Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Monday 2 June 2014

MISWAAK KA BAYAN

MISWAAK KA BAYAN



Bismillahirrahmanirraheem

MISWAAK TAMAAM AMBIYA KI SUNNAT HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "10 baate fitrat mai se hai"
1. Muchey katarna
2. Dadhi Badhana
3. Miswaak Karna
4. Naak mai paani daalna
5. Nakhoon kaatna
6. Ungliyo ki pusht saaf karna
7. Bagal k baal saaf karna
8. Zair E Naaf baal mundhna
9. Paani se istanja karna (Hadees k raavi) Hazrat Mus'ab Razi Allahu Anhu kethe hai dasvi baat mai bhool gaya mumkin hai wo
10. Kulli Karna ho. (Tirmizi Jild 2 hadees no. 2214)

MISWAAK KARNE SE ALLAH TA'ALA KHUSH HOTE HAI

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: miswaak muh ko saaf rakhti hai aur Allah ta'ala ki raza ka ba'as hai. (Nasai Kitabut Taharah Hadees no. 5)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM NE KHUWAHISH K BAWAJOOD SAHOOLAT KI KHATIR UMMAT KO HAR NAMAAZ K LIYE WUZU K SAATH MISWAAK KARNE KA HUKM NHI DIYA

Hazrat Abu Huraira Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Agar mai ummat k liye takleef na samajhta to unhe har namaaz k saath miswaak karne ka hukm deta. (Sahih Muslim Kitabut Taharah Baab Miswaak)

SO KAR UTHNE K BAAD SABSE PEHLE RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM MISWAAK FARMAATE

Hazrat Huzaifa Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab tahajjud k liye uthte to apna muh miswaak se saaf farmaate. (Sahih Muslim Kitabut Taharah Baab Miswaak)

RASOOL E AKRAM SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM JAB BHI BAHAR SE GHAR TASHREEF LAATE TO PEHLE MISWAAK FARMATEY

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab bhi ghar tashreef laate to sab se pehle miswaak farmaate. (Sahih Muslim Kitabut Taharah Baab Miswaak)

JUMA K ROOZ MISWAAK KARNA MASNOON HAI

Hazrat Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu apne baap se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: juma k rooz har baalig ko gusal karna chahiye, miswaak karni chahiye aur jitni khushbu mayassar a sake lagaani chahiye. (Sahih Muslim Kitabul Juma)

HAYAAT E TAYYABA KA AKHIRI AMAL MISWAAK KARNA THA

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai, mai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko sahara diye hue thi k (mera bhai) Abdur Rahmaan hamare ghar aya uske haath mai miswaak thi mene dekha Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki nazare miswaak par lagi hai, mujhe maloom tha k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam miswaak kis kadar pasand farmaate hai, mene arz kiya "kya Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k liye miswaak le lu?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sar k ishare se farmaya: "han le lo", mene wo miswaak le kar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko di lekin Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam bimaari ki sakhti ki wajah se chaba na sake, mene arz kiya, kya miswaak naram kar du?, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sar k ishare se farmaya "han", mene use muh se naram kiya to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam me wo miswaak istemaal farmayi. (Bukhari Kitabul Magaazi)

Allah ta'ala hame is amal ko karne ki tofeek ata farmaye (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment