Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Thursday 12 June 2014

ROOZEY KI FARZIYAT

ROOZEY KI FARZIYAT



Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Islaam ki bunyaad 5 cheezo par hai
1. Kalma E Shahadat "ASH HADU ALLAH ILAHA ILLALLAHU WA ANNA MUHAMMADAN RASOOLULLAH"
2. Namaz Qayam karna
3. Zakaat ada karna
4. Hajj karna
5. Ramazaan k Roozey rakhna". (Sahih Bukhari Kitabul Emaan Hadees no. 8)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k ek aaraabi Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mai haazir hua aur arz kiya "Mujhe aesa amal bataiye jiske karne se mai jannat mai dakhil ho jao" "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Allah ta'ala ki ibadat karo uske saath kisi ko shareek na karo, farz namaz qayam karo, farz zakaat ada karo aur ramazaanul mubarak k roozey rakkho" usne kaha "Allah ki qasam! mai is se jayada kuch na karunga" jab wo aadmi wapas hua to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jise jannati aadmi dekhna ho, wo ise dekh le". (Sahih Bukhari Kitabus Siyaam Hadees no. 1891).

No comments:

Post a Comment