Muhammadi Blog

Muhammadi Blog

Tuesday 10 June 2014

SHAB E BARAAT K MUTALLIQ JO EK HADEES SAHIH YA HASAN KAHI JATI HAI USKA JAYEZA

SHAB E BARAAT K MUTALLIQ JO EK HADEES SAHIH YA HASAN KAHI JATI HAI USKA JAYEZA



Bismillahirrahmanirraheem

Islaami saal ka aathwa (8th) mahina "Shabaan" ki pandarvi (15th) shab ki ahmiyat wa fazilat k talluq se mualamano ka ek bada tabka ifraat ka shikaar hai, is raat ibadat wa riyazat, shab bedaari aur mukhtalif bid'aat wa khurafaat anjaam diye jaate hai, wazey rahe k makhsoos raat ki ibdat Allah k Rasool Sallallahu Alihi Wa Sallam k zamane mai na thi aur na hi sahaba e kiram Razi Allahu Aahum k zamane mai, albatta khalid bin maadaan matoofi sana 103 hijri aur makhool shami k mutalliq maroof hai k ye loog is raat khoob ibadtey kiya karte they, aur unhi k baad loog is raat ki ehmiyat wa fazilat k baare ami ikhtilaaf ka shikaar ho gaye. (Al Ibda'a fee Mazarul Ibtida safa no. 286)

Lihaza baaz loogo ne is raat ki fazilat mai mukhtalif riwayaat wa aasaar paish kiye hai jinhe ulama e muhaddiseen ne mehal e nazar bataya hai.

Ek riwayat jiske talluq se ye kaha jata hai k ye sahih ya hasan hai is riwayat ka jayeza: 

Allah ta'ala shabaan ki pandarvi (15th) shab ko tamaam makhluqaat ki taraf dekhta hai aur mushrik aur keena parwar (ek riwayat k mutabiq qaatil) k alawa sab ki magfirat farma deta hai.

Ye riwayat inhi alfaaz k saath 7 Sahaba E Kiraam Razi Allahu Alaihim Ajmaeen se marvi hai jiski tafseel kuch yuh hai:

1. Abdullah bin Umar wa bin Aas Razi Allahu Anhu ki riwayat: Is riwayat ko imam Ahmad ne Musnad (2: 176) mai aur munzari ne Targeeb wa Tahzeeb (rakam: 1519) k andar riwayat kiya hai, is riwayat ki sanad mai maroof zaeef raavi ibne luhayi ka wajood is hadees k zaeef hone k liye kaafi hai, jesa k haihmi ne likha hai k ye raavi zaeef hai (Majmua uz Zawa'id 8:65)
Albatta sheikh albanai rahimahullah ne is hadees ko rasheed bin sa'ad ki mutaba'at ki bina par hasan qaraar diya hai
Wazey rahe k rasheed bin sa'ad khud zaeef hai, kyunki ye munakeer (munkir raaviyo) ki riwayat kiya karte they, hattake imam abu haatim ne ibne luhayi ko in par muqaddam qaraar diya hai. (Al Jarah wal tadeel raqam: 2319, Taqreeb raqam: 1953)

2. Abu Musa Ash'ari Razi Allahu Anhu ki riwayat: Is riwayat ko ibne maja ne sunan (Aqamatus salaat raqam: 1390) mai riwayat kiya hai, is riwayat ki sanad 3 wajah se maalool hai
1. Abu Luhayiki wajah se is k andar zaeef hai
2. Abdur rahmaan bin azrab majhool hai
3. Is ki sanad k andar iztaraab hai

3. Abu Hurairah Razi Allahu Anhu ki riwayat: Ise bazaar (Musnad Bazaar safa no. 245) ne riwayat kiya hai, ye riwayat hishaam bin abdur rahmaan ki wajah se maalool hai jo k majhool hai, jesa k haishmi ne likha: mai inhe nahi jaanta.

4. Abu Bakr Siddequi Razi Allahu Anhu ki riwayat: Is ko ibne khuzaima ne "Kitabut Tauheed", Behaqui ne "At Targeeb" aur Ibne abi aasim ne "Kitabus Sunnah" (raqam: 509) k andar riwayat kiya hai.
Imam Behaqui farmaate hai iski sanad mai koi harj nahi hai (Sahiha 3:137) lekin is sanad k andar abdul malak bin abdul malak (ya abdul malik bin abdul malik) hai jinke silsiley se imam Bukhari farmaate hai: is ki hadees mehal e nazar hai, imam ibne hibban wagira farmaate hai: is ki hadees ki mutaba'at nhi ki ja sakti, is hadees ko zikr karne k baad ibne adi farmate hai: yaani abdul malak (ya abdul malik) is asnaad k silsiley mai maaroof hai aur is hadees ko unse Umar wa bin Haaris k alawa koi riwayat nhi karta hai, aur ye hadees is sanad se munkar hai. (Lisaan ul Meezaan 4: 67, raqam 197)

5. Auof bin Maalik Razi Allahu Anhu ki riwayat: Ise bazaar ne apni musnad (safa no. 245) k andar zikr karne k baad iski sanad ko zaeef qaraar diya hai, is riwayat ki sanad k andar 2 illatey hai:
1. Ibne Luhayi ki mojoodgi
2. Abdur Rahmaan bin Na'am jinhe jamhoor a'imma ne zaeef qaraar diya hai, jesa k haismi ne likha hai.

6. Abu Saalba Khasni Razi Allahu Anhu ki riwayat: Ise tabraani ne mojamul kabeer (raqam: 590-593), ibne abi aasim ne Kitabus Sunnah (raqam: 511), Behaqui ne Shobul Emaan (3832) aur Munzari ne Targeeb wa Tahzeeb (4082) k andar riwayat kiya hai, jiski sanad mai ahoos bin hakeem hai jo zaeef ul hifaz hai (yaani haafize ki wajah se zaeef hai) (Majuma uz Zawa'id 8: 65, Taqreeb raqam: 292)

7. Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu ki riwayat: Ise tabraani (Mojamul Kabeer raqam: 215), Abu naeem (Al Haleeyah 5: 191), ibne hibban (1980), ibne abi aasim (As Sunnah raqam: 512) aur Behaqui (Fazail E Auqaat raqam: 22) wagaira ne riwayat kiya hai, is ki sanad mai inqataa paya jata hai, kyunki Makhool jo kaseerul risaal hai unka samaa (sun'na) maalik bin yakhamar se saabit nahi hai. (Taqreeb: 6923)


Sheikh Albaani ka hukm aur ek aham nukta

Mazkoora riwayat jo 7 sahaba e kiraam Razi Allahu Anhum se marvi hai, shiekh Albaani rahimahllah ne mutab'aat aur shawahid ki bunyaad par unme se baaz ki sanad ko hasan aur baaz ko sahih qaraar diya hai, lekin qaabil zikr baat ye hai k jesa k aapne abhi mulahiza kiya unme se kisi bhi sanad ki wo hesiyat nahi hai jiski buniyaad par tamaam asnaad ko baik zubaan sahih qaraar diya ja sake aur uski bunyaad par kisi makhsoos raat ki koi ibadat mashroo qaraar paye, khaas taur se jisko bunyaad bana kar deen mai bida'at ka ek silsila shuru ho jeye, agar khench taan kar ye riwayat hasan k darje ko pahunch bhi jati hai to aasmani dunya par har rooz bila takhsees nuzool e rabb aur aamaal ki paishi se mutalliq degar tammam sahih raaviyo k paish e nazar shaaz qaraar payegi.


Is silsile mai ek aham nukta ye bhi hai k Allah rabbul izzat ka bila kisi takhsees k har raat k nisf ko aasmani dunya par nuzool farmane se mutalliq muta'addad sahih raaviyo ka mojood hona aur kisi makhsoos raat se mutalliq kisi ek bhi riwayat ka illat se khali na hona apne aap mai kuch mana zarur rakhta hai! chunanche qaazi abu bakr ibne arbi farmaate hai: "Shabaan ki pandarvi (15th) shab ki fazilat wagira mai koi aesi hadees nhi hai jis par aetamaad kiya ja sake".

Maloom hua k shab e baraat k talluq se koi bhi sahih ya sareeh hadees mojood nhi tamaam riwayaat jo shab e baraat k talluq se bayan ki jaati hai wo sab zaeef, mauzu, manghadat aur khud saakhta hai albatta is se bachna chahiye ye bidaat hai har bidaat gumraahi aur har gumraahi jahannam mai le jane wali hai.

No comments:

Post a Comment