezey rooza aur wuzu tood deti hai: jhoot, geebat, chugli, jhooti qasam aur shahwat k saath kisi ko dekhna. (Zaeef Jamey 2: 124, Silsila Ahadees E Zaeefaah 1708)

17. Roozadaar ibadat mein shumaar hota hai, jab tak k wo kisi musalman ki geebat na kare aur use azeeyat na pahunchaye. (Al alal Daare Qutni 3: 230)

To Be Continued……

Tuesday 24 June 2014

MAMNOOH AUR MAKROOH ROOZEY

MAMNOOH AUR MAKROOH ROOZEY



Bismillahirrahmanirraheem

EID UL FITR AUR EID UL AZHA K ROOZEY RAKHNA MANA HAI

Hazrat Abu Ubaid Razi Allahu Anhu kehte hai mene Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu k saath namaz e eid ada ki, Hazrat Umar Razi Allahu ne kaha: "in 2 dino k roozey rakhne se Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mana farmaya hai pehla din jab tum apne roozey khatam karo, doosra din jab tum qurbaani ka goosht khaate ho". (Sahih Bukhari Kitabus Saum)

SIRF JUMA KE DIN KA ROOZA RAKHNA MAKROOH HAI
AGAR KOI SHAKS APNE MAMOOL K MUTABIQ JUMA KA ROOZA RAKKHEY TO JAYEZ HAI MASALAN AGAR KOI SHAKS HAR DOOSRE YA TEESRE DIN ROOZEY RAKHNE KA AADI HAI AUR KISI DIN JUMA KA ROOZ A JAYE TO WO JAYEZ HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Juma ki raat (juma aur juma-raat ki darmiyani raat) ko qayam ul lail k liye muqarrar na karo aur na juma ka din roozey k liye makhsoos karo, han agar koi shaks roozey rakhne ka aadi ho aur us mein juma aa jaye to phir jayez hai". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 626)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "koi aadmi sirf juma ka rooza na rakkhey agar rakhna chahta hai to ek din pehle ya pichla saath mila kar rakkhey (yani juma-raat aur juma ka ya juma aur hafta ka)". (Sahih Bukhari Kitabus Saum)

SAUM E VISAAL (YAANI SHAAM K WAQT ROOZA IFTAAR NA KARNA AUR KUCH KHAYE PIYE BAGAIR AGLA ROOZA SHURU KAR DENA) MAKROOH HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne saum e visaal se mana farmaya to ek aadmi ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap to saum e visaal rakhte hai?", Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tum mein mujh jesa kaun hai mein raat ko soota hu, to mujhe mera rabb khilaata bhi hai pilaata bhi hai". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 671)

RAMAZAAN SHURU HONE SE PEHLE ISTAQBAAL K TAUR PAR ROOZEY RAKHNA MANA HAI
AGAR KOI SHAKS APNE GUZISHTA MAMOOL K MUTABIQ ROOZEY RAKHTA CHALA AA RAHA HAI AUR WO DIN ITTEFAAQAN RAMAZAAN SE 1 YA 2 ROOZ PEHLE AA GAYA TO KOI HARJ NAHI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ramazaan se 1 ya 2 din pehle koi aadmi rooza na rakkhey, albatta wo shaks jo apne mamool k mutabiq roozey rakhta aa raha hai wo rakh sakta hai". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 657)

MUSALSAL ROOZEY RAKHNA MANA HAI

Hazrat Abdullah bin Umar bin Aas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujh se farmaya: "Ae Abdullah! mujhe khabar mili hai k tum (hamesha) din ko rooza rakhte ho aur raat ko qayaam karte ho? Mene arz kiya "Han ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein aesa hi karta hu" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aesa mat karo, rooza rakkho bhi tark bhi karo, raat ko qayaam bhi karo aur aaraam bhi karo, tumhare jism ka tum par haq hai, tumhari aankh ka tum par haq hai tumhari beewi ka tum par haq hai, tumhare mehmaan ka tum par haq hai jisne musalsal roozey rakkhey uska koi rooza nahi". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Mishkaatul Masabeeh Hadees no. 2057)

AYYAAM E TASHREEQ (YAANI 11/12/13 ZILL HIJJAH) K ROOZEY RAKHNA MANA HAI ALBATTA JO HAAJI QURBAANI NA DE SAKE, WO MINA MEIN AYYAAM E TASHREEH K ROOZEY RAKH SAKTA HAI

Hazrat Ayesha aur ibne Umar Razi Allahu Anhum se riwayat hai k ayyaam e tashreeh mein kisi aadmi ko rooza rakhne ki ijazat nahi di gayi siwa e us haaji k jo qurbaani dene ki taaqat na rakhta ho. (Bukhari Kitabus Saum)

HAAJI KO ARFAAT MEIN 9 ZILL HIJJAH (YAUM E ARFA) KA ROOZA RAKHNA MANA HAI

Hazrat Maimoona Razi Allahu Anha se riwayat hai k loogo ne arfa k din Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k rooza mein shak kiya, to unhone (yani Hazrat Maimoona Razi Allahu Anha) ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas doodh bheja, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uss piyaale se doodh piya, us waqt Aap (Maidaan e Arfaat k) moqaf mein khade they aur loog Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekh rahe they. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 687)

NISF SHABAAN K BAAD ROOZEY NAHI RAKHNE CHAHIYE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab nisf shabaan baaqi reh jaye (yaani ramazaan se 15 din pehle) to nafli roozey na rakkho". (Tirmizi, Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 590)

AURAT KA APNE SHOHAR KI IJAZAT K BAGAIR NAFLI ROOZA RAKHNA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Koi aurat apne shohar ki mojoodgi mein uski ijazat k bagair siwaye ramazaan k roozo k nafli roozey na rakkhey". (Tirmizi Kitab Abwaabus Saum)

SIRF AASHURA (10 MUHARRAM) KA ROOZA RAKNA MAKROOH HAI 9 AUR 10 MUHARRAM YA 10 AUR 11 MUHARRAM DONO K ROOZEY RAKHNE CHAHIYE

Hazrat Abdullah bin Abbaas Razi Allahu Anhu farmaate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aashura (10 Muharram) ka rooza rakkha aur loogo ko bhi rakhne ka hukm diya, loogo ne arz kiya "ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! 10 muharram to yahood o nasaara k nazdeek badi azmat ka din hai", Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Accha ayinda saal hum in Shaa Allah! (10 MUharram k saath) 9 Muharram ka rooza bhi rakkhenge", lekin ayinda saal aane se pehle hi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam is duniya se rukhsat ho gaye. (Sahih Muslim Kitabus Siyaam)

Wazahat: Yaum e aashura (10 muharram) ki fazilat ki wajah ye hai k jab Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam madeena tashreef laye to yahoodi 10 muharram ka rooza rakhte they, in se wajah puchi gayi to unhone kaha: "is rooz Allah ta'ala ne Musa Alaihis Salaam ko firoun par galba ata farmaya tha, lihaza hum shukraane k taur par is din ka rooza rakhte hai", Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat maloom hui to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "yahoodiyo ki nisbat hum Musa Alaihis Salaam k zayada qareeb hai aur musalmano ko is din ka rooza rakhne ka hukm diya gaya, magar jab ramazaan k roozey farz kiye gaye tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ab jo chaahe 10 muharram ka rooza rakkhey jo chaahe na rakkhey". (Sahih Muslim) 

SIRF HAFTA (SATURDAY) K DIN ROOZA RAKHNA MAKROOH HAI

Hazrat Abdullah bin Busar Razi Allahu Anhu apni behan Samma Razi Allahu Anha se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Hafte (Saturday) ka rooza siwaye farz roozey k na rakkho agar khane ko aur koi cheez na mile to angoor ki lakdi ya kisi darakht ki chaal hi chaba lo". (Sahih Iben Khuzaimah Hadees no. 2164)

Wazahat: Hafta (Saturday) jo k Ahle kitaab ki eid ka din tha, lihaza Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unki mukhalifat k liye hafta (Saturday) k saath juma ya itwaar ka din mila kar rooza rakhne ka hukm diya hai.

Monday 23 June 2014

NAFLI ROOZEY

NAFLI ROOZEY



Bismillahirrahmanirraheem

NAFLI ROOZEY KI FAZILAT

Hazrat Abu Saeed Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna: "Jis ne Allah ki raah mai ek din rooza rakkha Allah ta'ala use 70 saal ki musafat k barabar jahannam ki aag se door kar dengey". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Mishkaatul Masabeeh Hadees no. 2004)

HAR SAAL K SHAWWAAL K 6 ROOZEY RAKHNE KA SAWAAB UMAR BHAR K ROOZEY RAKHNE K BARABAR HAI

Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks ramazaan k roozey rakh kar (har saal) shawwaal mai bhi 6 roozey rakkhey use umar bhar k roozey rakhne ka sawaab milta hai". (Sahih Muslim, Abu Dawood, Nasayi, Tirmizi, Ibne Maja, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2125)

BA QAAIDAGI SE AYYAAM E BAIZ (CHAAND KI 13/14/15 TAREEKH) K ROOZEY RAKHNE SE UMAR BHAR K ROOZO KA SAWAAB MILTA HAI

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ek ramazaan se doosre ramazaan k darmiyaani arsa mai har maah 3 din (ayyaam e baiz yaani chaand ki 13/14/14 tareekh) k roozey rakhna umar bhar k roozey rakhne k barabar hai". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 620)

SAFAR MEIN NAFLI ROOZA RAKHNA JAYEZ HAI

Hazrat Hamzah bin Umar Aslami Razi Allahu Anhu se riwayat hai k unhone Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha: "Kya mein safar mein rooza rakkhu?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Agar chaho to rakkho chaho to na rakakho". (Nasaayi, Sahih Sunan Nasaayi Hadees no. 2180)

PEER (MONDAY) AUR JUMA RAAT (THURSDAY) KA ROOZA RAKHNA RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALIHI WA SALLAM KO PASAND THA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Peer (monday) aur juma raat (Thursday) ko loogo k aamaal Allah k huzoor paish kiye jaate hai, mein chahta hu k jab mere aamaal Allah k yaha paish kiye jaye to mein (us waqt) roozey se hun". (Tirmizi, Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 596)

YAUM E ARFA (9 ZILL HIJJAH) KA EK ROOZA EK GUJISHTA AUR EK AYINDAH YAANI 2 SAAL K (SAGEERA) GUNAHO KA KAFFARA HAI JABKE YAUM E AASHURA (10 MUHARRAM) KA ROOZA GUJISHTA EK SAAL K (SAGEERA GUNAHO) KA KAFFARA HAI

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Mein Allah ta'ala se ummeed rakhta hu k yaum e arfa k rooz k badle mein Allah ta'ala ek gujishta aur ek ayindah saal k gunaah maaf farmaayenge aur yaum e aashura k roozey k badle mein gujishta ek saal k gunaah maaf farmayenge". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 620)

SIRF 10 MUHARRAM KA ROOZA RAKHNA MAKROOH HAI

Hazrat Abdullah bin Abbaas Razi Allahu Anhu farmaate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aashura (10 Muharram) ka rooza rakkha aur loogo ko bhi rakhne ka hukm diya, loogo ne arz kiya "ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! 10 muharram to yahood o nasaara k nazdeek badi azmat ka din hai", Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Accha ayinda saal hum in Shaa Allah! (10 MUharram k saath) 9 Muharram ka rooza bhi rakkhenge", lekin ayinda saal aane se pehle hi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam is duniya se rukhsat ho gaye. (Sahih Muslim Kitabus Siyaam)

Wazahat: Yaum e aashura (10 muharram) ki fazilat ki wajah ye hai k jab Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam madeena tashreef laye to yahoodi 10 muharram ka rooza rakhte they, in se wajah puchi gayi to unhone kaha: "is rooz Allah ta'ala ne Musa Alaihis Salaam ko firoun par galba ata farmaya tha, lihaza hum shukraane k taur par is din ka rooza rakhte hai", Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat maloom hui to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "yahoodiyo ki nisbat hum Musa Alaihis Salaam k zayada qareeb hai aur musalmano ko is din ka rooza rakhne ka hukm diya gaya, magar jab ramazaan k roozey farz kiye gaye tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ab jo chaahe 10 muharram ka rooza rakkhey jo chaahe na rakkhey". (Sahih Muslim) 

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SHABAAN K MAHEENE MEIN BAAQI SAB MAHEENO SE ZAYADA ROOZEY RAKHTE THEY

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ramazaan k alawa kisi maheene k poorey roozey rakhte hue nahi dekha na hi shabaan k alawa kisi doosre maheene mai kasrat se roozey rakhte dekha hai. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 711)

Wazahat: 15 Shabaan ko khaas taur par rooza rakhne ki tamaam ahadees gair motabar hai, zayada se zayada jo cheez sahih hadees se saabit hai wo ye hai k is maheene mai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam kasrat se roozey rakhte they.

NAFLI ROOZA RAKHNE MEIN EK DIN CHOOD KAR DOOSRA DIN ROOZA RAKHNE KA TAREEQA SAB SE AFZAL HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Har maah 3 din k roozey rakkho" mene arz kiya "Mujh mein is se zayada taaqat hai" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam barabar mujhse roozey kam karaate rahe hatta k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ek din rooza rakkho ek din tark karo, ye afzal tareen roozey hai, mere Bhai Dawood Alaihis Salaam ka yahi tareeqa tha". (Sahih Bukhari Wa Sahih Muslim)

MUHARRAM K MAHEENEY MEIN ROOZEY RAKHNE KI FAZILAT

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ramazaan k baad sab se afzal roozey muharram k roozey hai, jo Allah ka maheena hai aur farz namaz k baad sab se afzal tahajjud ki namaz hai". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 610)

PEER (MONDAY) K ROOZEY KI FAZILAT

Hazrat Abu Qatadah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se peer (monday) k roozey k baarey mein sawaal kiya gaya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Is din mein paida kiya gaya aur isi din mujh par quran naazil hona shuru hua". (Sahih Muslim, Mukhatas Sahih Muslim Hadees no. 624)

ZILL HIJJAH K PEHLE 9 ROOZEY RAKHNA MUSTAHAB HAI
HAR MAAH KOI SE 3 ROOZEY RAKHNA MUSTAHAB HAI
HAR MAAH K PEHLE PEER (MONDAY) AUR PEHLI DONO JUMA RAAT K ROOZEY RAKHNA BHI AAP SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MAMOOL MUBARAK THA

Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki kisi zooja e mohtarma se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam zill hijjah k (pehle) 9 roozey aur yaum e aashura ka rooza rakkha karte they neez har maah mein 3 roozey rakkha karte they ek rooza har maah k pehle peer (monday) ko aur har maah ki pehli 2 juma raat ko (ek ek rooza). (Nasayi, Sahih Sunan Nasayi Hadees no. 2274)

NAFLI ROOZEY KI NIYAT DIN MEIN ZAWAAL SE PEHLE KISI BHI WAQT KI JA SAKTI HAI BA SAHRT K KUCH KHAYA YA PIYA NA HO

Ummul Moomineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek din Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam mere ghar tashreef laye aur pucha "kya tumhare paas kuch (khaane ko) hai?" humne kaha "nahi" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Accha to phir mera rooza hai", kisi aur din phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare ghar tashreef laye "mene arz kiya " Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Hais (halwa) tohfa aya hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "to lao mai subah se roozey se tha". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 630)

NAFLI ROOZEY KI QAZA WAJIB NAHI

Hazrat Ummey Haani Razi Allahu Anha kehti hai yaum e fatah yaani fatah makkah k rooz Hazrat Fatima Razi Allahu Anha Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki baayi taraf aa kar baithi aur mai (yani Ummey Haani Razi Allahu Anha) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Daaye taraf, itne mai ek loondi bartan le kar aayi, jis mai peene ki koi cheez thi, loondi ne wo bartan Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko diya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us bartan se piya, phir wo bartan mujhe diya, mene bhi us se piya aur kaha: "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mera rooza tha mene (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka jhoota peene k liye) rooza tood diya" "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha: kya tumne qaza rooza rakkha tha?", mene arz kiya "nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Agar nafli rooza tha, to koi harj ki baat nahi". (Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2145)

NAFLI IBADAT MEIN AETADAAL AUR MAYANAARVI AFZAL HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Nafil namaz apni tabiyat ki khushi aur shouk k mutabiq padho, jab tabiyat thak jaye to baith jao". (Sahih Bukhri wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 448)

SIYAAM AR'BAEEN (MUSALSAL 40 ROOZO KA CHILLA) SUNNAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM SE SAABIT NAHI.

Allah ta'ala se dua hai k Allah ta'ala hame nafli roozey rakhne ki tofeeq ata farma aur hamare dil mein sunnat e nabvi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki muhabbat paida farma. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

Saturday 21 June 2014

ROOZEY KO FAASID KARNE YA TOODNE WALE UMOOR

ROOZEY KO FAASID KARNE YA TOODNE WALE UMOOR



Bismillahirrahmanirraheem

ROOZEY K DORAAN JIMA KARNE SE ROOZA BATIL HO JATA HAI, IS PAR KAFFARA BHI HAI AUR QAZA BHI
ROOZEY KA KAFFARA EK GULAAM AAZAAD KARNA HAI YA 2 MAAH K MUSALSAL ROOZEY RAKHNA YA 60 MOHTAAJO KO KHANA KHILANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas baithye they k ek sahabi aye aur kehne lage "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mai halaaq ho gaya" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Kya baat hai?" usne kaha: "mai roozey ki haalat mai beewi se sohbat kar baitha hu" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha: "Kya tu ek gulaam azaad kar sakta hai?" usne kaha "Nahi" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne phir daryaft kiya: "Kya 2 maah k musalsal roozey rakh sakte ho?" usne kaha "Nahi" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne phir pucha "Kya 60 miskeeno ko khana khila sakte ho?" usne arz kiya "Nahi" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Accha baith jao" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam thoodi dair rukey, Hum abhi usi haalat mai baithey they k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mai ek khajoor ka ark laya gaya ark bade tookrey ko kaha jata hai, Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Masla puchne wala kaha hai?" usne arz kiya "mai haazir hu", Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "ye khajoorey le jao aur sadqa kar do" usne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya sadqa apne se mohtaaj loogo ko du? Wallah! Madeena ki saari aabaadi mai koi ghar mere ghar se jayada mohtaaj nahi", Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam muskuraye aur farmaya: "Accha jao aur apne ghar walo ko hi khila do". (Sahih Bukahri wa Sahih Muslim, Mishkaatul Masabeeh Hadees no. 2004)

Saeed ibne Musayyab Razi Allahu Anhu kehte hai ek aadmi Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas aya aur kaha: "mene ramazaan ka rooza tood diya hai", "Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us se farmaya: sadqa kar, Allah ta'ala se maafi maang aur roozey ki qaza ada kar". (Musannaf Ibne Abi Shaiba)

Wazahat: Aaj bhi agar koi shaks aesi soorat se do chaar ho aur teeno kaamo mai se kisi ek ki bhi qudrat na rakhta ho to use hasbe istata'at sadqa dena chahiye lekin jab teeno mai se kisi ek kaam ki bhi istetaa'at hasil ho jaye to kaffara ada karna laazmi hoga. (Wallahu Aalam Bis Sawaab)

QASDAN QEY KARNE SE ROOZA TOOT JATA HAI AUR US PAR QAZA WAJIB HAI
KHUD BA KHUD QEY AANE SE ROOZA NAHI TOOT TA

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jis roozadaar ko khud ba khud qey aye us par qaza nahi, albatta jo roozadaar qasdan qey laye wo qaza rooza rakkhey". (Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2084)

Wazahat: Qasdan qey karne se rooza toot jata hai aur us par qaza wajib hai.

HAIZ YA NIFAAS SHURU HONE SE AURAT KA ROOZA TOOT JATA HAI, ROOZEY KI QAZA HAI, NAMAZ KI NAHI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu kehte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Kya aesa nahi hai k aurat jab haiza ho jati hai, to na namaz padh sakti hai na rooza rakh sakti hai aur aurato k deen mai kami ki yahi wajah hai". (Sahih Bukhari Kitabus Saum)

Hazrat Abu Zinaad Rahimahullah kehte hai masnoon aur sahra'i ahkaam basa auqaat raaye k bar aks hote hai lekin musalmano par un ahkaam ki pairvi karna laazim hai, inhi ahkaam mai se ek ye bhi hai k haiza roozo ki qaza to de lekin namaz ki qaza na de. (Sahih Bukhari Kitabus Saum)

WO UMOOR JO ROOZEY KI HALAT MAI JAYEZ NAHI

WO UMOOR JO ROOZEY KI HALAT MAI JAYEZ NAHI



Bislmillahirrahmanirraheem

GEEBAT KARNA, JHOOT BOLNA, GAALI DENA, JHAGDA KARNA AUR ROOZEY KI HALAT MAI BA DARJA OULA NA JAYEZ HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks (roozey rakh kar) jhoot bolta hai aur us par amal karna tark na kare to Allah ta'ala ko us baat ki koi haajat nahi k wo khana peena chood de". (Sahih Bukhari, Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 925)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne farmaya: "Rooza dhaal hai, lihaza jab koi rooza rakkhey to fahash baatey na kare, behudapan na dikhaye agar koi doosra shaks roozadaar se gaali galooch kare ya jhagde kare to roozadaar keh de (bhai) mai roozey se hu (tumhari baaton ka jawab nhi dunga)". (Bukhari Kitabus Saum)

ROOZA KI HALAT MAI BEHUDA, FAHASH AUR JAHALAT K KAAM YA GUFTAGU KARNA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne famaya: "Rooza khane peene se rukne ka naam nahi balke behuda aur fahash kaamo se rukne ka naam hai, lihaza agar roozadaar se koi gaali galooch kare ya jahalat se paish aye to use keh dena chahiye Mai roozey se hun (yani tumhara jawab nhi dunga)". (Sahih Ibne Khuzaima, Hadees no.1996)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam se riwayat karte hai "Roozey ki halat mai kisi ko gaali na do agar koi doosra gaali de, to use keh do mai roozey se hu, agar khadey ho to baith jao". (Sahih Ibne Khuzaima Hadees no. 1994)

JO ROOZADAAR APNI SHAHWAT PAR QAABU NA RAKHTA HO US K LIYE BEEWI SE BAGAL GAIR HONA YA BOOSA LENA JAYEZ HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam rooza ki halat mai boosa lete aur bagal gair hote lekin wo apni shahwat par sab se jayada qaabu paane wale they. (Sahih Bukhari, Mukhtasar Sahih Bukhari Hadees no. 939)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi ne Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam se roozey ki halat mai (beewi se) bagal gair hone k baarey mai sawal kiya, Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne use ijazat de di phir ek aur aadmi aya usne wahi sawal pucha, Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne use mana farma diya (Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai) jisko Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne ijazat di wo boodha tha aur jise Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne mana farmaya wo jawaan tha. (Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2090)

ROOZEY KI HALAT MAI KULLI KARTE WAQT NAAK MAI IS TARAH PAANI DAALNA JAYEZ NAHI K HALAQ TAK PAHUNCHNE KA HADSHA HO.

Hazrat Laqeet bin Sabra apne baap Razi Allahu Anhu se riwayat karte hai k mene kaha "Ya Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam! wuzu k baare mai mujhey kuch bataiye", Nabi E Akram Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne farmaya: "Wuzu poora karo, ungliyo k darmiyaan khalaal karo aur naak mai acchi tarah paani dalo, lekin agar rooza ho to phir aesa na karo". (Abu Dawood, Tirmizi, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2090)

Friday 20 June 2014

WO UMOOR JINSE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA

WO UMOOR JINSE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA



Bismillahirrahmanirraheem

BHOOL CHOOK SE KHA PEE LENE SE NA ROOZA TOOT TA HAI NA MAKROOH HOTA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam se riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab koi bhool kar kha pee le to apna rooza poora kare, kyunki use Allah ne khilaya pilaya hai". (Sahih Bukhari, Mukhtasar Sahih Bukhri Hadees no. 940)

MISWAAK KARNE SE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA

Hazrat Aamir bin Rabee'a Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko roozey ki haalat mai itni martaba miswaak karte dekha hai k gin nahi sakta. (Sahih Bukhari Kitabus Saum)

GARMI KI SHIDDAT SE ROOZADAAR SAR MAI PAANI BAHA SAKTA HAI IS SE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA

Hazrat Abu Bakr bin Abdur Rahman Rahimahullah kehte hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k ashaab mai se ek sahabi ne kaha "Mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam roozey mai garmi ya piyaas ki wajah se sar par paani baha rahe they". (Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2082)

ROOZEY KI HAALAT MAI MAZI KHARIJ HO YA EHTALAAM HO JAYE, TO NA HI ROOZA TOOT'TA HAI AUR NA HI MAKROOH HOTA HAI

Hazrat Abdullah bin Abbas aur Hazrat Akrama Razi Allahu Anhum famate hai: "Rooza kisi cheez k jism mai dakhil hone se toot'ta hai jism se kharij hone se nahi toot'ta". (Bukhari Kitabus Saum)

SAR MAI TAIL LAGAANE, KANGHI KARNE YA AANKHO MAI SURMA LAGAANE SE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA
HANDIYA KA ZA'IKA CHAKHNA, THOOK NIGALNA AUR MAKKHI K HALAQ MAI CHALE JAANE SE ROOZA MAKROOH NHI HOTA
ROOZADAAR GARMI KI SHIDDAT MAI KAPDA PAANI MAI TAR KAR K BADAN PAR RAKH SAKTA HAI, IS SE ROOZA MAKROOH NAHI HOTA.

Hazrat Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu ne farmaya: "Jab tum mai se koi roozadaar ho to use tail kanghi kar lena chahiye". (Kitabus Saum baab Agtasalus saaim)

Hazrat Hasan Razi Allahu farmaate hai: "Roozadaar k liye naak mai dawayi daal lene mai koi harj nahi bashart k halaq tak na pahunchey neez roozadaar surma laga sakta hai". (Kitabus Saum baab baab qaulun nabi iza toza'a falayitashak)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmaate hai: "Roozadaar handiya ya kisi doosri cheez ka zaa'ika chakh le to koi harj nahi". (Kitabus Saum baab Agtasalus saaim)

Hazrat Ata Rahimahullah ne kaha: "Roozadaar apna thook nigal sakta hai". (Kitabus Saum baab Agtasalus saaim)

Hazrat Hasan Razi Allahu Anhu ne kaha: "Agar makkhi roozadaar k halaq mai chali jaye to koi harj nahi". (Kitabus Saum baab saaim)

AGAR KISI PAR GUSAL FARZ HO, LEKIN WO DAIR SE UTHEY TO SEHRI KHA KAR GUSAL KAR SAKTA HAI, ALBATTA KHANE SE QABL WUZU KAR LENA CHAHIYE.

Hazrat Abu Bakr ibne Abdur Rahman Rahimahullah se riwayat hai k mai aur mere walid Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha k paas aye, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne bayan kiya: "Mai gawahi deti hu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ehtalaam k sabab se nahi balke jima k sabab se halat e janabat mai subah karte aur (gusal kiye bagair) rooza rakhte (baad mai namaz e fajr se pehle gusal farmaate) phir hum (dono) Hazrat Ummey Salma Razi Allahu Anha k paas aye aur unhone bhi yahi baat kahi". (Bukhari Kitabus Saum)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmaati hai "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam halat e janabat mai khana ya soona chahte to pehle namaz ki tarah wuzu farma lete". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 162)

ROOZEY KI HALAT MAI BEEWI KA BOOSA LENA JAYEZ HAI BASHART K JAZBAAT PAR QAABU HO

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek rooz mera jee chaha aur mene rooey ki haalat mai apni beewi ka boosa le liya mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mai arz kiya "Aaj mene bada (galt) kaam kiya hai roozey ki halat mai boosa le liya" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne famaya: "Accha batao agar tum roozey ki haalat mai kulli kar lo to phir?", mene arz kiya "Kulli mai kya harj hai" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne famaya: "Phir kis cheez mai harj hai? (yani boosa lene mai koi harj nahi)". (Musnad Ahmad, Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2089)

ROOZEY MAI PAINCHA (HIJAMA) LAGWANA JAYEZ HAI

Hazrat Abdullah ibne Abbas Razi Allahu Anhu farmate hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne roozey ki haalat mai paincha (hijama) lagwaya hai. (Sahih Bukhari, Mukhtasar Sahih Bukhri Hadees no. 942)

Wazahat: Ilaaj k taur par sooyi, blade ya ustarey k saath jism k kis hissey se khoon nikalne ko paincha (Hijama) lagwana kehte hai.

QAZA ROOZO K MASA'IL

QAZA ROOZO K MASA'IL



Bismillahirrahmanirraheem

FARZ ROOZEY KI QAZA AYINDA RAMAZAAN SE PEHLE KISI WAQT BHI ADA KI JA SAKTI HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha kehti hai "Mujh par ramazaan k roozey baaki rehte aur mai qaza roozey shabaan se pehle rakhne ka mauka na paati". (Sahih Bukhri Wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 703)

FARZ ROOZO KI QAZA MUTAFARRIQ TAUR PAR YA LAGATAAN DONO TARAH SE JAYEZ HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmaati hai: "Roozo k baarey mai pehle ye baat nazil hui k qaza roozey (ramazaan k alawa) doosre dino mai musalsal rakkhey jaye, lekin baad mai musalsal roozey rakhne ka hukm khatam ho gaya". (Daare Qutni, Nailul Autaar Kitabus Siyaam)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu farmaate hai (qaza rozo k rakhne mai) alag alag roozey rakkhey jaye, to koi harj nahi kyunki Allah Ta'ala ka irshaad hai: "Doosre dino mai tadaad puri ki jaye" (Sahih Bukhari Kitabus Saum)

MARNE WALE K QAZA ROOZEY USKE WAARIS KO RAKHNE CHAHIYE

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne kaha k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jo shaks mar jaye aur uspar farz roozey rakhne baaqi ho to uska waaris (uski taraf se) qaza roozey rakkhey". (Sahih Bukhari Wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no 704)

NAFLI ROOZEY KI QAZA ADA KARNI WAJIB HAI

Hazrat Ummey Haani Razi Allahu Anha kehti hai yaum e fatah yaani fatah makkah k rooz Hazrat Fatima Razi Allahu Anha Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki baayi taraf aa kar baithi aur mai (yani Ummey Haani Razi Allahu Anha) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k Daaye taraf, itne mai ek loondi bartan le kar aayi, jis mai peene ki koi cheez thi, loondi ne wo bartan Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko diya, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne us bartan se piya, phir wo bartan mujhe diya, mene bhi us se piya aur kaha: "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mera rooza tha mene (Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka jhoota peene k liye) rooza tood diya" "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha: kya tumne qaza rooza rakkha tha?", mene arz kiya "nahi" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Agar nafli rooza tha, to koi harj ki baat nahi". (Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2145)

AGAR KISI NE BAADAL KI WAJAH SE ROOZA WAQT SE PEHLE IFTAAR KAR LIYA LEKIN BAAD MAI YAQEEN HO GAYA K SOORAJ GUROOB NAHI HUA THA, IS SOORAT MAI QAZA WAJIB HOGI ISI TARAH SEHRI K WAQT KHANA KHA LIYA AUR BAAD MAI YAQEEN HO GAYA K SUBAH SAADIQ HO CHUKI THI, IS SOORAT MAI BHI QAZA WAJIB HOGI, KAFFARAH NAHI.

Hazrat Asma bintey Abu Bakr Razi Allahu Anha kehti hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k zamaane mai ek rooz humne baadal ki wajah se rooza iftaar kar liya baad mai sooraj nikal aaya, (Hadees k ek raavi usaama kehte hai) mene hishaam (doosra raavi) se pucha: "Kya loogo ko is wajah se qaza ka hukm diya tha?" Hishaam ne jawab diya: "Qaza k bagair koi chaara hai?". (Ibne Maaja, Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1358)

Thursday 19 June 2014

ROOZO MAI RUKHSAT K MASA'IL

ROOZO MAI RUKHSAT K MASA'IL



Bismillahirrahmanirraheem

SAFAR MAI ROOZA RAKHNA AUR CHOODNA DONO DURUST HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Hamzah bin Umar Aslami Razi Allahu Anhu ne Nabi E Akram Sallallahu Alihi Wa Sallam se pucha: "kya mai safar mai rooza rakkhu?" aur wo kasrat se roozey rakhne wale they, Nabi E Akram Sallallahu Alihi Wa Sallam ne farmaya: "Agar chaahey to rakh chaahey to na rakh". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum soohlavey (16th) roozey Nabi E Akram Sallallahu Alihi Wa Sallam k saath jihaad k liye nikle hum mai se baaz loogo ne rooza rakkha aur baaz loogo ne chood diya, na roozadaar ne be rooz par aetraaz kiya na be rooz ne roozadaar par aetraaz kiya. (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 599)

HAIZ WA NIFAAS WALI AURAT KO MAZKOORA HAALAT MAI ROOZA NAHI RAKHNA CHAHIYE, HAIZ YA NIFAAZ KHATAM HONE K BAAD ROOZEY KI QAZA ADA KARNI HAI
DOODH PILAANE WALI AURAT HAMILA AURAT KO ROOZA NA RAKHNE KI RUKHSAT HAI BAAD MAI SIRF QAZA HOGI.

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu ne kaha Nabi E Akram Sallallahu Alihi Wa Sallam ne farmaya: "Kya aesa nahi (yaani aesa hai) k aurat jab haiza hoti hai to na namaz padh sakti hai na rooza rakh sakti hai aur unke deen mai kami ki yahi wajah hai". (Sahih Bukhari Kitabus Siyaam)

Anas Ibne Maalik kaabee Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ne musafir ko rooza mu'akkhar aur nisf namaz ki rukhsat de di hai jabke hamila aur doodh pilaane wali aurat ko rooza mu'akkhar karne ki rukhsat di hai". (Musnad Ahmad, Nasayi, Tirmizi, Ibne Maja, Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 575)

Hazrat Abu Zinaad Rahimahullah kehte hai masnoon aur sharayi ahkaam basa auqaat raaye k bar aks hote hai lekin musalmano par un ahkaam ki pairvi karna laazim hai, inhi ahkaam se ek ye bhi hai k haiza roozo ki qaza to de lekin namaz ki qaza na de. (Sahih Bukhari Kitabus Siyaam)

SAFAR YA JIHAAD MAI DUSHWAARI K PAISH E NAZAR ROOZA TARK KIYA JA SAKTA HAI AUR AGAR RAKKHA HO TO TOODA JA SAKTA HAI IS KI SIRF QAZA HOGI KAFFARA NAHI

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alihi Wa Sallam ramazaan k maheene mai makka ki taraf (chadhayi k iraadey se nikle) jab muqaam e kadeed par pahunche to aapne rooza tood diya aur loogo ne bhi tood diya. (Sahih Bukhri wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 680)

BUDHAAPA YA AESI BIMAARI JIS K KHATAM HONE KI TOOKEY NA HO, KI WAJAH SE ROOZA RAKHNE KI BAJAAYE FIDYA ADA KIYA JA SAKTA HAI, EK ROOZA KA FIDYA EK MISKEEN KO 2 WAQT KA KHAANA KHILANA HAI

Hazrat Ibne Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k boodhey ko rooza na rakhne ki rukhsat di gayi hai lekin wo har rooz k badle ek miskeen ko (2 waqt ka) khana khilaye aur us par koi qaza nahi. (Daare Qutni wa Mustadrak E Haakim)

AESE TAMAAM UMOOR JINME ROOZEY KI RUKHSAT HAI MASALAN BIMARI, SAFAR, BUDHAAPA, JIHAAD, AURAT K MUAMALEY MAI HAMAL AUR IRZA'A (DOODH PILAANE WAALI) WAGAIRA K HOTE HUE BHI KOI SHOONK SE ROOZA RAKH LE LEKIN BAAD MAI ROOZA NIBHA NA SAKEY, TO USE ROOZA TOOD DENA CHAHIYE, IS SURAT MAI SIRF QAZA HOGI

Hazrat Jabir bin Abdullah Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allahu Sallallahu Alihi Wa Sallam ne dooraan e safar loogo ka hujoom dekha loog ek aadmi par saaya kiye hue they, Rasool Allah Sallallahu Alihi Wa Sallam ne pucha: "kya baat hai?" loogo ne arz kiya "Roozadaar hai" Aap Sallallahu Alihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Doraan e Safar (is haalat mai) Rooza rakhna naiki nahi hai". (Sahih Bukhari Wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 681)

Tuesday 17 June 2014

ROOZEY K AHKAAM O MASA'IL

ROOZEY K AHKAAM O MASA'IL




Bismillahirrahmanirraheem

1. Maah e Ramazaan ka dakhool 29 shabaan ko chand nazar aane ya shabaan k 30 din mukammal hone se saabit hota hai. (Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Fatawa fi Ahkaamus Siyaam Safa no. 66)

2. Maah e Ramazaan k shuru mai (poorey ramazaan k liye) ek martaba niyat kar lena kaafi hai, magar beech ramazaan mai safar ya marz ki wajah se rooza na rakkha to dobaara niyat karna zaruri hai kyunki usne pehli niyat tood di hai. (Fatawa Arkaan e Islaam Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Safa no. 466)

3. Agar koi shaks budhaapey k sabab ya aesi bimaari ki wajah se jis se sehat ki ummeed nahi, rooza na rakh sake to wo har din k badle ek miskeen ko khana khilayega agar wo is ki taaqat rakkhey. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Safa no. 233)

4. Namaz tark karne wale ka na rooza sahi hai na hi uska rooza maqbool hoga, kyunki namaz choodne wala kafir wa murtad hai Allah ta'ala k is qaul ki bina par: "Agar wo tauba kar le aur namaz ka paaband ho jaye aur zakaat dete rahe to tumhare deeni bhai hai". (Surah Tauba Ayat no. 11), neez Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Musalman aur shirk wa kufr k darmiyaan har faazil tark namaz hai". is hadees ko Imam Muslim Rahimahullah ne riwayat kiya hai. (Fatawa fi Ahkaamus Siyaam Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Safa no. 87)

5. Jab ye maloom ho k mu'azzin tulu e fajr se pehle azaan nahi deta to uske azaan shuru karne k saath hi khane peene aur degar tamaam rooza toodne wali cheezo se ruk jana zaruri hai, han agar wo azaan zan wa takhmeen aur jantari ki bunyaad par deta hai to azaan k waqt khane peene mai koi harj nahi. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 259)

6. Roozadaar ka thook nigalne mai koi mazaaiqa nahi, mere ilm k mutabiq Ahle ilm ka is baarey mai koi ikhtilaaf nahi, albatta reend aur balgam jab muh tak pahunch jaye to usko ugal dena zaruri hai, kyunki roozadaar k liye usko nigalna is wajah se jayez nahi k uska us se bachna aasaan aur mumkin hai. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 251)

7. Roozadaar se nakseer, istahaaza aur us jesa doosra koi khoon nikalne se rooza faasid nahi hota, sirf haiz, nifaaq aur pachna (hijama) lagwane k khoon se hi rooza faasid hota hai, albatta zarurat k waqt khoon ka test karaane k liye roozadaar ka khoon nikalwaane mai koi harj nahi. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 251)

8. Agar kisi ne jaanboojh kar Qey kiya to uska rooza toot jata hai, albatta agar kisi ko bila qasad khud ba khud qey aa jaye to uska rooza nahi toota. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 251)

9. Gargara ki dawaaye istemaal karne se rooza nahi toot'ta, ba shart k wo pait mai na jaye, lekin bila zarurat gargara na kare. (Fatawa Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Jild 1 Safa no. 500)

10. Aankh wa kaan mai dawa daalne neez aankh mai surma lagaane se rooza nahi toot'ta. (Fatawa Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Jild 1 Safa no. 520)

11. Khaane ka zayika chakne mai koi harj nahi, uska tareeqa ye hai k zubaan k kinaare mai rakh kar chakhne aur use halaq tak na jaane de. (Sheikh Ibne Jabreen Hafizahullah Fatawa E Islamiya Jild 2 Safa no. 128)

12. Agar miya beewi ramazaan mai rooza ki halat hai ho to shohar apni beewi se zabardasti jima karle, to beewi ka rooza sahih hoga aur uspar koi kaffara bhi nahi, albatta shohar gunhagaar hoga, neez shohar par us din ka roozey ki qaza aur kaffara laazim hoga, kaffara ye hai k wo ek gulaam aazaad karde, agar uski taaqat na ho to musalsal 2 maheena rooza rekkhey, agar uski bhi taaqat na ho to 60 miskeeno ko khana khilaye. (Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Fatawa E Islamiya Jild 2 Safa no. 136)

13. Agar zehan mai shahwat ka tasawwur kiya aur mani kharij ho gayi, ya soote mai ehtalaam ho gaya to us se rooza faasid nahi hoga. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 243)

14. Mazi nikalne se rooza nahi toot'ta (laisdaad patle mada ko mazi kehte hai jo galba e shahwat k waqt nikalta hai). (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 245)

15. Batoor e ilaaj aesa injection ko khane pene ya giza ka badal na ho, khawah wo mareez k pattey par lagaya jaye ya nass mai aur khuwah mareez uski kad'waahat apne halaq mai mehsoos kare tab bhi us se rooza nahi toot'ta. (Majalis Shahar Ramazaan Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Safa no. 100)

16. Agar roozadar bhool kar khaa pee le to uska rooza nahi toot’ta, lekin jab yaad aye to fauran khane peeney se haath rook lena wajib hai, hatta k muh ka lukma ya ghoont bhi ugal dena wajib hai. (Fatawa Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Jild 1 Safa no. 527)

17. Haamila aur doodh pilaane wali aurat ka hukm mareez jesa hai, agar unke liye rooza rakhna mashakkat ka baa'as hai to unko rooza na rakhne ki ijazat hai, han! jab dono rooza rakhne par qaadir ho to unpar faut shuda roozo ki qaza wajib hai. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 207)

18. Agar naak mai dawa daalne se dawa halaq ya maada tak pahunch jaye to rooza toot jayega. (Fatawa Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Jild 1 Safa no. 520)

19. Agar roozadaar koi aesa injection lagwaye jo khaane peene aur bhook k liye kaafi ho, to us se rooza toot jayega. (Majalis Shahar Ramazaan Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Safa no. 100)

20. Agar koi musalman ramazaan bhar bimaar raha aur baad ramazaan usi bimaari se wafaat pa gaya to na us par qaza hai aur na miskeen ko khana khilaana, kyunki shar'an maazoor tha. (Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 239)

21. Musafir k liye mutlaqan rooza na rakhna afzal hai aur jo ba haalat e safar rooza rakh le us par koi harj bhi nahi, kyunki safar ki haalat mai Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam se rooza rakhna aur na rakhna dono saabit hai, albatta garmi ki shiddat ho aur mashaqqat ho jaye to aesi soorat mai musafir k liye rooza na rakhna mutaeen ho jata hai, balke uske liye is haalat mai rooza rakhna makrooh hai. (Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 187)

22. Roozadaar k liye ramazaan k din mai neez dusre dino mai bhi ba haalat rooza miswaak karne se parhaiz karna koi mana nahi rakhta, kyunki miswaak karna sunnat hai. (Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Fatawa E Islamiya Jild 2 Safa no. 126)

23. Roozadaar k liye khushboo lagana aur soonghna jayez hai, magar bakhoor na soonghey kyunki bakhoor ka dhaawa kasheef aur ghaada hota hai jo mada tak pahunchta hai. (Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Fatawa E Islamiya Jild 2 Safa no. 128)

24. Daant se khoon nikalne se rooza par koi asar nhi padta, magar jaha tak ho sake khoon nigalne se parhaiz kare isi tarah agar kisi ki nakseer phoot jaye aur usne khoon nikalne se parhaiz kiya to us par na kuch wajib na hi kuch qaza laazim hai. (Fatawa Arkaan E Islamiya Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Safa no. 476)


Ramazaan k talluq se ye jo tamaam k tamaam masa'il they ye Mufti E Saudi Arab Sheikh Ibne Baaz Rahimahullah aur Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah k fatawa se liye gaye hai.

Monday 16 June 2014

SEHRI AUR IFTAARI K MASA'IL

SEHRI AUR IFTAARI K MASA'IL



Bismillahirrahmanirraheem

SEHRI KHAANEY MAI BARKAT HAI
NEEND SE UTH JAANE K BAAD JAAN BOOJH KAR SEHRI TARK NAHI KARNI CHAHIYE

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Sehri khao kyuni sehri khaaney mai barkat hai". (Sahih Bukhari Wa Sahih Muslim, Al loo loo Wal Marjaan juz e awwal Hadees no. 665)

RAMAZAANUL MUBARAK MAI FAJAR KI AZAAN SE PEHLE SEHRI K LIYE AZAAN DENA SUNNAT HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Hazrat Bilaal Razi Allahu Anhu raat ko (sehri se qabl) azaan de diya karte they, chunanchey Rasool Allahu Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Us waqt tak khaao piyo jab tak tak ibne ummul maktoom Razi Allahu Anhu azaan na de de is liye k ibne ummul maktoom Razi Allahu Anhu us waqt tak azaan nhi dete jab tak fajar na ho jaye". (Sahih Bukhari Wa sahih Muslim, Al loo loo wal marjaan juz e awwal Hadees no. 663)

IFTAAR MAI JALDI KARNA AUR SEHRI MAI DAIR SE KHANA AMBIYA E KIRAAM ALAIHIS SALAAM KA TAREEQA HAI

Hazrat Abu Darda Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "3 baatey akhlaaq e nabuwat se hai
1. Rooza jaldi iftaar karna
2. Sehri dair se khana
3. Namaz mai daaya haath baayey haath k uper baandhna". (Tabraani, Sahih Jamay Sageer juz e awwal Hadees no. 3034)

SEHRI KHAATE AZAAN HO JAYE TO KAHAN FAURAN TARK KARNE KI BAJAYE JALDI JALDI KHA LENA CHAHIYE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab koi aadmi azaan sune aur peene ka bartan uskey haath mai ho to use fauran na rakh de balke apni zarurat poori karle". (Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2060)

ROOZA IFTAAR KARNE K LIYE GUROOB AAFTAAB SHART HAI

Hazrat Umar Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab raat a jaye, din chala jaye aur sooraj guroob ho jaye to roozadaar rooza khool le". (Sahih Bukhari Wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 668)

Wazahat: Dooran e safar jahaaz par sawaar hote waqt agar rooza iftaar karne mai 15 minute baaki ho lekin parwaaz ki matbooa bulandi par pahuch kar sooraj ek ghanta baad guroob ho to rooza bhi ek ghanta baad (yani guroob aaftaab k baad) hi iftaar kiya jayega, isi tarah sehri k waqt ka ta'een bhi haazir aur muqaam k lihaaz se kiya jayega. (Wallahu Aalam)

TAZA KHAJOOR KHUSHK KHAJOOR (CHUHAARA) PAANI SE ROOZA IFTAAR KARNA MASNOON HAI
NAMAK SE ROOZA IFTAAR KARNA SUNNAT SE SAABIT NAHI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Namaz (Magrib) se pehle taaza khajooro se rooza iftaar farmaate agar taaza khajoorey na hoti to khushk khajooro (choohaaro) se iftaar farmaate agar khushk khajoore na hoti to chand ghoont paani se hi iftaar farma lete. (Abu Dawood, Tirmizi, Sahih sunan Abu Dawood Hadees no. 2065)

ROOZA IFTAAR KARTE WAQT DARJ ZAIL DUA MAANGNA MASNOON HAI

Hazart Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab rooza iftaar farmaate to ye dua padhte: "ZAHABAZ ZAMA'O WAB TALLATIL OROOQU WA SABATAL AJRU IN SHAA ALLAH" yani piyaas khatam ho gayi raagey tar ho gayi aur Allah ne chaha to ajr saabit ho gaya. (Abu Dawood Hadees no. 2357, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 2066)

ROOZA IFTAAR KARWAANE WALE KA AJR ROOZA IFTAAR KARNE WALE K BARABAR HAI

Hazrat Zaid bin Khalid Juhni Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jisne roozadaar ko rooza iftaar karaya use bhi utna hi ajr milega jitna ajr roozadaaar k liye hoga aur roozadaar k ajr se koi cheez kam na hogi". (Tirmizi, Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 648)

ROOZA IFTAAR KARWAANE WALE KO DARJ ZAIL DUA DENI CHAHIYE

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab kisi k yaha rooza iftaar farmaate to ye dua dete: "AFTARA INDAKUMUS SAA'IMOONA WA AKALA TA'AMAKUMUL ABRAARU WA TANAZZALAT ALAIKUMUL MALAAIKAH" yani Roozadaar tumhare yaha rooza iftaar karte rahe, naik loog tumhara khana khaate rahe aur farishtey tumhare yaha (rahmat le kar) naazil hote rahe. (Musnad Ahmad, Sahih Targeeb wa Tahzeeb Hadees no. 993)

Sunday 15 June 2014

ROOZA RAKHTE WAQT AUR ROOZA KHOOLTE WAQT KI DUWAO KA JAYEZA

ROOZA RAKHTE WAQT AUR ROOZA KHOOLTE WAQT KI DUWAO KA JAYEZA




Bismillahirrahmanirraheem

Ye jo pocket size namaz ki kaapiyo aur hamare mumalik mai shaya hone wale auqaat e sehri wa iftaari k tijarati Advertising aur baaz aam si kitabo mai amooman rooza rakhne ki niyat likhi hoti hai:

"BI SAUMI GADIN NAWAYETU MIN SHAHRI RAMAZAAN" yani mene kal k ramazaan k roozey ki niyat ki.

Ye alfaaz Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne na khud kahe aur na hi taleem farmaye, na ye Khulafa e Rashideen Razi Allahu Anhum se manqool hai aur na hi tabayeen wa a'imma rahimahullah mai se kisi se saabit hai, kutub e hadees wa fiqah ka sara zakheera chaan marey ye alfaaz kahi nahi milega aur jin baaz aam si kitabo mai milenge, unme bhi qata'an be sanad mazkoor honge, maloom nahi ye alfaaz kisne jood diye hai wese agar thode se gaur o fikr se kaam leya jaye to khud un alfaaz mai hi unke jaali wa manghadat hone ki daleel mojood hai,
masalan tulu subah saadiq k waqt azaan e fajr se thooda pehle sehri khaane se qabl ye kehta hai k "mene kal k roozey ki niyat ki" to uska ye qaul waqey aur darhaqeeqat k khilaaf hai, kyunki fajr to ho chuki aur ye rooza jiski wo sehri khane laga hai, kal ka nahi balke aaj ka hai, lihaza yaha "BI SAUMIL YAUM" jese alfaaz hone chahiye they k mene aaj k roozey ki niyat ki, kyunki lugat mai "GADIN" ka mana likha hai, ayinda kal ya wo din jiska intezaar hai, yani qayamat ka din jesa k irshaad e baari ta'ala hai: 

"WAL TANZUR NAFSUM MA QADDAMAT LIGADIN WATTAQULLAH" Tarjuma: Aur Chahiye k har shaks dekh le k kal ke liye usne aagey kya bheja hai. (Surah Hashr Surah no. 59 Ayat no. 18)

"SAYAALAMOONA GADAN MINAL KAZZABUL ASHIR" Tarjuma: Ab jaan lenge k kal kaun hai jhoota badayi maarne wala?. (Surah Qamar Surah no. 54 Ayat no. 26)

In dono muqamaat par "GADIN" se muraad qayamat ka din hai, jise aam taur par kal bhi kaha jata hai, jese k irshaad e baari ta'ala hai:

"ARSIL HU MA'ANA GADAI YARTAA WA YAL'AB" Tarjuma: Aap is (Yousuf Alaihis Salaam) ko kal hamare saath bhej de takey khoob khaye aur kheley. (Surah Yousuf Surah no. 12 Ayat no. 12)

"WALA TAQOOLANNA LI SHAYI'IN INNI FA'ILUN ZAALIKA GADAN ILLA IYYA SHAAA ALLAH" Tarjuma: Aur kisi kaam k baare mai ye hargiz na kahe k mai ye kal karunga iske alawa ye k (saath hi) In Shaa Allah (bhi) kahiye k Allah ne chaha to. (Surah Kahaf Surah no. 18 Ayat no. 23)

"WAMA TADRI NAFSUN MAZA TAKSIBU GADAN" Tarjuma: Aur koi shaks ye nahi jaanta k wo kal kya karega. (Surah Luqman Surah no. 31 Ayat no. 34)

Zikr kiye gaye teeno muqamaat par is laft "GAD" ka mana ayinda kal hi hai, Quran E Kareem mai ye laft inhi 5 muqamaat par warid hua hai, jin mai se 2 ka mana rooz e qayamat aur aakhiri 3 ka mana ayinda kal hai, niyat k murawajjah alfaaz tarteeb dene wale shaks k zehan mai, maloom nahi kal k rooze ka tasawwur tha ya qayamat k roozey ka?

GADU ya GADAH k alfaaz subah k maano mai hai lekin wo laye nahi gaye, garz jaha ye alfaaz shar'an saabit wa jayez nahi wahi lugwi aetabaar se bhi sahih nahi lagte, lihaza dil ki niyat aur qasad wa iraade par iktafa karna hi behtar hai aur yahi saabit bhi hai.

Yuh bhi jab koi shaks raat ko time pees ko chaabi de deta hai, aurat sehri k liye aataa wagaira tayyar kar k rakh leti hai aur chulha (ya stove ya gas wagaira) jala leti hai to ye sara ehtamaam roozey k liye hi to hai aur qasad wa iraade ka mafhoom ada kar raha hai.

AUR RAHI ROOZA KHOOLTE (YANI IFTAAR K) WAQT KI DUA

ALLAHUMMA LAKA SUMTU WA ALA RIZKI'KA AFTARTU. Tarjuma: Ae Allah mai teri raza k liye rooza rakhta aur tere hi diye hue rizk se iftaar karta hu. (Abu Dawood, Sunan Behaqui al Qubra, Musannaf ibne ibi Shaiba)

Is dua wali hadees ki sanad par Shaikh gaazi uzair ne kalaam kiya hai. (Tarjumaan Dehli jild 14, Shumara 7, 1414 hijri, 1994)

Jabke Allama Albaani Rahimahullah ne ise mursal (Zaeef) qaraar dete hue shawahid ki bina par qawi kaha hai. (Tehqeeq Mishkaat 1: 621, Arwa ul Gulail 4: 38)

Behar haal is dua mai jo (WA BIKA AAMANTU WA ALAIKA TAWAKKALTU) k alfaaz hai wo saabit nahi hai

albaatta ek doosri hadees mai ye dua sahih sanad k saath ayi hai

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab rooza iftaar farmaate to ye dua padhte: "ZAHABAZ ZAMA'U WAB TALLATIL UROOQU WA SABATAL AJRU IN SHAAA ALLAH" Tarjuma: piyaas chali gayi aur raagey tar ho gayi aur Allah ne chaha to ajr saabit ho gaya. (Sunan Abu Dawood Hadees no. 2357, Sunan al Qubra Nasayi, Daare Qutni, Mustadrak E Haakim, Sahih Sunan Abu Dawood juz e awwal Hadees no. 648)

Wazahat: Raat ko hi niyat kare k mene kal rooza rakhna hai jesa k sahih hadees se saabit hai, aur rooza bismillah padh kar iftaar kare aur jab kuch kha le to baad mai ye dua padhey:  ZAHABAZ ZAMA'U WAB TALLATIL UROOQU WA SABATAL AJRU IN SHAAA ALLAH" Tarjuma: piyaas chali gayi aur raagey tar ho gayi aur Allah ne chaha to ajr saabit ho gaya. (Sunan Abu Dawood Hadees no. 2357, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 648)

Allah ta'ala hamari bida'at e murawajjah se hifazat farmaye aur hamare bhaiyo ko hidayat de aur Allah tu unhe zaeef aur khud saakta hadeeso ko chood kar sahih hadeeso par amal karne ki tofeeq ata farmaye aur ham sab ko siraat e mustaqeem par jama farmaye. (Aaameen Ya Rabbal Alameen)