Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Saturday 14 June 2014

NIYAT K MASA'IL

NIYAT K MASA'IL




Bismillahirrahmanirraheem

AAMAAL K AJR WA SAWAAB KA DAROMADAAR NIYAT PAR HAI

Hazrat Umar bin Khattab Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko famate hue suna "Aamaal ka daromadaar niyato par hai har shaks ko uski niyat k mutabiq badla milega jisne dunya hasil karne k liye hijrat ki use sirf dunya hi milegi aur jis ne kisi aurat se nikah k liye hijrat ki use bas aurat hi milegi". (Sahih Bukhari Hadees no. 1)

DIKHAAVE KA ROOZA SHIRK HAI

Hazrat Shaddad bin auos Razi Allahu Anhu kehte hai mene Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko famaate hue suna hai: "Jis ne dekhaave ki namaz padhi usne shirk kiya, jis ne dikhaave ka rooza rakkha usne shirk kiya aur jisne dikhaave k liye sadqa kiya usne shirk kiya". (Musnad Ahmad, Targeeb wa Tahzeeb juz e awwal Hadees no. 43)

ROOZEY KI NIYAT DIL K IRAADE SE HAI, MURAWAJJAH ALFAAZ "BI SAUMI GADIN NAVAITU" SUNNAT SE SAABIT NAHI
FARZ ROOZEY KI NIYAT FAJR SE PEHLE KARNA ZARURI HAI

Hazrat Hafsa Razi Allahu Anha se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: Jis ne fajr se pehle roozey ki niyat na ki uska rooza nahi. (Abu Dawood, Tirmiz, Sahih Sunan Tirmizi Hadees no. 583)

NAFLI ROOZEY KI NIYAT DIN MAI ZAWAAL SE PEHLE KISI BHI WAQT KI JAA SAKTI HAI
NAFLI ROOZA KISI WAQT KISI BHI WAJAH SE TOODA JA SAKTA HAI

Ummul Moomineen Hazrat Ayesha Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek din Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam mere ghar tashreef laye aur pucha "kya tumhare paas kuch (khaane ko) hai?" humne kaha "nahi" Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Accha to phir mera rooza hai", kisi aur din phir Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam hamare ghar tashreef laye "mene arz kiya " Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Hais (halwa) tohfa aya hai, Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "to lao mai subah se roozey se tha". (Sahih Muslim, Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 630)

No comments:

Post a Comment