Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 17 June 2014

ROOZEY K AHKAAM O MASA'IL

ROOZEY K AHKAAM O MASA'IL




Bismillahirrahmanirraheem

1. Maah e Ramazaan ka dakhool 29 shabaan ko chand nazar aane ya shabaan k 30 din mukammal hone se saabit hota hai. (Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Fatawa fi Ahkaamus Siyaam Safa no. 66)

2. Maah e Ramazaan k shuru mai (poorey ramazaan k liye) ek martaba niyat kar lena kaafi hai, magar beech ramazaan mai safar ya marz ki wajah se rooza na rakkha to dobaara niyat karna zaruri hai kyunki usne pehli niyat tood di hai. (Fatawa Arkaan e Islaam Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Safa no. 466)

3. Agar koi shaks budhaapey k sabab ya aesi bimaari ki wajah se jis se sehat ki ummeed nahi, rooza na rakh sake to wo har din k badle ek miskeen ko khana khilayega agar wo is ki taaqat rakkhey. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Safa no. 233)

4. Namaz tark karne wale ka na rooza sahi hai na hi uska rooza maqbool hoga, kyunki namaz choodne wala kafir wa murtad hai Allah ta'ala k is qaul ki bina par: "Agar wo tauba kar le aur namaz ka paaband ho jaye aur zakaat dete rahe to tumhare deeni bhai hai". (Surah Tauba Ayat no. 11), neez Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Musalman aur shirk wa kufr k darmiyaan har faazil tark namaz hai". is hadees ko Imam Muslim Rahimahullah ne riwayat kiya hai. (Fatawa fi Ahkaamus Siyaam Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Safa no. 87)

5. Jab ye maloom ho k mu'azzin tulu e fajr se pehle azaan nahi deta to uske azaan shuru karne k saath hi khane peene aur degar tamaam rooza toodne wali cheezo se ruk jana zaruri hai, han agar wo azaan zan wa takhmeen aur jantari ki bunyaad par deta hai to azaan k waqt khane peene mai koi harj nahi. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 259)

6. Roozadaar ka thook nigalne mai koi mazaaiqa nahi, mere ilm k mutabiq Ahle ilm ka is baarey mai koi ikhtilaaf nahi, albatta reend aur balgam jab muh tak pahunch jaye to usko ugal dena zaruri hai, kyunki roozadaar k liye usko nigalna is wajah se jayez nahi k uska us se bachna aasaan aur mumkin hai. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 251)

7. Roozadaar se nakseer, istahaaza aur us jesa doosra koi khoon nikalne se rooza faasid nahi hota, sirf haiz, nifaaq aur pachna (hijama) lagwane k khoon se hi rooza faasid hota hai, albatta zarurat k waqt khoon ka test karaane k liye roozadaar ka khoon nikalwaane mai koi harj nahi. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 251)

8. Agar kisi ne jaanboojh kar Qey kiya to uska rooza toot jata hai, albatta agar kisi ko bila qasad khud ba khud qey aa jaye to uska rooza nahi toota. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 251)

9. Gargara ki dawaaye istemaal karne se rooza nahi toot'ta, ba shart k wo pait mai na jaye, lekin bila zarurat gargara na kare. (Fatawa Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Jild 1 Safa no. 500)

10. Aankh wa kaan mai dawa daalne neez aankh mai surma lagaane se rooza nahi toot'ta. (Fatawa Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Jild 1 Safa no. 520)

11. Khaane ka zayika chakne mai koi harj nahi, uska tareeqa ye hai k zubaan k kinaare mai rakh kar chakhne aur use halaq tak na jaane de. (Sheikh Ibne Jabreen Hafizahullah Fatawa E Islamiya Jild 2 Safa no. 128)

12. Agar miya beewi ramazaan mai rooza ki halat hai ho to shohar apni beewi se zabardasti jima karle, to beewi ka rooza sahih hoga aur uspar koi kaffara bhi nahi, albatta shohar gunhagaar hoga, neez shohar par us din ka roozey ki qaza aur kaffara laazim hoga, kaffara ye hai k wo ek gulaam aazaad karde, agar uski taaqat na ho to musalsal 2 maheena rooza rekkhey, agar uski bhi taaqat na ho to 60 miskeeno ko khana khilaye. (Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Fatawa E Islamiya Jild 2 Safa no. 136)

13. Agar zehan mai shahwat ka tasawwur kiya aur mani kharij ho gayi, ya soote mai ehtalaam ho gaya to us se rooza faasid nahi hoga. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 243)

14. Mazi nikalne se rooza nahi toot'ta (laisdaad patle mada ko mazi kehte hai jo galba e shahwat k waqt nikalta hai). (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 245)

15. Batoor e ilaaj aesa injection ko khane pene ya giza ka badal na ho, khawah wo mareez k pattey par lagaya jaye ya nass mai aur khuwah mareez uski kad'waahat apne halaq mai mehsoos kare tab bhi us se rooza nahi toot'ta. (Majalis Shahar Ramazaan Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Safa no. 100)

16. Agar roozadar bhool kar khaa pee le to uska rooza nahi toot’ta, lekin jab yaad aye to fauran khane peeney se haath rook lena wajib hai, hatta k muh ka lukma ya ghoont bhi ugal dena wajib hai. (Fatawa Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Jild 1 Safa no. 527)

17. Haamila aur doodh pilaane wali aurat ka hukm mareez jesa hai, agar unke liye rooza rakhna mashakkat ka baa'as hai to unko rooza na rakhne ki ijazat hai, han! jab dono rooza rakhne par qaadir ho to unpar faut shuda roozo ki qaza wajib hai. (Majmua E Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 207)

18. Agar naak mai dawa daalne se dawa halaq ya maada tak pahunch jaye to rooza toot jayega. (Fatawa Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Jild 1 Safa no. 520)

19. Agar roozadaar koi aesa injection lagwaye jo khaane peene aur bhook k liye kaafi ho, to us se rooza toot jayega. (Majalis Shahar Ramazaan Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Safa no. 100)

20. Agar koi musalman ramazaan bhar bimaar raha aur baad ramazaan usi bimaari se wafaat pa gaya to na us par qaza hai aur na miskeen ko khana khilaana, kyunki shar'an maazoor tha. (Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 239)

21. Musafir k liye mutlaqan rooza na rakhna afzal hai aur jo ba haalat e safar rooza rakh le us par koi harj bhi nahi, kyunki safar ki haalat mai Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam se rooza rakhna aur na rakhna dono saabit hai, albatta garmi ki shiddat ho aur mashaqqat ho jaye to aesi soorat mai musafir k liye rooza na rakhna mutaeen ho jata hai, balke uske liye is haalat mai rooza rakhna makrooh hai. (Fatawa Ibne Baaz Rahimahullah Jild 5 Safa no. 187)

22. Roozadaar k liye ramazaan k din mai neez dusre dino mai bhi ba haalat rooza miswaak karne se parhaiz karna koi mana nahi rakhta, kyunki miswaak karna sunnat hai. (Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Fatawa E Islamiya Jild 2 Safa no. 126)

23. Roozadaar k liye khushboo lagana aur soonghna jayez hai, magar bakhoor na soonghey kyunki bakhoor ka dhaawa kasheef aur ghaada hota hai jo mada tak pahunchta hai. (Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Fatawa E Islamiya Jild 2 Safa no. 128)

24. Daant se khoon nikalne se rooza par koi asar nhi padta, magar jaha tak ho sake khoon nigalne se parhaiz kare isi tarah agar kisi ki nakseer phoot jaye aur usne khoon nikalne se parhaiz kiya to us par na kuch wajib na hi kuch qaza laazim hai. (Fatawa Arkaan E Islamiya Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah Safa no. 476)


Ramazaan k talluq se ye jo tamaam k tamaam masa'il they ye Mufti E Saudi Arab Sheikh Ibne Baaz Rahimahullah aur Sheikh Ibne Usaiymeen Rahimahullah k fatawa se liye gaye hai.

No comments:

Post a Comment