Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Friday 13 June 2014

ROOZEY QURAN MAJEED KI ROOSHI MAI

ROOZEY QURAN MAJEED KI ROOSHI MAI



Bismillahirrahmanirraheem

ROOZA ISLAAM K 5 FARA'IZ MAI SE EK FARZ HAI
ROOZEY PEHLE UMMATO PAR BHI FARZ THEY
ROOZEY KA MAQSAD GUNAHO SE BACHNE AUR NAIKI PAR CHALNE KI TARGEEB DETA HAI

Aey eman walo! Tum per roozey rakhna farz kiya gaya jis tarah tum se pehle logon par farz kiye gaye thay takay tum taqwa ikhtiyar karo. (Surah Baqara Surah no. 2 Ayat no. 183)

RAMAZAAN KA MAHEENA PAANE WALE HAR MUSALMAAN PAR POOREY MAHEENE K ROOZEY RAKHNE FARZ HAI
MUSAFIR AUR MAREEZ KO ROOZA NA RAKHNE KI RUKHSAT HAI, LEKIN RAMAZAAN K BAAD UN DINO KI QAZA ADA KARNI ZARURI HAI
MAREEZ YA MUSAFIR PAR ROOZA CHOODNE KA KOI KAFFARA NAHI
RAMAZAAN KA MAHEENA ALLAH TA'ALA KI KHUSOOSI IBADAAT AUR HAMD WA SANA KARNE KA MAHEENA HAI

Maah E Ramazaan wo hai jis mein quran utaara gaya jo logon ko hidayat kerney wala hai aur jis mein hidayat ki aur haq-o-baatil ki tameez ki nishaniyan hain tum mein se jo shaks is maheene ko paye ussay roza rakhna chahaiye haan jo beemar ho ya musafir ho ussay doosray dinon mein ye ginti poori kerni chahaiye Allah Taalaa ka irada tumharay sath aasani ka hai sakhti ka nahi woh chahata hai kay tum ginti poori karlo aur Allah Ta’ala ki di hui hidayat per us ki badaiyan biyan karo aur us ka shukar karo.. (Surah Baqara Surah no. 2 Ayat no. 185)

RAMAZAANUL MUBARAK MAI RAAT K WAQT BEEWI SE HAMBISTARI KARAN JAYEZ HAI
IFTAAR SE LE KAR SUBAH SAADIQ K TULU HONE TAK KA WAQT ROOZEY KI PAABANDI SE MUTASHANA HAI
DOORAANE AETAQAAF MAI RAAT K WAQT BEEWI SE HAMBISTARI KARNA MANA HAI

Roozey ki raaton mein apni biwiyon se milna tumhare liye halal kiya gaya wo tumhara libas hain aur tum unke libas ho tumhari posheeda khayanaton ka Allah Ta’ala ko ilm hai us ne tumhari tauba qabool farma kar tumse dar guzar farma liya ab tumhe inse mubashirat ki aur Allah Ta’ala ki likhi hui cheez ko talash kerney ki ijazat hai tum khaate peete raho yahan tak ke subha ka safaid dhaga siyah dhagay say zahir hojaye. Phir raat tak roozey ko poora karo aur aurton se us waqt mubashirat na karo jab ke tum masjidon mein aeytikaaf mein ho. Yeh Allah Taalaa ki hudood hain tum unke qarib bhi na jao. Issi tarah Allah Ta’ala apni aayatey logon kay liye biyan farmata hai takay wo bachen. (Surah Baqara Surah no. 2 Ayat no. 187)

No comments:

Post a Comment