Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Sunday 8 June 2014

SHAB E BARAAT KI HAQEEQAT - AATISH BAAZI WA CHIRAGA KARNA PART 3

SHAB E BARAAT KI HAQEEQAT - AATISH BAAZI WA CHIRAGA KARNA PART 3




Bismillahirrahmanirraheem

Shab e baraat k din chiraga (chiraag jalana) aur aatish baazi ko badi ahmiyat hasil hoti hai, shab e baraat ki aamad ka uske zariye aelan hota hai ummat e muhammadiya is par apni jayez kamayi ko sarf (zaya) karti hai aur ashraaf wa fuzool karchi ka muzahira karke shetaan k bhai bante hai jabke haqeeqat ye hai k ye sarasar hinduwana teyohaar diwaali ki nakkali hai aur sahih hadees mai Nabi Sallallahu Aalihi Wa Sallam ne farmaya: jo kisi qaum ki mushabihat ikhtiyaar karega uska shumaar usi qaum se hoga, is gair islaam aur gair sharayi amal par ulama e islam ne sakht nakeer ki hai chunanchey molana asraf ali thanvi sahab aatish baazi ki shana'at wa qabahat ko bayan karte hue farmaate hai k minjumla in rasoom k ek aaatish baazi hai is mai muta'addad kharabiya hai:

1. Maal ka zaya karna jis ka haram hona quran e majeed mai mansoos hai

2. Apni jaan ko apne baccho aur padosiyo ko khatra mai dalna jiski hurmat bhi quran e majeed mai mansoos hai Allah ne farmaya: Mat dalo apni jaano ko halakat mai. (Surah Baqara ayat no. 195), isi waaste hadees shareef mai bila zarurat aag k talbees wa qurb se mukhalifat ayi hai chunanchey khuli aag aur jalta chiraag chood kar soone ko mana farmaya hai.

3. Baaz ayaat aatish baazi mai kaagaz bhi sarf hota hai jo aalaat e ilm se hai aur aalaat e ilm ki be adbi khud amar e qabeeh hai jesa k uper bayan hua phir gazab ye hai k likhey hue kagaz bhi istemaal hote hai khuwah is par kuch bhi likha ho quran ya hadees.

4. Baccho ko ibtida se taleem maasiyat ki hoti hai jis k waaste shari'e hukm hai k unko ilm wa amal sikhao goya nauzubillah hukm shari'e ka poora muqabala hai bilkhusoos shab e baraat mai ye khurafaat karna mazeed gunah ka moojab hai.

5. Baaz aalaat aatish baazi uper ko choodi jati hai jise bail, udan anaar aur khatangah wagira, awwal to baazo k sar par girte hai aur loogo ko choot lagti hai alawa azee is mai yajooj majooj ki mushabihat hai k wo aasman ki taraf teer chalayenge aur kuffar ki mushabihat haraam hai. (Islaah E Rasoom safa no. 19 aur 20)

Shab e baraat k mouke par ye aam mushahida hai k na samajh loog dukaano, makaano, mehfilo, masjido aur qabro mai khoob rooshni karte hai, aanko ko chaka choond kar dene wale rang birang kumkumo par be tahasha sarf kiya jata hai, thik yehi kaam dewali k mookey par hinduo k yaha hota hai is liye a'emma e deen ne is amal ko gair shari'e aur bida'at qaraar diya hai aur is par sakht nakeer ki hai chunanchey allama hafiz siyooti rahimahullah likhte hai k far'a sharhul mahzab mai hai k munkar bida'ato mai se ye hai k bahut se mulko mai saal ki maroof raato mai masalan shab e baraat nisf e shabaan ko badi badi kandeele jalate hai jiski wajah se bahut se mufasid paida hote hai masalan: 

1. Ehtamaam k sath kasrat se aag jala kar majoosiyo ki tarah baithne k mushaba hai

2. galat jagah maal zaya karna

3. is k nateeje mai bahut si masajid mai baccho aur nikammo ki bheed lagti hai, khel kood aur shoor wa shugab hota hai aur aese loog masjid k qabreeb aate hai jinse masjid ki be hurmati hoti hai aur gandagi paida hoti hai is k alawa aur bhi bahut si kharabiya hai jinse masjid ko mehfooz rakhna wajib hai. (Ba hawala mahanama darool uloom deoband shumara maah november 2000, safa no. 30 aur 31)

Mashoor hanfi aalim mulla ali qaari rahimahullah sharah mishkaat likhte hai k is raat chiraaga aur zayada rooshni karna quam e bura makka ki aejaad hai ye loog asal mai aatish parast they jab islaam laye to inhone ye buri rasam islam mai dakhil kardi takey musalmano k saath namaz mai aag ko sajda kare, shariyat mai is raat chiraga karne ka koi saboot nahi milta. (Marqatul Mafateeh sharah Mishkaatul Masabeeh jild 1 safa no. 198)

Mashoor muhaddis shah abdul haqq dehalvi rahimahullah farmaate hai aur bida'at mai se wo rasam hai jiska aksar hind mai loogo ne riwaaj de rakkha hai yaani chiraag jalana aur usko makano aur deewaro par rakhna aur is par fakhar karna ye wo amar hai jiski motabar kitabo mai koi asal nahi aur koi zaeef aur mauzo riwayat tak bhi iske baare mai warid nhi hoti aur na is ka hind k siwa kisi aur mulk mai riwaaj hai na haramaien sharafaien mai aur na unke siwa arab k degar hisso mai aur na ajama mai siwaye hindustan (aur pakistan) k balke mumkin hai k ye hinduo ki rasam diwali se is rasam ko liya gaya hai kyunki hindustan mai amooman rasoom zamana e kufr ki hi baaki hai. (12 mahino k fazail wa ahkaam safa no. 37)

Isi tarah molana abdul hayi lakhnavi farmaate hai k aam jahilo ne is raat (rajab ki 27vi aur shabaan ki 15vi raat) ko gooya do eidey bana rakkhi hai aur isko islam samajh rakkha hai halankey ye sareeh bida'at hai is mai chiraag aur rooshni karna khilaaf e sunnat hai tajjub hai k loog kisi tarah bida'ato se chipte hue hai aur sunnato se mutalliq parwah nahi karte. (Al asarul marfua safa no. 62)

Gharo, bazaro, dookano aur masjido k alawa qabristan mai is shab ko noor ban jaate (yani rooshni karte hai) hai aur waha badi chehal pehal hoti hai jabke ek hadees mai nabi Sallallahu Aalihi Wa Sallam ne sarahat k saath qabristaan par chiraaga karne walo par laanat bheji hai. (Sunan Abu Dawood, Sunan Nasai, Sunan Tirmizi)

Mazkoora aqwaal se ye baat wazey ho jati hai k chiraga karna aur aatish baazi ye gair islaami rasam hai jis ka shariyat e islamiya se koi talluq nhi balke ye bida'at hai ab agar koi musalman is wazahat k bawajood bhi is ko islaam ka sha'aar aur naik amal samajh kar apnaye to us se badi naadaani kya hogi.

To Be continued......

No comments:

Post a Comment