Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 29 June 2014

8 RAKAAT TARAWEEH KA SABOOT

8 RAKAAT TARAWEEH KA SABOOT



Bismillahirrahmanirraheem


Ab mauqa aa gaya hai k hum aapko bataye k Ahle Hadees Taraweeh ki 8 hi rakaato ko sunnat e Nabvi Sallallahu Alaihi Wa Sallam kyu samajhte hai?

Yahi se is behas ka aagaaz bhi ho jayega, Ahle Hadees apne maslak k saboot mein teen hadeese paish karte hai.

PEHLI HADEES


Abu Salma bin Abdur Rahmaan ne Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha se pucha k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ramazaan mein raat ki namaz yaani (Taraweeh) kesi padhte they?, Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha ne farmaya: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam chahey ramazaan ka maheena ho ya gair ramazaan ka 11 rakaato se zayada nahi padhte they, Chaar rakaat padhte unki khoobi aur lambayi na pucho uske baad phir chaar rakaat padhte unki khoobi aur lambayi ka haal na pucho phir teen rakaat witr padhte (kul 11 rakaatey ho gayi). (Sahih Bukhari Kitabus Salatut Taraweeh Hadees no. 2013, Sahih Muslim Kitabus Salatul Musafireen Hadees no. 738)


DOOSRI HADEES


Jaabir Razi Allahu Anhu ne bayan kiya k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne hum loogo ko ramazaan k maheene mein (Taraweeh ki namaz) 8 rakaat padhayi uske baad witr padhaye, doosre rooz jab raat hui to hum loog phir masjid mein jama ho gaye ummeed thi k Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam niklenge aur namaz padhayenge magar Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam na nikle hum subah tak masjid mein reh gaye phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hum loog gaye aur ye baat bayan ki to farmaya k mujhe khatra hua k kahi ye namaz tum loogo par farz na ho jaye (isi liye mein ghar se bahar nahi nikla). (Sahih ibne Khuzaima Hadees no. 1070, Sahih Ibne Hibbaan Hadees no. 920, 2401, 2406, Tabraani fis Sageer Safa no. 108, Muhammad bin nasrul Maroozi fi qayamul laiyl Safa no. 90)


TEESRI HADEES


Hazrat Jaabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ubey bin Kaab Razi Allahu Anhu Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein aye aur kaha Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam!, raak ko mene (apni samajh se) ek kaam kar diya ye ramazaan k maheene ka waqiya hai, Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha kya baat hai?, Hazrat Ubay bin Kaab Razi Allahu Anhu ne kaha k mere ghar ki aurato ne kaha k hum loogo ko Quran yaad nahi hai lihaza Taraweeh ki namaz aap ghar par hi padhey hum aap ke pichey padh lenge chunanchey mene unko 8 rakaat aur uske baad witr k saath namaz padha di, Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam khamoosh reh gaye aur aesa maloom hua k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne usko pasand farmaya. (Musnad Abi Yaalaa Hadees no. 1801, Majmua uz zawaid jid 2 safa no. 74, ibne nasrul maroozi fi qayamul layil safa no. 90, Mukhtasar qayamul layil safa no. 217)


Pehli aur doosri dono hadeeso mein Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k amal ka bayan hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ramazaan mein Taraweeh ki 8 rakaatey padhi, is k baad witr ada farmaya.


Ye to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki "failey sunnat" hui.


Teesri Hadees mein Hazrat Ubai bin Kaab Razi Allahu Anhu ka ek waqiya mazkoor hai k unhone apne ghar ki aurato ko 8 rakaat Taraweeh padhayi aur phir Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saamne is waqiye ko bayan kiya, Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne sun kar khamooshi ikhtiyaar ki, yaani is par koi aetraaz aur inkaar nahi farmaya, is se maloom hua k ye tareeqa Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko pasand tha


Ye Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki "Taqreeri Sunnat" hui.


Is tarah "Failey Nabwi" aur "Taqreer e Nabwi" dono se 8 rakaat Taraweeh ka "Sunnat E Nabwi" hona saabit ho jata hai, Yahi Ahle Hadees ka maslak aur mamool bhi hai.


Is k muqabaley mein kisi bhi sahih, marfoo, gair mutakallim fi hadees se 20 rakkat ya 20 rakaat se zaayid rakaat ka saboot nahi hai, na Aan Hazrat Sallallahu Alaihi Wa Sallam k qaul se na fail se na taqreer se, is liye Ahle Hadees isko "Sunnat" nahi samajhtey, lekin chunkey Taraweeh nafli namaz hai is liye Ahle Hadees ye bhi kehte hai k agar koi shaks 8 rakato ki babat "Sunnat E Nabwi" hone ka inkaar na kare aur qurbat wa sawaab ki zayadati ka shoonk rakhta ho to apni taaqat k mutabiq nafli taur par mazeed jitni rakaatey chahey padhey, jamaat se padhey ya infiraadan, sab suratey bila karahat jayez hai, Taraweeh ki rakaat ki ta'een aesi nahi hai jesi farz namazo ki rakaat ki hai k kami zayadati ki gunjaish hi na ho. iski tafseel in shaa Allah agey ayegi.

No comments:

Post a Comment