Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 8 June 2014

SHAB E BARAAT KI HAQEEQAT - SHAB E BARAAT KA ROZA AUR QAYAAM PART 4

SHAB E BARAAT KI HAQEEQAT - SHAB E BARAAT KA ROZA AUR QAYAAM PART 4



Bismillahirrahmanirraheem

Pandarvi (15th) shabaan ki raat mai bahut se musalman shab bedaari k liye khasoosi ibdadat aur qayam karte hai aur is ko shara'e  amal samajhte hai aur is maah ki pandarvi (15th) tareekh ko roza rakhne ka ehtamaam karte hai aur is par istedlaal k liye ek zaeef aur mouzu hadees paish karte hai jisko 

Hazrat e Ali Razi Allahu Anhu ne riwayat kiya hai k Rasool Allah Sallallahu Aliahi Wa Sallam ne farmaya: Is ki raat mai qayam karo aur agle din roza rakkho kyunki is raat ki shaam hi se Allah ta'ala aasmani dunya par nuzool farmaata hai aur farmata hai k koi magfirat ka talabgaar hai k usko maaf karu, hai koi rizk ka talab karne wala k mai usko rizk do, hai koi bimar ya musibat zada k mai usko aafiyat de du, hai koi sawal karne wala k mai use du, kya koi hai , kya koi hai yaha tak k fajar saadiq tulu ho jaye. (Sunan Ibne Maja Hadees no. 1390)

Ye Hadees jhooti aur manghadat hai is mai ek raavi abu bakr bin abdullah bin muhammad bin abu sabra qurshi hai jisko muhaddiseen ne zaeef wa matrook, kazzaab aur waziul hadees qaraar diya hai, allama albani rahimahullah ne usko shadeed zaeef ya mouzu kaha hai, allama abdur rahman mubarkpuri rahimahullah sahab tohfatul ahwaazi mai farmate hai k pandarvi (15th) shabaan k roozey k baare mai mujhe koi sahih wa marfo hadees nhi mili, rahi Hazrat E Ali Razi Allahu Anhu ki wo hadees jisko ibne maja ne riwayat kiya hai aur jiska mafhoom ye hai k pandarvi (15th) tareekh mai qayaam karo aur us k din mai rooza rakkho akheer tak to ye hadees jesa k aap ko maloom hai sakht zaeef hai aur Hazrat Ali Razi Allhu Anhu ki ek dusri riwayat hai jo pandarvi (15th) shabaan k roozey k baare mai hai aur jisme hai k agar kisi ne is din rooza rakkha to use 60 saal pehle aur 60 saal agle rozo ka sawab milega is ko ibne jauzi ne mouzu'aat mai bayan kiya hai aur kaha k ye hadees mauzu hai aur is ki asnaad muzlam hai.

Allama Ubaidullah Rahmani muhaddis mubarakpuri sharah mishkaat Mar'aatul mafateeh mai farmaate hai k ye shabaan ki pandarvi (15th) tareekh k din mai rooza rakhne k bare mai koi marfo sahih ya hasan ya mamoli zaeef ya koi hadees nhi hai aur na hi koi qavi ya zaeef asar hi paya jata hai. (Mar'aatul mafateeh jind 4 safa no. 344)

Isi tarah Hafiz Ibne Rajab Hambali farmaate hai shabaan ki pandarvi (15th) raat ko qayam ki fazilat mai na Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam se kuch saabit hai aur na aap k sahaba Razi Allahu Anhum se saabit hai. (Lata iful maroof)

Lihaza is hadees se shab e baraat ka roza rakhna aur raat mai qayam karna saabit nahi hota is k bawajood hamare yaha bahut se loog mukhtalif ilaqo mai is roozey k rakhne aur raat mai qayam ka ehtamaam maah e ramazan k farz roozey aur qayam e shab e qadr se bhi badh kar karte hai halankey is tarah ka gair shara'e amal karna ajr o sawab k bajaye azaab e ilahi ka baa'as hai.

To Be Continued......

No comments:

Post a Comment