Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 13 June 2014

ROOZEY KI EHMIYAT

ROOZEY KI EHMIYAT




Bismillahirrahmanirraheem

Hazrat Anas bin Maalik Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ramazaan aya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Ye mahina jo tum par aya hai is mai ek raat aesi hai jo (jo qadr k etabaar se) hazaar mahino se behtar hai, jo shaks is (ki sa'aadat hasil karne se) mehroom raha wo bhalayi se mehroom raha, neez farmaya LAILATUL QADR ki sa'aadat se sirf be naseeb hi mehroom kiya jata hai. (Ibne Maja, Sahih Sunan Ibne Maja Hadees no. 1333)

RAMAZAAN PAANE WALE K BA WAJOOD MAGFIRAT HAASIL NA KAR SAKNE WALE K LIYE HALAKAT HAI

Hazrat Kaab bin Ujrah Razi Allahu Anhu farmaat hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba Razi Allahu Anhum se farmaya: mimbar lao, hum mimbar laye jab Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam pehli seedhyi chadhey to farmaya: "Aameen", phir jab doosri seedhyi chadhey to farmaya: "Aameen", isi tarah aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam teesri seedhyi chadhey to farmaya: "Aameen", Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam mimbar par nichey tashreef laye to hamne arz kiya Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! aaj humne aap se aesi baat suni jo is se pehle kabhi nahi suni, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Janaab Jibraeel Alaihis Salaam mere paas aye aur kaha: "us aadmi k liye halakat ho jis aadmi ne ramazaan ka mahina paya aur apne gunaho ki bakhsish aur maafi hasil na kar saka" uske jawab par mene Aameen kahi, phir jab mai doosri seedhyi par chadha to janab Jibraeel Alaihis Salaam ne kaha: Halakat hai us aadmi k liye jis k saamne aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka zikr kiya jaye aur wo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam par darood na bhejey, mene uske jawab mai Aameen kahi, phir jab mai teesri seedhyi par chadha to janab jibraeel Alaihis Salaam ne kaha: "Jis shaks ne apne maa baap ya dono mai se kisi ek ko budhapey ki halat mai paya aur unki khidmat karke jannat hasil na ki uske liye bhi halakat ho, mene uske jawab mai kaha Aameen" (Mustadrak E Haakim, Sahih Targeeb wa Tahzeeb Hadees no. 985)

ROOZA KHORO KA IBRAT NAAK ANJAAM

Hazrat Abu Umama Bahali Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmaate hue suna: "mai soya hua tha aur mere paas 2 aadmi aye unhone mujhe baazuo (haatho) se pakda aur mujhe ek mushkil chadhayi wale padhaad par laye aur dono ne kaha: "is par chadhey" mene kaha: "mai nahi chadh sakta" unhone kaha: "hum aapke liye sahulat paida kar denge" pas mai chadh gaya hatta k mai pahaad ki chooti par pahuch gaya, jaha mene shadeed cheenkh pukaar ki aawaaz suni, mene pucha: "ye aawaaz kesi hai?" unhone bataya: "ye jahannamiyo ki cheekh wa pukaar hai" phir wo mere saath aagey badhey jaha mene kuch loog ulte latke hue dekhey, jinke muh ko cheer diya gaya hai jis se khoon beh raha hai mene pucha: "ye kon hai?" unhone jawab diya: "ye wo loog hai jo rooza waqt se pehle iftaar kar liya karte they". (Ibne Khuzaima, Ibne Hibban, Sahih Targeeb wa Tahzeeb Hadees no. 995)

No comments:

Post a Comment