Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 4 June 2014

FIRQA E NAAJIYA K MANHAJ KI CHAND BUNIYAADEY PART 4 FINAL

FIRQA E NAAJIYA K MANHAJ KI CHAND BUNIYAADEY PART 4 FINAL



Bismillahirrahmanirraheem

In continution of point no. 7. Sahaba e Kiraam Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki wasiyat par amal karte hue apni itteba wa ita'at ka ummat k liye behtareen namoona chood gaye, chunanche aiye hum itteba e sahaba k chand waqiyaat par nazar daalte hai:

Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne soone ki angoothi banwayi to sahaba ne bhi soone ki angoothi banwali, phir Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne apne soone ki angoothi nikaal phenki aur farmaaya: mai ise kabhi nahi pehnuga, to sahaba ne bhi apni angoothiya nikaal phenki. (Sahih Bukhari)

Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu ne hajra e aswad k paas pahunch kar uska boosa liya aur farmaya: "Mujhe maloom hai k to ek patthar hai tere andar nafa wa nuksaan ki koi taaqat nhi, agar mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko tujhe boosa dete hue na dekha hota to tujhe boosa na deta". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)

Abul hayaaj asdi rahimahullah ki riwayat hai k Ali Razi Allah Anhu ne mujhse kaha: kay mai tumhe wo zimmedari na de kar na bheju jo zimmedari dekar mujhe Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne bheja tha, jo bhi mujassama dekhna ue tood dena aur jo bhi oonchi qabar dekhna use zameen k barabar kar dena. (Sahih Muslim)

Sahaba ikraam jaha ek taraf itteba mai paish paish rehte they wahi itteba ki khilaaf warzi k maamle mai nihayat sakht they chunanchey aaiye is talluq se chand waqiyaat par nazar daalte hai.

Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu k saajzaade saalim ki riwayat hai k ek baar Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki ek hadees bayan farmayi k Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: k agar aurate masjid jaane k liye tumse ijazat chahe to unhe masjid jaane se mat rooko, unke ek saajzaade bilaal ne kaha k hum to unhe zaroor rokenge, Saalim kehte hai k Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne uski taraf mutawajjah ho kar use sakht buri gaali di is jesi gaali mene unse kabhi nhi suni thi, aur farmaya: mai tujh se Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki hadees bayan kar raha hu aur tu keh raha hai k hum unhe zaroor rokenge. (Sahih Bukhari)

Abdullah bin Magfal Razi Allahu Anhu ki riwayat hai k unhone ek shaks ko kankariyo se khelte hue dekah to farmaya: kankariya phenkne ka khel mat khelo kyunki Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is se mana farmaya hai, neez aap ka irshaad hai k us se na hi shikaar kiya ja sakta hai aur na hi dushman ko nuksaan pahunchaya ja sakta hai balke basa auqaat us se daant toot jaate hai aur aankh phoot jati hai, ye waqiya ho jane aur us hadees k bayan karne k baad ek martaba phir us shaks ko kankariyo se khelte hue dekha to farmaya: mene tujhse bayan kiya hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne is se rooka hai is k bawajood to is se baaz nhi aata mai tujh se kabhi baat nhi karunga. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)

A'imma e deen ne bhi hamesha itteba e sunnat ki taqeed ki hai aur uske bilmuqabil raaye wa qayas, haqayaat wa munabaat aur beja aqalyaat wa falsafaat se mana kiya hai, chunanchey imam Shafi Rahimahullah ki riwayat hai k Qaazi Shureh k paas qabila e banu muraad ka ek shaks aya aur usne pucha: Ae abu umayyah!, ungliyo ki diyat kya hai? aapne jawab diya: das das oonth (camel) usne kaha: Subhan Allah!, kya angootha aur chooti ungli dono barabar hai?, kaan itna choota hai k kabhi baalo se aur kabhi toopi se chip jata hai jabke dono ki diyat nisaf diyat hai, tumhara barabar ho! yaad rakkho k sunnat tumhare qayas se aagey hai, itteba karo, bida'ati mat bano, jab tak sunnat wa hadees ko mazbooti se thaamey rahoge gumrah nahi hogey, Abu Bakr Hazli ka bayan haik imam Shafi Rahimahullah ne mujh se kaha: Ae Hazli! agar tumhare qabeele hazail ka aqalmand wa insaaf parwar sardaar ahnaf qatal kar diya jaye aur ek goud mai palta baccha qatal kar diya jaye to dono ki diyat ek hogi ya nhi?, mene kaha: ek hogi?, to imama Shafi Rahimahullah ne kaha: Ab qayas kaha chala gaya?. (Sunan Daarmi)

Imam Auzayi Rahimahullah faramate hai: Hum hamesha sunnat k saath saath chalte hai, hame sunnat jaha le jaye wah jaate hai. (Usool E Aetaqaad)

8. Firqa e najiya k manhaj ki aathvi (8th) mustahkam bunyaad ye hai k wo muslamno k ittehaad wa ittefaaq k harees hote hai kyunki firqa bandi wo badtareen amal hai jis se kitab o sunnat mai baar baar mana farmaya gaya hai.

Irshaad e bari ta'ala hai: Sab loog mil kar Allah ki rassi ko mazbooti se thaam lo aur firqa bandi na karo. (Surah Ale Imran ayat no. 103)

Irshaad e bari ta'ala hai: Tum un loogo ki tarah na ho jana jinhone apne paas roshan daleele aa jane k baad bhi tafirqa dala aur ikhtilaaf kiya, unhi loogo k liye bada azaab hai. (Surah Ale Imran ayat no. 105)

Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se marvi hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Allah ta'ala tumhare liye teen baato ko pasand karte hai aur teen baato ko napasnad karta hai: Allah ta'ala tumhare liye ye pasand karta hai k tum sirf usi ki ibadat karo aur is k saath kuch bhi shareek na karo, aur um sab mil kar Allah ki rassi ko mazbooti k saath thaam lo aur firqa bandi na karo, aur ye k tum us shaks k saath na sahana aur hamdardana rawayyah ikhtiyaar karo jis ko Allah ne tumhare liye umoor ka wali aur zimmedaar banaya hai. (Sahih Muslim)

Muslamano k ittehad aur ittefaaq, aapsi muhabbat wa hamdardi aur bahami ta'awun wa bhai chargi ko hadees mai ek zabardast misaal k zariye samjhaya gaya hai.

Bahami muhabbat wa shafaqqat aur rahamdili mai momino ki misaal ek jism ki si hai, agar ek azu ko takleef hoti hai to sara badan bukhar aur bedari k saath tadap jata hai. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim)

Ahle sunnat wal jama'at k ifraad ijtahaadi masail mai baaz ikhtalafaat k bawajod aasap mai ek doosre se muhabbat karte hai, ek doosre s piche salaat ada karte hai, aapas ami bugz wa adawat nahi rakhte, na tarirqa baazi aur group bandi karte hai aur na hi takfeer wa tazleel karte hai, ahle sunnat ka maanna hai k ijtahadi masail ki bina par group bandi karna ahle bida'at ka tareeqa hai.

Allah ta'ala se dua hai k hame haq ko haq ki soorat mai dikhlaane aur uski itteba ki tofeeq se nawaaze aur baatil ko baatil ki soorat mai diklaaye aur us se door bahut door mehfooz rakhey. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment