Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday 14 June 2014

RUYATUL HILAAL (CHAND DEEKHNE K MASA'IL)

RUYATUL HILAAL (CHAND DEEKHNE K MASA'IL)



Bismillahirrahmanirraheem

RAMAZAANUL MUBARAK KA CHAND DEKH KAR ROOZEY SHURU KARNE CHAHIYE
SHABAAN K AAKHIR MAI AGAR MUTLA E ABR (BAADAL WAGAIRA) HO TO SHABAAN K 30 DIN POOREY KARNE CHAHIYE AGAR RAMAZAAN K AAKHIR MAI MUTLA E ABR (BAADAL WAGAIRA) HO TO RAMAZAAN K 30 DIN POOREY KARNE CHAHIYE

Hazrat Ibne Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: chand dekhey bagair ramazaan k roozey shuru na kare aur chand dekhey bagair ramazan khatam na karo, aur agar aasmaan mai baadal wagaira ho aur chaand nazar na aye to 30 din poorey kar lo. (Sahih Bukhari wa Sahih Muslim, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 653) 

EK MUSALMAN KI GAWAHI PAR ROOZEY SHURU KIYE JA SAKTE HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu se riwayat hai k loogo ne chand dekha aur mene Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko bataya k "mene bhi chand dekha hai" chunanche Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khud bhi rooza rakkha aur loogo ko bhi rooza rakhne ka hukm diya. (Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood hadees no. 2052)

RAMAZAAN KI PEHLI TAREEKH K CHAND K BAZAHIR CHOTA YA BADA HONE SE SHAK MEIN NAHI PADNA CHAHIYE

Hazrat Abu Bukhtar Razi Allahu Anhu kehte hai "Hum umrah k liye (madina se) rawana huye jab nakhla k muqaam par pahunche to sabne (naya) chand dekha, kuch loogo ne kaha "ye to teesri raat ka chand lagta hai" (bada hone ki wajah se) kuch loogo ne kaha "doosri raat ka lagta hai" hamari mulaqaat Hazrat Abdullah bin abbas Razi Allahu Anhu se hui to humne unse kaha "humne chand dekha hai kuch loogo ne ise teesri raat ka kaha hai kuch ne doosri raat ka" Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ne pucha "tumne kaun si raat ka chand dekha tha?" humne bataya "falah falah raat dekha tha" to kehne lage "Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshaad e mubarak hai Allah ta'ala usko tumhare dekhne k liye bada kar deta hai lihaza wo usi raat ka chand tha, jis raat tumne use dekha" (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 577)

NAYA CHAND DEKHNE PAR YE DUA PADHNA MASNOON HAI

Hazrat Talha bin Ubaidullah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab chaand dekhte to ye dua padhte: "ALLAHUMMA AHLIL HU ALAINA BIL YUMNI WAL EEMAANI WASSALAAMATI WAL ISLAAMI RABBI WA RABBU KALLAH" Tarjuma: Ya ila! hum par ye chand aman, emaan, salaamati aur islaam k saath tulu farma (ae chand) mera aur tera rabb Allah hai. (Tirmizi, Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 2745)

CHAND DEKH KAR ROOZA SHURU KARNE AUR CHAND DEKH KAR ROOZA KHATAM KARNE K LIYE WAQT HAAZIR ILAAQE YA MULK KA LIHAAZ RAKHNA CHAHIYE
DOORAAN E RAMAZAAN EK MULK SE DOOSRE MULK SAFAR KARNE PAR AGAR MUSAFIRO K ROOZO KI TADAAD HAAZIR ILAAQA HAI MAAH E RAMAZAAN K ROOZO KI TADAAD SE ZAYID BANTI HAI TO ZAYID DINO K ROOZEY TARK KAR DENE CHAHIYE YA NAFIL ROOZEY KI NIYAT RAKHNI CHAIYE AGAR TADAAD KAM BANTI HO TO EID K BAAD MATLOOBA TADAAD POORI KARNI CHAHIYE

Hazrat Kuraib Razi Allau Anhu (Ibne Abbas Razi Allahu Anhu k gulaam) se marvi hai k Hazrat ummey fazal Razi Allahu Anha (Hazrat Abbas Razi Allahu Anhu ki beewi) ne unhe (Kuraib Razi Allhu Anhu ko) Hazrat Muaviya Razi Allahu Anhu k paas (kisi kaam se) shaam bheja, Kuraib Razi Allahu Anhu kehte hai k mene shaam aa kar unka kaam kiya mai abhi shaam hi mai tha k ramazaan ka chand nazar aa gaya, mene bhi juma ki raat chand dekha, phir mai ramazaan k aakhir mai madeena (wapas) aa gaya, Hazrat Abdullah bin Abbbas Razi Allahu Anhu ne chaand k baare mai mujhse daryaft kiya, "tumne (waha) chand kab dekha tha?" mene jawab diya "humne to juma ki raat ko dekha tha" Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ne pucha "kya tumne bhi dekha tha?" mene jawab diya "han" bahut se doosre aadmiyo ne bhi dekha tha aur sab loogo ne Hazrat Muaviya Razi Allahu Anhu k saath (doosre din yaani hafta ka) rooza rakkha, Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu ne farmaya: "humne to chand hafta k din (yaani ek din k fark se) dekha hai, hum isi hisaab se roozey rakhte rahenge yaha tak k 30 din poorey kar le ya chand dekh le" mene arz kiya "kya aap loog Hazrat Muaviya Razi Allahu Anhu k amal aur roozey ko kaafi nahi samajhte?" farmaya: "nhi" hame Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne isi rarah hukm farmaya hai. (Sahih Muslim, Musnad Ahmad, Abu Dawood, Nasayi, Mukhatasar Sahih Muslim Hadees no. 578)

ABR (BAADAL) KI WAJAH SE SHAWWAL KA CHAND DIKHAYI DENE AUR ROOZA RAKH LENE K BAAD MALOOM HO JAYE K CHAND NAZAR AA CHUKA HAI TO ROOZA KHOOL DENA CHAHIYE

Hazrat Abu Umair bin Anas Razi Allahu Anhu apne chachao se jo Ashaab e Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam mai se they, riwayat karte hai k baaz sawaar Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mai hazir hue aur gawaahi di k unhone guzishta rooz (Shawwal ka) chand dekah hai, "Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Sahaba Razi Allahu Anhum ko hukm diya k wo rooza tood de aur farmaya: kal subah (namaz e eid k liye) eid gaah aye". (Abu Dawood, Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 1026)

No comments:

Post a Comment