Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Wednesday 11 June 2014

SHAB E BARAAT SE MUTALLIQ ZAEEF, MAUZU AUR MANGHADAT AHADEES

SHAB E BARAAT SE MUTALLIQ ZAEEF, MAUZU AUR MANGHADAT AHADEES



Bismillahirrahmanirraheem

1. point no 1 abhi pichle post mai guzar chuka hai jiska naam tha "shab e baraat k mutalliq jo ek hadees sahih ya hasan kahi jati hai uska jayeza" ye point no 1 tha

2. Ayesha Razi Allahu Anha ki riwayat jiske andar hai: yaani pandarvi (15th) shabaan ki shab Nabi aadam mai se is saal tamaam paida hone walo k baare mai likha jata hai, aur nabi aadam mai se is saal tamaam marne walo k baare mai likha jata hai, is raat unke aamaal uthaye jate hai aur unki rozi nazil ki jati hai. (Behaqui fi dawatul kabeer, mishkaat raqam 1305)

Sheikh albaani farmaate hai "Is riwayat ki sanad par meri waaqfiyat nahi ho sakti". (Taaliqa alal mishkaat)


3. Jab pandarvi (15th) shabaan ki raat ho to raat mai qayaam karo aur din mai rooza rakkho, kyunki Allah ta'ala sooraj guroob hone par aasmani dunya par tashreef lata hai, aur kehta hai: hai koi maafi mangne wala jise mai bakhsh du, hai koi roozi maangne wala jise mai roozi du, hai koi beemar jise mai accha karu, hai koi aesa, hai koi aesa, yaha tak k fajar ka waqt ho jata hai. (Ibne Maja kitab iqamatus salaat, raqam 1388)

Is riwayat ki sanad mai Abu bakr bin abdullah bin abu sabra hai jinke mutalliq Imam ahmad aur yahya bin ma'een farmaate hai k "ye hadeese ghada karte they". (Mezaanul Aetadaal 4: 503, Taqreeb raqam: 8030), Sheikh Albaani rahimahullah ne bhi is riwayat ko mouzu qaraar diya hai. (Silsila E Zaeefa raqam: 2132)

4. Ali Razi Allhu Anhu ki riwayat hai farmaate hai shabaan ki pandarvi (15th) shab ko mene Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko dekha k aapne 14 rakaatey padhi phir faragat k baad baithey aur 14 martaba surah fatiha, 14 martaba surah naas, 1 martaba ayatal kursi aur laqad ja-a-kum.....alkh padhi, jab aap namaz se farig hue to mene aapse se is amal k baare mai pucha to aapne farmaya: Jisne bhi aesa kiya to use 20 hajj e mabroor 20 saal k maqbool roozey ka sawaab milega.

Imam Behaqui is riwayat ki takhreej karte hue farmaate hai: ye hadees mouzu k mushaba hai jabke ye munkar hai aur is ki sanad mai kayi ek majhool raavi hai. (Al Aasarul Marfua safa no. 80)

5. Ae Ali! jis kisi ne bhi shabaan ki pandarvi (15th) shab ko ek hazaar baar "QUL HU WALLAHU AHAD" k saath 100 rakaatey padhi to us raat wo jo kuch maangega Allah rabbul izzat uski tamaam hajatey poori karega, aur use 70 hoorey inayat farmaayega, jinme se har hoor k saath 70 hazaar gulaam aur 70 hazaar bacche honge.

Is riwayat k silsiley mai Mulla Ali Qari rahimahullah farmaate hai: Sunnat e nabvi k ilm ki adni boo (khushbu) bhi paane wale par tajjub hai k wo is qisam k hazyaan wa bakwaas se dhooka kha jata hai. (Al Israrul Marfua safa no. 440)

Shabaan ki pandarvi (15th) shab ki namazo se mutalliq muta'addad riwayate hai jo k tamaam ki tamaam mouzu wa manghadat ya munkir hai, wazey rahe k mazkoora namaz jo choothi (4th) sadi hijri k baad baitul muqaddas mai ghadi gayi aur iski fazilat mai mukhtalif jhooti hadeese bhi wazey ki gayi.

6. Shabaan mera mahina hai, Shabaan paak kane wala hai aur ramzan (gunaho k liye) kaffara ka mahina hai.

Ye riwayat 2 tareeko se marvi hai, ek dailmi ne batareek: hasan bin yahya khasni an auzayi an yahya bin abi kaseer an ayesha marfoaa riwayat kiya hai. (Al Maqasil hasanatul sakhavi raqam: 595)
Aur doosra iben asakar ne batareeq: jafar bin muhmmad bin khalid an hishaam bin khalid basandah an ayesha riwayat kiya hai. (Mukhtasar tareek e damishk 6:84)

Pehli sanad ka daromadar hasan bin yahya khashni par hai jisko ulama e hadees ne gair siqa aur matrook qaraar diya hai. (Al Jarah wal taadeel 1:2:44, Al Majroheen 1: 235, Al Meezan 1: 525, Zafa ud daarey qutni raqam: 190)
Aur doosri sanad ko sheikh albaani rahimahullah ne "Zaeef juda" qaraar diya hai. (Silsila e Zaeefa raqam: 3746, Zaeef Jamey raqam: 3411)

7. Rajab Allah ka mahina hai aur shabaan mera mahina hai aur ramzan meri ummat ka mahina hai, Ise dailmi (Musnad raqam: 3095), ne Anas Razi Allahu Anhu se marfoo riwayt kiya hai.

Hafiz Aeraaqi sharah tirmizi mai farmaate hai k: ye hadees musalaat hasan mai se hone ki bina par nihayat hi zaeef hai, Sheikh albani rahimahullah ne bhi is ki tazaeef ki hai. (Zaeef Jamey raqam: 3094), imam shokaani ne is riwayat ko mouzu qaraar diya hai. (Al Fawa'id Majmua safa no. 100), neez imam ibne jauzi aur allama sayooti ne bhi mouzu qaraar diya hai. (Al Maozu'aat 2: 205, Al aalil Masnoo'a 2: 114), wazey rahe k is ki sanad mai abu bakr bin hasan nifaash mutham bin kazzab hai. (Lesanul Meezaan raqam: 441). aur kasaai majhool hai.

8. Rajab k mahine ki fazilat aesi hi hai jesi quran ki fazilat tamaam kalaam pe aur shabaan k mahine ki wahi fazilat hai jesi meri tamaam ummat ambiya par hai. (Al Maqasidul Hasana raqam: 740)

Hafiz ibne hajar rahimahullah tabaeen e ajab (safa no. 14) mai is riwayat ko mouzu qaraar dete hue Raqam taraaz mai: is k tamaam rawaat bajaz saqti k siqaat hai kyunki wo hadeese ghadhne mai maroof tha. (Kashaful Khafaul ajlooni 2: 85)

9. Ayesha Razi Allahu Anha ki riwayat hai k Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: Allah tabark o ta'ala shabaan ki pandarvi (15th) shab ko aasmani dunya par nuzool farmata hai, aur qabeela e qalb ki bakriyo k baal se bhi zayada ki tadaad mai loogo ki magfirat farmaata hai. (Tirmizi Kitabus Saum raqam: 739, Ibne Maja Kitab Iqamatus salaah raqam 1389, Musnad Ahmad 6: 238, wal lalkayi 1: 101, wa abad bin hameed 1: 194)

Is riwayat k silsiley mai imam tirmizi farmaate hai k: "Imam Bukhari is riwayat ki tazaeef kiya karte they, kyunki yahya bin abu kaseer ka simaa (sun'na) arwa se saabit nahi hai, aur hijaaz bin artaah ka simaa (sun'na) yahya bin abu kaseer se sabit nahi hai", Shaikh Albani ne bhi is riwayat ko zaeef qaraar diya hai. (Zaeef Sunan Tirmizi raqam 739), aur qaabil e zikr baat ye hai k hijaaz mudallis hai aur ise anaana se riwayat kiya hai.

10. Ayesha Razi Allahu Anha ki riwayat hai: Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam har maah 3 dino ka rooza rakkha karte they, bas auqaat roozo ko mu'akkhir kar dete aur jab ek saal kar rooza ikattha ho jata to shabaan mai rakh lete. (Tabraani)

Hafiz ibne hajar farmaate hai: ye hadees zaeef hai, ise tabraani ne aosat k andar ibne abu laili k tareeq se riwayat kiya tha, aur ibne abu laili zaeef hai. (Fathul Baari, 4: 252)

11. Anas Razi Allahu Anhu ki riwayat hai farmaate hai: Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam se pucha gaya k ramzan k baad konsa rooza afzal hai to aapne farmaya: Ramzan ki tazeem mai shabaan ka roza. is hadees ko imam tirmizi ne hasan, (Abwabuz Zakaat raqam: 657), Imam Tahavi ne sharah Ma'aani Aasaar (2: 83), Aur Imam Bagvi ne sharah As Sunnah (6: 629) k andar riwayat kiya hai.

Imam tirmizi ne is riwayat ko "Gareeb" qaraar diya hai, kyunki iski sanad mai Sadqa bin musa muhadiseen k nazdeek gair qawi hai, neez ye riwayat Abu Huraira Razi Allahu Anhu ki Muslim k andar riwayat karda marfoo wa sahih hadees ki ma'aariz bhi hai jisme hai: Ramzan k baad afzal rooza muharramul haraam ka rooza hai. (Fathul Baari 4: 252), Imam munzari ne is hadees ki tazaeef ki taraf ishara kiya hai. (At Targee 1: 79), aur imam Jauzi ne gair sahih qaraar diya hai. (Al alal Muta'nahiyah raqam: 914), aur shiekh Albaani ne bhi ise zaeef qaraar diya hai. (Arwa'ul Gulyal 3:397)

12. Ayesha Razi Allahu Anha farmaati hai k: Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne poore maah e shabaan k roozey rakkha karte they, mene kaha: Ae Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam! kya shabaan ka mahina aapke nazdeek sabse piyaara hai k aap is mai rooza rakhte hai?, to aapne farmaya: Is mahine mai Allah ta'ala poore saal k marne walo ka hisaab kitba likhta hai, lihaaza mai chahta hu k meri maut is haalat ami aye k mai roozey se hon.

Is riwayat ko Abu yaali ne riwayat kiya hai aur Shaikh Albani ne zaeef qaraar diya hai. (Zaeef Targeeb raqam: 619), yahi riwayt doosre alfaaz k saath warid hai jisme hai: Allah ta'ala is Saal marne wale tamaam nafs ki maut (isi maah mai) likhta hai, Shaikh Albaani ne is riwayat ko munkar qaraar diya hai. (Silsila E Zaeefa raqam: 5086)

13. Mu'aaz bin Jabal Razi Allahu Anhu ki riwayat k Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Jis 5 raato mai shab bedaari ki uske liye jannat wajib ho gayi: Tarwiya ki raat, Arfa ki raat, Qurbaani ki raat, Eid ul fitr ki raat aur pandarvi (15th) shabaan ki raat.

Ise ibne abi aasim ne kitabus sunnah (1: 224), iben hibban ne sahih (al hisaan 7: 470), Tabraani ne Majmua uz zawa'id (8: 65), aur imam Asfahaani ne targeeb k andar zikr kiya hai. Aur Imam Munzari ne targeeb k andar zikr karne k baad is ki zaeef ya mouzu hone ki taraf ishara kiya hai, aur Shaikh Albaani ne ise mouzu qaraar diya hai. (Silsila E Zaeefa raqam: 522)

14. Abu Umama Bahali Razi Allahu Anhu ki riwayat k Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: 5 raato mai ki gayi duaye radd nahi hoti: rajab ki pehli raat, shabaan ki pandarvi (15th) raat, jua ki raat, Eid ul fitr ki raat aur qurbaani ki raat.

Is riwayat ko ibne asakar ne tareekh e damishq (10: 275), k andar zikr kiya hai, aur Sheikh Albaani ne ise mouzu wa manghadat qaraar diya hai. (Silsila E Zaeefa raqam: 1452)

15. Ayesha Razi Allahu Anha farmaati hai k: Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Mere paas jibraeel alihis salaam aye aur farmaya k: ye pandarvi (15th) shabaan ki raat hai, is raat Allah ta'ala qabeela banu qalb ki bakriyo k baalo ki tadaad mai loogo ko jahannam se aazaad karta hai, aur mushrik, keena parwar, rishto ko toodne wale, takhne se niche kapda pehan'ne wale walidain ki nafarmaani karne wale aur sharaabi ki taraf nahi dekhta.

Ise Imam Behaqui ne riwayat kiya hai aur Sheikh Albaani ne ise zaeef qaraar diya hai. (Zaeef Targeeb raqam: 620)

isi mana ki ek taweel riwayat doosre siyaaq mai imam behaqui ne shobul emaan k andar zikr kiya hai jise Shiekh Albaani ne 2 matrook raaviyo ki bina par hadd darja zaeef qaraar diya hai. (Zaeef Targeeb raqam: 1651)

16. Ayesha Razi Allahu Anha ki riwayat hai: ye pandarvi (15th) shabaan ki raat hai, Allah ta'ala pandarvi (15th) shabaan ki raat apne bando ki taraf dekhta hai aur magfirat talab karne walo ki magfirat farmaata hai aur raham talab karne walo par raham farmata hai aur keena parwar ko wese hi chood deta hai.

Ise Imam Behaqui ne riwayat kiya hai aur Shiekh Albaani ne ise zaeef qaraar diya hai. (Zaeef Targeeb raqam: 622)

17. Usman bin abul aas Razi Allahu Anhu ki riwayat hai k: Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshaad farmaya: Jab pandarvi (15th) shabaan ki raat hoti hai to ek pukaane wala pukaarta hai: hai koi magfirat talab karne wala jise mai bakhshu?, hai koi maangne wala jise ata karu?, koi kuch bhi maange use diya jata hai siwaye zinakaar aurat aur mushrik k.

Ise imam Behaqui ne riwayat kiya hai aur Sheikh Albaani ne ise zaeef qaraar diya hai. (Zaeef Jamey raqam: 653)

18. Raashid bin saad se marvi hai: pandarvi (15th) shabaan ki raat mai Allah ta'ala malakul maut ko is saal jin roohon ko qabz karne ka iraada farmaata hai unko qabz karne se mutalliq wahi farmata hai.

Is riwayat ko imam Dainuvi ne Al Majalisah k andar riwayat kiya hai, aur imam Albaani ne ise zaeef qaraar diya hai. (Zaeef Jamey raqam: 4019)

19. Anas Razi Allahu Anhu ki riwayat, farmaate hai: jab rajab ka mahina ata to Allah k Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam farmaate: Ae Allah rajab aur Shabaan k mahino mai hamare liye barkat ata farma aur hame ramzan tak pahuncha.

Is riwayat ko Imam Behaqui aur ibne asakar ne riwayat kiya hai aur Sheikh Albaani ne ise Zaeef qaraar diya hai. (Zaeef Jamey raqam: 4395)

20. Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ki riwayat: jisne pandarvi (15th) shabaan ki raat mai 12 rakaatey namaz padhi, aur har rakaat ami 30 martaba "QUL HU WALLAHU AHAD" padhi to namaz se faarig bhi nhi hota k use jannat mai uska thikaana dikha diya jata hai aur uske ghar waalo mai se aese 10 loogo k silsiley mai uski sifarish qubool ki jayegi jinpar jahannam waajib ho chuki hogi.

Is hadees ko Imam bazaar ne aur imam ibne jauzi ne riwayat kiya hai. (Kashful Astaar 3: 436 aur al alal mutanahiyah 1: 70), iski sanad mai abdur rahmaan majhool aur amshi mudallis raavi hai, neez is mai hishaam ka koi mutaabey nahi hai jesa k imam ibne bazaar ne iski wazahat ki hai aur imam ibne jauzi ne is riwayat ki sanad mai muta'addad majhool raaviyo ki wajah se mouzu qaraar diya hai, aur imam ibne qayyim aur allama sayooti ne bhi ise mouzu qaraar diya hai. (Al Muanrul Muneef safa no. 99, Al Alal Mauzu 2: 59)

21. Jisne pandarvi (15th) shabaan ki raat mai 100 rakaatey ek hazaar baar "QUL HU WALLAHU AHAD" padhi to wo dunya se is haalat mai rawana hoga k Allah ta'ala uske khuwaab mai 100 farishte bhejega, 30 jannat ki basharat denge, 30 use jahannam se bachayenge, aur 10 use uske dushmano ki saajish se bachayenge.

is riwayat ko imam Ahmad ne riwayat kiya hai. (Musnad Ahmad 2: 176), is riwayat ko imam munzari ne zaeef aur imam ibne jauzi, imam sayooti aur ibne aeraaqi ne mouzu qaraar diya hai. (Targeeb 3: 460, Al Maouzu'aatul Kabeer 2: 125, Tanzeehal Shareeyah 2: 93, Al Alal Mauzua 2: 59)

Allah ta'ala hamari is bida'at se hifazat farmaye aur hamare bhaiyo ko hidayat de. (Aameen Ya Rabbal Alameen)

No comments:

Post a Comment