Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 13 June 2014

ROOZEY KI FAZILAT

ROOZEY KI FAZILAT




Bismillahirrahmanirraheem

RAMAZAAN K SHURU HOTE HI JANNAT K DARWAAZE KHOOL DIYE JAATE HAI AUR JAHANNAM K DARWAAZE BAND KAR DIYE JAATE HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: jab ramazaan ata hai to aasmaan k darwaaze khool diye jaate hai, jahannam k darwaaze band kar diye jaate hai aur shayateen qaid kar diye jaate hai. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Al loo loo wal marjaan juz e awwal hadees no. 652)

RAMAZAAN MAI UMRAH KA SAWAAB HAJJ K BARABAR MILTA HAI

Hazrat Ata Rahimahullah kehte hai k mene Hazrat Abdullah ibne Abbas Razi Allahu Anhu se suna k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ansaaar ki ek aurat (ummey sunaan) se farmaya, Hazrat Abdullah ibne Abbas Razi Allahu Anhu ne us aurat ka naam bhi liya magar mai bhool gaya kya hoga "tum hamare saath hajj par kyu nhi chlati?" aurat ne kaha: "hamare paas sirf 2 aunth (camel) they ek par mera shohar aur baita dono hajj k liye gaye hai ab ek aunth (camel) ghar mai hai jis par hum paani wagaira laate hai" "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: accha tab ramazaan aye to umrah kar lena us ka sawaab bhi hajj k barabar hai". (Sahih Muslim Kitabul Hajj)

ROOZA QAYAMAT K DIN ROOZADAAR KI SIFARISH KAREGA

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Rooza aur quran qayamat k din bande k liye sifarish karegne, roza kahega: "Ae mere rabb! mene is bande ko khane peene aur apni khawahishaat (poori karne) se rookey rakkha lihaza is k baare me meri sifarish qubool farma", Quran kahega: "Ae mere rabb! mene is bande ko raat (qayaam k liye) soone se rookey rakkha lihaza is k baare mai meri sifarish qubool farma" chunache dono ki sifarish qubool ki jayegi. (Musnad Ahmad, Tabraani, Sahih Targeeb wa Tahzeeb juz e awwal Hadees no. 973)

ROOZEY KA AJR BE HISAAB HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah azz wa jal farmata hai k ibne aadam ka har amal uske liye hai siwaye roozey k, rooza mere liye hai aur mai hi uski jaza dunga aur roozaa (aag se) dhaal hai lihaza jis rooz tum mai se kisi ka rooza ho us rooz wo fahash goyi na kare aur behuda kalami na kare aur agar koi doosra us se gaali galooch kare ya ladayi kare to rooze daar ko (sirf itna kehna chahiye) mai rooze daar hu, us zaat ki qasam! jis k haath mai Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki jaan hai roozadaar k muh ki hawa (badbu) qayamat k din Allah ta'ala ko mushk ki khushbu se bhi zayada pasand hogi, roozadaar k liye 2 khushiya hai jin se wo farhat haasil karega awwalan jab wo rooza iftaar karta hai to khush hota hai, saniyan jab wo apne rabb se milega aur rooze k badle mai apne rabb se in'aam payega to khush ho jayega". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 571)

ROOZADAAR K LIYE JANNAT MAI EK KHUSUSI DARWAAZA BANAYA GAYA HAI JISKA NAAM "RAYYAN" HAI

Hazrat Sahal bin Saad Razi Allahu Anhu kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jannat ka ek darwaaza jiska naam "Rayyan" hai jis se qayamat k din roozadaar guzrenge, unke alawa us darwaaze se koi doosra nahi guzrega". (Sahih Bukhari Wa Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 571)

RAMAZAAN KA POORA MAHEENA HAR RAAT ALLAH TA'ALA LOOGO KO JAHANNAM SE NIJAAT DILATE HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Ramazaan ki pehli raah hi shayateen aur sarkash jin baandh diye jaate ahi jahannam k saare darwaaze band kar diye jaate hai unme se koi ek darwaaza bhi khula nahi rehne diya jata aur jannat k saare darwaaze khool diye jaate hai unme se koi ek darwaaza bhi band nhi rehne diya jata aur ek munadi karne wala (farishta) aelaan karta hai, Ae bhalayi k chahne wale! aage badh (aur dair na kar) ae shar k chahne wale ruk ja aur (ramazaan ki) har raat Allah ta'ala loogo ko jahannam se azaad karte hai. (Ibne Maja, Sahih Sunan Ibne Maja juz e awwal Hadees no. 1331)

ROOZA IFTAAR K WAQT BHI ALLAH TA'ALA LOOGO KO JAHANNAM SE AZAAD KARTE HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala har rooz iftaar k waqt loogo ko jahannam se azaad karte hai". (Ibne Maja, Sahih Sunan Ibne Maja juz e awwal Hadees no. 1332)

RAMAZAAN MAI SIYAAM AUR QAYAAM KARNE WALA QAYAMAT K DIN SIDDIQEEN AUR SHOHDA K SAATH HOGA

Hazrat Umar bin marrata juhni se riwayat hai k ek aadmi Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mai haazir hua aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam agar mai gawahi du k Allah k siwa koi ila nahi, aap Allah k Rasool hai, Paancho namaze padhu, zakaat ada karu aur ramazaan mai siyaam aur qayaam karu, to mera shumaar kin loogo mai hoga?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: "Siddiqeen aur Shohda mai se". (Sahih Targeeb wa Tahzeeb juz e awwal Hadees no. 993)

No comments:

Post a Comment