Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 24 June 2014

MAMNOOH AUR MAKROOH ROOZEY

MAMNOOH AUR MAKROOH ROOZEY



Bismillahirrahmanirraheem

EID UL FITR AUR EID UL AZHA K ROOZEY RAKHNA MANA HAI

Hazrat Abu Ubaid Razi Allahu Anhu kehte hai mene Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu k saath namaz e eid ada ki, Hazrat Umar Razi Allahu ne kaha: "in 2 dino k roozey rakhne se Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mana farmaya hai pehla din jab tum apne roozey khatam karo, doosra din jab tum qurbaani ka goosht khaate ho". (Sahih Bukhari Kitabus Saum)

SIRF JUMA KE DIN KA ROOZA RAKHNA MAKROOH HAI
AGAR KOI SHAKS APNE MAMOOL K MUTABIQ JUMA KA ROOZA RAKKHEY TO JAYEZ HAI MASALAN AGAR KOI SHAKS HAR DOOSRE YA TEESRE DIN ROOZEY RAKHNE KA AADI HAI AUR KISI DIN JUMA KA ROOZ A JAYE TO WO JAYEZ HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Juma ki raat (juma aur juma-raat ki darmiyani raat) ko qayam ul lail k liye muqarrar na karo aur na juma ka din roozey k liye makhsoos karo, han agar koi shaks roozey rakhne ka aadi ho aur us mein juma aa jaye to phir jayez hai". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 626)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai k mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko farmate hue suna hai "koi aadmi sirf juma ka rooza na rakkhey agar rakhna chahta hai to ek din pehle ya pichla saath mila kar rakkhey (yani juma-raat aur juma ka ya juma aur hafta ka)". (Sahih Bukhari Kitabus Saum)

SAUM E VISAAL (YAANI SHAAM K WAQT ROOZA IFTAAR NA KARNA AUR KUCH KHAYE PIYE BAGAIR AGLA ROOZA SHURU KAR DENA) MAKROOH HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne saum e visaal se mana farmaya to ek aadmi ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap to saum e visaal rakhte hai?", Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Tum mein mujh jesa kaun hai mein raat ko soota hu, to mujhe mera rabb khilaata bhi hai pilaata bhi hai". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 671)

RAMAZAAN SHURU HONE SE PEHLE ISTAQBAAL K TAUR PAR ROOZEY RAKHNA MANA HAI
AGAR KOI SHAKS APNE GUZISHTA MAMOOL K MUTABIQ ROOZEY RAKHTA CHALA AA RAHA HAI AUR WO DIN ITTEFAAQAN RAMAZAAN SE 1 YA 2 ROOZ PEHLE AA GAYA TO KOI HARJ NAHI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ramazaan se 1 ya 2 din pehle koi aadmi rooza na rakkhey, albatta wo shaks jo apne mamool k mutabiq roozey rakhta aa raha hai wo rakh sakta hai". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 657)

MUSALSAL ROOZEY RAKHNA MANA HAI

Hazrat Abdullah bin Umar bin Aas Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mujh se farmaya: "Ae Abdullah! mujhe khabar mili hai k tum (hamesha) din ko rooza rakhte ho aur raat ko qayaam karte ho? Mene arz kiya "Han ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! mein aesa hi karta hu" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Aesa mat karo, rooza rakkho bhi tark bhi karo, raat ko qayaam bhi karo aur aaraam bhi karo, tumhare jism ka tum par haq hai, tumhari aankh ka tum par haq hai tumhari beewi ka tum par haq hai, tumhare mehmaan ka tum par haq hai jisne musalsal roozey rakkhey uska koi rooza nahi". (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Mishkaatul Masabeeh Hadees no. 2057)

AYYAAM E TASHREEQ (YAANI 11/12/13 ZILL HIJJAH) K ROOZEY RAKHNA MANA HAI ALBATTA JO HAAJI QURBAANI NA DE SAKE, WO MINA MEIN AYYAAM E TASHREEH K ROOZEY RAKH SAKTA HAI

Hazrat Ayesha aur ibne Umar Razi Allahu Anhum se riwayat hai k ayyaam e tashreeh mein kisi aadmi ko rooza rakhne ki ijazat nahi di gayi siwa e us haaji k jo qurbaani dene ki taaqat na rakhta ho. (Bukhari Kitabus Saum)

HAAJI KO ARFAAT MEIN 9 ZILL HIJJAH (YAUM E ARFA) KA ROOZA RAKHNA MANA HAI

Hazrat Maimoona Razi Allahu Anha se riwayat hai k loogo ne arfa k din Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k rooza mein shak kiya, to unhone (yani Hazrat Maimoona Razi Allahu Anha) ne Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas doodh bheja, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne uss piyaale se doodh piya, us waqt Aap (Maidaan e Arfaat k) moqaf mein khade they aur loog Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekh rahe they. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 687)

NISF SHABAAN K BAAD ROOZEY NAHI RAKHNE CHAHIYE

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Jab nisf shabaan baaqi reh jaye (yaani ramazaan se 15 din pehle) to nafli roozey na rakkho". (Tirmizi, Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 590)

AURAT KA APNE SHOHAR KI IJAZAT K BAGAIR NAFLI ROOZA RAKHNA MANA HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Koi aurat apne shohar ki mojoodgi mein uski ijazat k bagair siwaye ramazaan k roozo k nafli roozey na rakkhey". (Tirmizi Kitab Abwaabus Saum)

SIRF AASHURA (10 MUHARRAM) KA ROOZA RAKNA MAKROOH HAI 9 AUR 10 MUHARRAM YA 10 AUR 11 MUHARRAM DONO K ROOZEY RAKHNE CHAHIYE

Hazrat Abdullah bin Abbaas Razi Allahu Anhu farmaate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne aashura (10 Muharram) ka rooza rakkha aur loogo ko bhi rakhne ka hukm diya, loogo ne arz kiya "ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! 10 muharram to yahood o nasaara k nazdeek badi azmat ka din hai", Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Accha ayinda saal hum in Shaa Allah! (10 MUharram k saath) 9 Muharram ka rooza bhi rakkhenge", lekin ayinda saal aane se pehle hi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam is duniya se rukhsat ho gaye. (Sahih Muslim Kitabus Siyaam)

Wazahat: Yaum e aashura (10 muharram) ki fazilat ki wajah ye hai k jab Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam madeena tashreef laye to yahoodi 10 muharram ka rooza rakhte they, in se wajah puchi gayi to unhone kaha: "is rooz Allah ta'ala ne Musa Alaihis Salaam ko firoun par galba ata farmaya tha, lihaza hum shukraane k taur par is din ka rooza rakhte hai", Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko ye baat maloom hui to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "yahoodiyo ki nisbat hum Musa Alaihis Salaam k zayada qareeb hai aur musalmano ko is din ka rooza rakhne ka hukm diya gaya, magar jab ramazaan k roozey farz kiye gaye tab Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Ab jo chaahe 10 muharram ka rooza rakkhey jo chaahe na rakkhey". (Sahih Muslim) 

SIRF HAFTA (SATURDAY) K DIN ROOZA RAKHNA MAKROOH HAI

Hazrat Abdullah bin Busar Razi Allahu Anhu apni behan Samma Razi Allahu Anha se riwayat karte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Hafte (Saturday) ka rooza siwaye farz roozey k na rakkho agar khane ko aur koi cheez na mile to angoor ki lakdi ya kisi darakht ki chaal hi chaba lo". (Sahih Iben Khuzaimah Hadees no. 2164)

Wazahat: Hafta (Saturday) jo k Ahle kitaab ki eid ka din tha, lihaza Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne unki mukhalifat k liye hafta (Saturday) k saath juma ya itwaar ka din mila kar rooza rakhne ka hukm diya hai.

No comments:

Post a Comment