Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 6 June 2014

MAAH E SHABAAN MAI NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MAMOOL

MAAH E SHABAAN MAI NABI SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA MAMOOL



Bismillahirrahmanirraheem

Maah e Shabaan qamri mahino mai aathwa (8th) mahina hai ye mahina rajab aur ramzaan k darmiyaan mash'hoor mahina hai is saal k aatey hi ummat e islamiya maah e mubarak ramzaan k istaqbaal k liye tayyar ho jati hai aur shabaan k mahine hi se nafli roozey rakh kar ramzaan mai farz roozey rakhne ki koshish karne lagti hai aur yahi hamare Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki sunnat e mubaraka bhi hai k aap is maah mai bakasrat nafli roozey rakhte they chunanchey 

Hazrat Ayesha Razi Alllahu Anha bayan karti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam nafli roozey rakhte they yaha tak k hum kehte k ab aap rooza rakhna nhi chodenge phir aap rooza chood dete yaha tak k hum kehte k ab aap rooza nahi rakkhenge aur mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ramzan ul mubarak k alawa kabhi kisi mahine k mukammal roozey rakhte hue nahi dekha aur mene Aap ko shabaan se zayada kisi mahine mai rooza rakhte hue nahi dekha. (Sahih Bukhari Hadees no. 1969, Sahih Muslim Hadees no. 1156)

Aur Sahih Muslim mai izafa hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam thode dino ko chood kar purey shabaan rooza rakhte they, Isi tarah 

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se marvi hai k unhone bayan kiya k mene Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko shabaan se zayada kisi mahine mai roozey rakkhey hue nhi dekha aap isme roozey rakhte they siwa e chand ayyam k balke aap pure mahine mai rooza rakhte they. (Sunan Tirmizi Hadees no. 736)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha bayan karti hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko roozo k liye sab se mehboob mahina shabaan tha phir aap is k baad ramzaan k roozey rakhte thay. (Sunan Abu Dawood Hadees no. 2431)

Sahih Muslim k izaafe se ye maloom hua k purey shabaan k roozey maqsood nahi balke aap chand ayyam ko chood kar shabaan k aksar ayyam mai roozey rakhte they, Allama Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ne (Fathul Baari jild 4 hadees no. 252) mai sarahat ki hai k purey shabaan se muraad shabaan k aksar ayyam hai

Mazkoora bala Ahadees e Nabwiya se maloom hua k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka ye mamool tha k aap shabaan mai bakasrat nafli roozey rakhte they lihaza ummat ko bhi apne Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam k uswa e hasana ko apnate hue maah e shabaan mai bakasrat nafli roozey rakhne ka ehtamaam karna chahiye.

Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k is maah e shabaan mai bakasrat nafli roozey rakhne ki hikmat ki sarahat ek marfoo sahih hadees mai milti hai k 

Hazrat Usaama bin Zaid Razi Allahu Anhu ne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam se sawal kiya k Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mene aapko kisi mahine mai itne roozey rakhte hue nahi dekha jitne aap shabaan mai rakhte hai to aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Ye wo mahina hai jisme loog rajab aur ramzan k baad rooozey se gaafil ho jaate hai halankey isme aamaal Allah rabbul alameen ki taraf utha liye jaate hai aur mai ye pasand karta hu k mere aamaal roozey ki halat mai uthaye jaye. (Sunan Nasayi Hadees no. 2357)

In Tamaam Ahadees se maloom hua k maah e shabaan mai kasrat se nafli roozey rakhen ka ehtamaam karna chahiye, albatta aadhey shabaan k baad rooza se mana kiya gaya takey ramzaan k roozey k liye taqat bar qaraar rahe.

Allah hame Maah E Shabaan mai bakasrat nafli roozey rakhne ki tofeeq ata farmaye. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment